Rawana Nehr E Laban Ko Jo Sheer Khaar Huwa

Rawana Nehr E Laban Ko Jo Sheer Khaar Huwa Marsiya Writeup, Lyrics

Rawana Nahr-E-Laban Ko Jo Sheerkhwar Huwa
Zabaan Dekhaney Pa Gardan Se Teer Paar Huwa
Tadap Ke Hathoun Pa Hazrath Ke Hamkanaar Huwa
Qizaan Huwa Jo Wo Gul Tou Gale Ka Haar Huwa
        Idhar To Shaah Ko Ye Sadma-E- Jigar Pahoncha
        Udhar Madine Se Sughra Ka Naamabar Pahoncha

Lahu Me Gharq Khade The Kamar Jhuka-E- Huwe
Pisar Ki Nanhi Si Mayyath Gale Lagaa-E- Huwe
Lahu Bhara Huwa Daaman Use Udhaae Huwe
Kafan Ki Fikr Me Qhaime Ko Mu Phira-E- Huwe
        Ye Haal Dekh Ke Qaasidh Ki Aas Toot Gayi
        Huwa Ye Raasha Ke Fouran Mehaar Choot Gayi

Utar Ke Naaqhe Se Aadaab Wo Bajaa Laaya
Magar Hussain The Behosh Kuch Na Farmaaye
Wo Nouha Padhtha Huwa Aur Muttasil Aaya
Nigaah-E- Yaas Se Mu Dekh Kar Ye Chillaya
        Qharaar Do Mujhe Main Beqaraar Hota Hoon
        Hussain Jaan Ke Tumpar Nisaar Hota Hoon

Kaho Baqeeya-E Aulad-E- Murtaza Ho Tum
Ameer-E- Lashkar-E- Allah-O- Mustafa Ho Tum
Gareeb-E Koofa-O- Mazloom-E- Karbala Ho Tum
Bataa-O- Qasim-E- Nashaad Ke Chacha Ho Tum
        Jawaab Do Pidar-E- Namuraad-E- Akbar Ho
        Janab-E Hazrathe Abbas Ke Baraadar Ho

Bahan Hai Aapki Zainab Sakina Duqtar Hae
Har Awwal Aapkay Lashkar Ka Hurr-E- Safdar Hae
Watan Me Bhi Koi Beti Aleel-O Shashdar Hae
Huzoor Ka Koi Nanha Sa Laal Asghar Hae
        Zohair Aur Habeeb Aap Ke Musaaheb Hae
        Janab Aun-O Mohammed Kay Maamu Saheb Hae

Hussain Bharke Dam-E Sard Bole Ay Ghamkhar
Ameer Koun Hae Main Toh Hoon Bekas-O- Nachaar
Kahan Hain Akbar-O- Qasim Kahaan Alambardaar
Qhuda Ke Bande The Ye Sab Huwee Qhuda Pa Nisaar
        Sipaahe Zulm Ne Tanha Samajh Ke Ghera Hai
        Hazaroun Tegh Hai Aur Aik Halq Mera Hai

Hataayi Chehre Se Asghar Ke Qhoon Bhari Chadar
Paseena Mauth Ka Maathe Se Pouncha Sar Ta Sar
Pukare Laashey(Murde) Ki Aankhoun Pa Hontoun Ko Rakh Kar
Likhi Hae Fatima Ne Deedaa Bosi-E Asghar
        Gawah Rahiyo Kay Faaqe Se Jhoomtha Hai Hussain
        Aur Unke Bhai Ki Aankhon Ko Choomtha Hai Hussain

Benaaloon Nanhi Si Qabr Inki Aye Khujistha Siyar
Toh Le Chaloon Pisar-E- Noujawan Ke Laashe Par
To Padhiyo Lasha-E- Akbar Pa Naama-E- Khaahar
Ye Kahke Ghodey Se Utrey Imam Jinn-O- Bashar
        Zameen Qabr Ki Khatir Pasandh Karney Lage
        Mazaar Khod Ke Naale Baland Karney Lage

Lahu Se Ghusl To Asghar Ko Dey Chuki Thi Qazaa
Malee Basoorath-E- Kaafoor Shay Ne Qhaake Shifa
Utaara Qabr Me Asghar Ka Khoon Bhara Laasha
Lita-Ke Qhaak Pa Qibla Ki Simth Mu Phe-Ra
        Phir Apne Chand Ko Jab Qhaak Me Chipaney Lage
        To Ya Ali Kaha Aur Haath Thar Tharraaney Lage

Ye Haal Dekh Ke Qaasid Ne Ki Madadgaari
Lahad Me Ungliyoun Se Qhaak Daali Ekbaari
Pukari Qaime Ke Dar Se Ye Bano Dukhiyaari
Ye Kis Ki Qabr Ki Hothi Hai Ran Me Tayyari
        Hussain Bole Ke Sadme Naye Guzarthe Hain
        Tumhare Hansliyaan Waale Ko Dafn Karte Hain

Giri Zameen Pa Kaleja Pakad Ke Wo Nachaar
Pukari Meri Kamaal Hai Aye Zameen Hushiyaar
Na Murda Jaaniyo Hae Meri Jaan Ye Dildaar
Zameen Me Tere Sadqe Tere Makeen Ke Nisaar
        Ye Zair-E- Qhwaab Meri Mannatoun Ka Baagh Mila
        Mujhe Ye Phool Mila Aur Dil Ko Daagh Mila

Balaen Door Se Lele Ke Phir Kiya Ye Bayaan
Tumhari Nanhi Lahad Ki Mai Waari Asghar Jaan
Andhera Ghar Hai Na Ghabraiyo Ye Maa Qurbaan
Akele Soney Ki Mushkil Qhuda Kare Aasaan
        Tumhare Chahne Wale Gale Lagaaenge
        Mujhe Yaqeen Hai Janaab-E Ameer Aaenge