Sajjad Jab Dobaara Aseer E Jafa Huwey

Sajjad Jab Dobaara Aseer E Jafa Huwey Marsiya Writeup, Lyrics

Sajjad Jab Dobaara Aseer-E Jafaa Huvey
Zanjeer Aur Touq Mey Phir Mubtelaa Huvey
Roohey Rasool-E Paak Ko Sadmey Siwaa Huvey
Dard-O-Alam Batool Ko La Intehaa Huvey
        Ghul Tha Kay Phir Madiney Ki Basti Ujaddti Hai
        Gardan Mey Touq Paaon Mey Zanjeer Padti Hai

Likha Hai Jin Dinou Yeh Huva Zulm Aashkaar
Ghar Mey Bahut Aleel Thi Zainab Jigarfigaar
Pahunchi Khabar Jo Qaid Ki Abid Kay Ek Baar
Utthi Asaa Ko Thaam Kay Ba Chashmey Ashkbaar
        Aazaa-E Jismey Paak Baham Kaampney Lagey
        Aaye Jo Dar Talakh Toh Qadam Kaampney Lagey

Roye Phupi Ko Dekh Kay Abid Ba Haaley Zaar
Itney Mey Hukm Paakay Chali Fouj-E Naabakaar
Aagey Toh Qaid Jaatey They Sajjad-E Naamdaar
Thaa Unkay Peechey Naaqa-E Zainab Jigarfigaar
        Utta Tha Dil Mey Dard Qadam Thar Tharaathey They
        Mehmil Ko Dekh Dekh Kay Aansu Bahaatey They

Jab Sab Isi Tarhaa Sey Huveen Manzil-E Tamaam
Sehra Milaa Tab Ek Qareeb-E Dayaarey Shaam
Din Chupp Gaya Namood Huvi Shaam Teerafaam
Us Din Rayees-E Shaam Ne Sab Sey Kiye Kalaam
        Uttro Yaheen Kay Raahat-E Aab-O Taam Ho
        Behtar Yeh Hai Kay Shab Ko Isi Ja Muqaam Ho

Yeh Baat Sunkay Tham Gayi Sab Fouj-E Naabakaar
Kamrey Khuley Utar Padey Ghodoun Sey Sab Sawaar
Bistar Lagey Bapaa Huvey Khaimey Phir Ek Baar
Ghul Chaar Su Huva Kay Aseeron Sey Hoshiyaar
        In Ki Taraf Sey Khauff Hamein Bey Sabab Nahin
        Shakhjoon Girey Agar Toh Kuch Iska Ajab Nahin

Al Qissa Jis Ghadi Kay Numaayaan Huvi Saher
Lashkar Huva Yazeed Ka Aamaada-E Safar
Utthi Wazu Ko Khwaahar-E Sultan-E Behrobarr
Fizza Ney Jaanemaaz Bichaayi Bachashmey Tarr
        Ekka Ek Dum Malool Siwaa Huvi Jaati Theen
        Zainab Namaaz Paddti Thi Aur Roti Jaati Theen

Faariq Huveen Dua Sey Jo Zainab Ba Chashmey Tarr
Fizza Ko Tabh Bulaa Kay Yeh Boli Woh Nauhagar
Yaan Sey Bahut Qareeb Hai Sunti Hoon Woh Shajar
Khooli Ney Jis Darakht Mey Baandha Tha Sheh Ka Sar
        Ley Chal Wahaan Pey Fatima Zehra Ki Jaayi Ko
        Ro-Ungi Us Darakht Kay Neechey My Bhaai Ko

Uttkar Qareen-E Shajar Kay Jo Pahunchi Kushaan Kushaan
Bey Ekhtiyaar Aankhon Sey Aansoon Huvey Rawaan
Aaya Nazar Jo Khooney Sarey Shah-E Naagahaan
Liptteen Shajar Sey Khwaaharey Sultan-E Inso-Jaan
        Chillati Thi Kay Jaan-E Hazeen Nikli Jaati Hai
        Bhaiyya Tumhaarey Khoon Ki Booh Mujko Aati Hai

Royi Bayaan Kar Kay Jo Zainab Ba Haaley Zaar
Maabayn-E Dasht-E Haaye Hussaina Ki Thi Pukaar
Ek Baagh Tha Wahaan Kay Har Ek Gul Tha Jiska Khaar
Tha Mohtemam Wahaan Ka Tameem-E Sitam Shayaar
        Zulmat Ayaan Thi Kufr Ki Us Badh Khisaal Sey
        Rakhta Tha Bugz Dil Mey Mohammed Ki Aal Sey

Aayi Sadaa Jo Kaan Mey Ronay Ki Ek Baar
Teori Chaddhaaye Baagh Sey Niklaa Woh Badhshiyaar
Dekha Kay Ek Zaeefa-E Ghaamgeen-O Sogwaar
Liptee Huvi Darakht Sey Roti Hai Zaar Zaar
        Raashaa Hai Tanh Mey Rang Bhi Chehray Ka Zard Hai
        Dushman Bhi Ro Rahey Hai Yeh Baatou Mey Dard Hai

Poocha Yeh Isney Aakay Qareeb-E Sipaahey Shar
Aurath Yeh Kaunsi Hai Jo Rothi Hai Is Qadar
Bola Koyi Shaqi Kay Tujhey Kya Nahin Khabar
Zainab Yehi Hai Aashiq-E Sultan-E Behrobar
        Muddath Sey Sogwaar Shahey Tishnakaam Hai
        Yeh Khwaaharey Hussain Alaihis Salaam Hai

Sunna Tha Yeh Kay Ghaiz Mey Ayaa Woh Badh Zubaan
Pahuncha Qareeb-E Dukhtar-E Khatoon-E Insojaan
Tha Aahni Jo Haath Mey Ek Bailchaa-E Giraan
Maara Shaqi Ney Farq Pey Zainab Kay Naagahaan
        Ghash Aagaya Zameen Pa Tharraakay Gir Padey
        Sar Par Lagi Woh Zarb Kay Teoraakay Gir Padey

Abid Yeh Sunkay Laash Pa Pahunchey Ba Chashme Nam
Chehrey Ko Dekh Dekh Kay Roye Basad Alam
Ro Ro Kay Ghusl Deney Lagey Sarwar-E Umam
Dekhey Nashaan Rasan Kay Jo Baazu Pey Hai Sitam
        Boley Nishani Sipaah-E Naabekaar Hai
        Baad-E Fanaa Bhi Daagey Rasan Aashkaar Hai

Jis Waqt Ghusl Dey Chukay Sajjad-E Dilfigaar
Tayyaar Qabr Bhi Huvi Itney Mey Ek Baar
Go Kaamptey Thay Zouf Sey Woh Dast-E Raashadaar
Abid Ney Khud Lahad Mey Utaara Bahaaley Zaar
        Tadpaa Jigar Yeh Shiddat-E Aaho Bukaa Huvi
        Turbat Jo Bandh Ki Toh Qayamat Bapaa Huvi