Rote Thay Dhaadey Maarkay Naamoos E Shaah E Deen

Rote Thay Dhaadey Maarkay Naamoos E Shaah E Deen Marsiya Writeup, Lyrics

Rote Thay Dhaadey Maarkay Naamoos E Shaah E Dee’n
Aaya Dulhan Sey Milney Ko Shabbar Ka Naaznee’n
Rothi Thi Sar Ko Zaanu Pah Rakhey Woh Mehjabee’n
Sadhmey Sey Hilgaya Jigar-E Qasim-E Hazee’n
        Dil Thaam Kar Su-Ey Rukhey Kubra Nigaah Ki
        Yeh Dard Uttha Kay Baitt Kay Masnadh Pah Aah Ki

Rakh Kar Dulhan Kay Maathey Par Haath Apna Yoon Kaha
Sar Ko Utthaao Rothi Ho Kyon Tum Pah Mein Fidaa
Sahab Tumhaarey Baap Ney Toh Humko Di Raza
Doh Tum Bhi Izn-E Jung Kay Narghey Mey Hai Chacha
        Aatey Hain Teer-E Zulm Shahey Khushqisaal Par
        Wallah Jaaye Rahem Hai Ammu Kay Haal Par

Ibney Hassan Ney Baatoun Mein Kholaa Bahoth Magar
Qufley Dahan Haya Thi Na Bvoli Woh Nauhagar
Dulha Ney Jabkey Rakhdiya Jhuk Kar Qadam Pah Sar
Pehloo Mey Dil Tadap Gaya Phattney Laga Jigar
        Ghoonghat Mey Aftaab Sa Mooh Zard Hogaya
        Kaampi Yeh Sharm Sey Kay Badan Sardd Hogaya

Aakhir Bahaa Kay Ashk Yeh Boli Woh Rashk-E Maah
Lutt-The Hain Bachpaney Mey Kahein Kya Zabaan Sey Aah
Chodaa Jab Aapney Toh Hamaara Kahaan Nibaah
Qismath Mey Tha Kay Qaid-E Sitham Mey Phirey Tabaah
        Basthi Lutaa Kay Qabr Ko Aabaad Kijiyeh
        Joh Aapki Khushi Hamey Barbaad Kijiyeh

Saahab Tumhee Qafaa Nahin Laundi Sey Is Qadar
Beizaar Mauth Bhi Hai Kay Ab Takh Na Li Qabar
Kya Bus Hamaara Khair Sidhaaro Karo Safar
Nikleinge Hum Bhi Ghar Sey Koyi Dum Mey Nangay Sar
        Chaaley Hamaarey Sab Sey Judaa Hain Zamaaney Mey
        Tum Hongay Qatl-Gaah Mey Hum Qaid Khaaney Mey

Baba Qareeb-E Margh Chacha Aazim-E Safar
Bhaai Galaa Kataaney Pah Baandhey Huvey Kamar
Jaldi Tumhey Kay Khoon Mey Pehlay Ho Humhi Tarr
Dhoondhoon Bathaao Kiska Sahaara Mey Nauhagar
        Doh Kuch Jawab Paoon Pah Kyon Sar Jhukaatay Ho
        Ek Raat Ki Dulhan Ko Kisey Soumpey Jaatey Ho

Rokaa Hai Kisney Rothey Ho Kaahey Ko Isqadar
Maalik Khuda Hai Beyvo Ki Leygaa Wohi Qabar
Ho Jaayegi Hamaari Bhi Har Haal Mey Basar
Samjhe’ngey Umr Bhar Isi Jungle Ko Apna Ghar
        Bhaai Ki Aas Hai Hamein Ab Toh Na Baap Ki
        Kaate’ngey Dukh Randaapey Ka Turbath Pah Aapki

Poochegaa Gar Koyi Kay Hai Kis Shaqs Ka Mazaar
Tu Koun Hai Jo Rothi Hai Yoon Aye Jigar Figaar
Is Sey Bhi Yeh Kahoongi Mai Bachashm-E Ashkbaar
Shehzaada Ek Tha Yeh Falak Qadr Zee Viqaar
        Nausha Bankay Baagh-E Jahaan Sey Guzar Gaya
        Sehraa Bhi Sar Khulney Na Paaya Kay Margaya

Saaheb Hamey Kalaam Ki Taaqath Nahin Hai Ab
Yeh Toh Kaho Kay Tumse Mulaaqath Hogi Kabb
Dulhaa Ney Bharkay Aankhoun Mey Aansoo Kaha Yeh Tabh
Kausar Pah Roz-E Hashr Miloonga Mein Tashnaa Labb
        Daadi Kay Saath Jab Su-Ey Firdaus Jaaogi
        Jis Jaah Hussain Hongay Waheen Humko Paaogi

Rokar Pukaari Maa Kay Main Qurbaan Jaaoon Aao
Narghaa Hai Shaamiyoun Ka Chacha Ki Madad Ko Jaao
Detaa Bus Ab Dulhan Ki Mohabbat Sey Haath Utthaao
Leyna Hai Baagh-E Khuld Toh Phal Barchiyoun Kay Khaao
        Sadqey Gayi Azeez Na Apna Lahoo Karo
        Jaldi Gala Kattaakay Mujhe Surkh Rooh Karo