Ran Se Jab Khake Sina Akbar E Zeeshan Aaye Marsiya Writeup, Lyrics
Ran Se Jab Khake Sinaa’n Akbar -E- Zeeshaan Aaye
Maa Ki Qidmath Me Koi Aan Ke Mehmaa’n Aaye
Ghar Me Laashe Ko Liye Shah -E- Shahidaa’n Aaye
Nouha Gar Qhaak Basar Chaak Garebaa’n Aaye
Di Sada Qatl Huwe Yousuf -E- Saani Bano
Mil Gayi Qhaak Me Akbar Jawani Bano
Dekhle Aaqri Deedar Pisar Marta Hae
Saamne Ankhoun Ke Ye Noor-E- Nazar Marta Hae
Ab Koi Dam Me Mera Rashke Qamar Marta Hae
Mu Se Baaher Hae Zabaan Tishna Jigar Marta Hae
Dam Hae Seena Me Ruka Zakhmoun Se Khoon Jaari Hai
Shahar Bano Tera Ghar Lutne Ki Tayyari Hai
Pahonchi Qaime Jo Hazrath Ko Ye Purdard Sadaa
Muztarib Hoga -E- Naamoose Rasoole Dosara
Kaha Chilla Ke Sakina Ne Ke Hae Hae Bhayya
Fizza Dowdi Soo-E- Dar Phaink Ke Sar Par Se Ridaa
Peet Thi Zainab -E- Muztar Nikal Aai Baahar
Baano Ghabra Ke Khule Sar Nikal Aai Baahar
Shah Ne Kaandhe Pa Jo Dekhe Ali Akbar Ko Nidhaal
Haath Phalla Ke Ye Chillal Ke Hae Mere Laal
Kya Ghazab Hogaya Aye Baad-E- Shah-E- Naik Qisaal
Raas Aaya Na Mere Bacche Ko Attarwaan Saal
Tukde Teghoun Se Badan Hogaya Saara Hae Hae
Koun Tha Jis Ne Mere Sher Ko Maara Hae Hae
Roke Bano Se Ye Farmane Lage Sarwar-E- Deen
Sar Na Peeto Abhi Zinda Hae Mera Maah-Ejabeen
Saans Aati Hae Pa Har Dam Hae Dam-E- Baad-E- Paseen
Kooch Unka Bhi Hae Aur Ham Bhi Hae Marne Ka Qareen
Sab Chute Ab Na Raha Koi Hamara Baano
Is Jawaan Bete Ke Gham Ne Hamen Maara Baano
Sun Ke Maadar Ki Sadaa Khol Diye Dida-E- Nam
Haath Utha Kar Kaha Rowo Na Mere Sar Ki Qasam
Paas Aakar Hamen Chaati Se Lagalo Isdam
Ran Se Aaye Hai Tumhaari Hi Mulaaqaat Ko Ham
Phir Ye Ghar Shaah Ke Iqbaal Se Dekha Hamne
Par Tumhen Aake Ajab Haal Se Dekha Hamne
Baal Kyun Bikhre Hain Kyun Phaink Di Sar Par Se Rida
Neel Kyun Seeene Pa Hai Kyun Hai Garebaan Phata
Qhaak Kyun Mu Pa Mali Ho Ye Pisar Tum Pa Fida
Shaah Dunya Me Salamat Rahe Ye Kya Ye Kya
Lut Gayi Ye Na Suqan Mu Se Nikaalo Amma
Main To Jeeta Hoon Kaleje Ko Sambhalo Amma
Zaqmi Hone Ki Mere Kis Ne Qabar Pahonchaai
Jhoot Hae Main Ne To Hargiz Nahi Barchi Khaai
Aap Tak Bete Ko Taqdeer Salamat Laai
Dekhe Hazrath Ke Qadam Tan Me Mere Jaan Aa
Marg Se Pahle Ho Maatam Ye Zaboon Hae Amma
Mere Kapdoun Pa To Abbas Ka Qhoon Hae Amma
Boli Bano Ke Jo Kahte Ho Quda Yun Hi Kare
Aye Mere Laai Ye Maa Teri Balaa Leke Mare
Laao Dho Daalun Main Jo Qhoon Me Kapde Hain Bhare
Chand Se Haath Hain Phir Kis Liye Chaati Pa Dhare
Mujh Ko Maalum Huwa Qhalq Se Jaate Ho Tum
Mere Rone Keliye Zaqm Chupatee Ho Tum
Bano Sadme Se Na Marjae Ye Dar Hae Beta
Sab Tere Dil Ki Mere Dil Ko Qabar Hae Beta
Haae Seena Ye Tera Qhoon Me Tar Hae Beta
Phir Ye Kya Hai Jo Nahi Zaqme Jigarhae Beta
Sansanatha Hae Jigar Jaan Chali Jaati Hae
Is Lahoo Se To Mere Doodh Ki Boo Aathi Hae
Aarzu Hae Ke Phale Phule Mera Naqle Muraad
Tum Dulhan Byaah Ke Laao Mera Ghar Ho Aabaad
Dehkh Loon Ankhoun Se Apne Main Tumhari Aulaad
Phir Main Dunya Se Jo Guzzroon To Rahe Rooh Bhi Shaad
Daabi Kahlaaungi Rutba Mera Bartar Hoga
Tera Farzand Bhi Hamshaki -E- Payambar Hoga
Aah Ki Sun Ke Ye Akbar Ne Basad Ranj-O- Malaai
Dard Chaathi Me Utha Ghair Huwa Aur Bhi Haai
Dil Me Ye Soch Ke Rone Laga Wo Naik Qisaal
Ham Safar Karte Hain Amma Ko Hai Shaadi Ka Qayaal
Bar Me Hoega Kafan Qhaak Pa Chehra Hoga
Naa Dulhan Hogi Na Aulaad Na Sehra Hoga