Ran Me Jab Shah Ki Taraf Se Hur E Deendar Aaya

Ran Me Jab Shah Ki Taraf Se Hur E Deendar Aaya Marsiya Writeup, Lyrics

Ran Me Jab Shah Ki Taraf Se Hur-E-Dee’ndar Aaya
Kis Bashashat Se Uddaataa Huwa Rehwaar Aaya
Ghul Huwa Syed-E-Mazloom Ka Ghamqhwaar Aaya
Jaan Nisaare Qhalafe Hyder-E Karrar Aaya
        Tathqhey Noor Sarey Raah Nazar Aata Hae
        Jalwa-E Qudrat-E Allah Nazar Aata Hae

Ye Suqan Sunke Pukara Pisar-E Saad-E Shareer
Haan Tarafdaar-E Shah-E Deen Pay Chaley Naiza-O- Teer
Leke Harboun Ko Badha Fouj Ka Amboh-E Kaseer
Fateha Padh Ke Jawan Mard Ne Khenchi Shamsheer
        Hurr Ka Mu Surq Huwa Fouj-E- Sitam Zard Huwi
        Shola-E- Tegh Se Bijli Ki Chamak Gird Huwi

Badh Ke Farmatey The Abbas Zahey Izzat-O- Jaah
Baarek Allah Ki Deta Tha Sada Dilbar-E Shah
Kahte The Ibn-E- Hasan Waah Hurr-E-Ghaazi Waah
Shah Har Zarb Pa Farmate The Masha Allah
        Apni Jaan-Baazi Ka Ghaazi Jo Silaa Paata Tha
        Muskurata Huwa Tasleem Ko Jhuk Jaata Tha

Haif Jhukne Me Layeenoun Ne Jo Fursat Paai
Saamna Choddh Ke Sab Fouj Aqab Se Aai
Laakh Khoon Reiz Idhar Aur Udhar Tanhaai
Baag Ghodey Ki Phiraata Tha Kay Barchi Khaayi
        Aagaya Maut Ke Panje Me Na Kuch Deyr Lagi
        Farqh Par Gurz Laga Dosh Pa Shamsheer Lagi

Seena Ghurbaal Huwa Teer Chale Aadaa Ke
Rakhdiya Sher Ne Qarbooz Pa Sar Neodaa Ke
Ali Akbar Ne Ye Hazrat Se Kaha Chilla Ke
Gar Ho Irshaad To Mehmaan Ko Bachaaun Jaake
        Qaadim-E- Hazrate Zehra-O- Ali Girta Hae
        Khaak Par Ab Wo Saeed-E- Azali Girta Hae

Shah Rone Lage Ye Sunte Hi Mehmaan Ki Qabar
Hogai Aansuoun Se Resh-E- Mubarak Sab Tar
Ali Akbar Se Kaha Tum Abhi Tahro Dilbar
Hurr Ki Imdaad Ko Ham Jaaenge Aye Noor-E Nazar
        Kis Se Is Waqt Kahoon Main Jo Qhalaq Mujh Par Hai
        Laash Uthaaunga Ke Mehmaan Ka Haq Mujh Par Hai

Ye Suqan Kah Ke Chale Ran Ko Janab-E-Shabbir
Waanh Gira Qhaak Pa Ghode Se Hurr-E- Ba Touqeer
Dekh Kar Shaah Ko Aate Huwe Bhaage Be Peer
Pahonche Laashe Pa Imam-E- Do Jahan Waqte Aqeer
        Chaman-E- Hasti-E- Mehmaan Ko Ujadte Dekha
        Qhaak Pa Aediyaan Zaqmi Ko Ragadte Dekha

Girke Laashe Ke Baraabar Ye Pukaare Sarwar
Mera Mehmaan-O- Madadgaar-O- Moin-O- Yaawar
Gurz Kya Tujhko Laga Toot Gayi Meri Kamar
Girpada Ghode Se Aur Aah Na Ki Hamko Qabar
        Dost Ke Hujr Me Kab Ddost Ko Chain Aaya Hai
        Kholde Chashm Ko Bhai, Ke Hussain Aaya Hai

Neem Waah Chashm Se Hurr Ne Ruq-E- Moula Dekha
Zeerey Sar Zanu-E- Shabbir Ka Takya Dekha
Muskura Kar Taraf-E- Aalam-E-Baala Dekha
Shah Ne Farmaya Ke Aye Hurr-E- Jari Kya Dekha
        Arz Ki Husn-E Ruqh-E Hoor Nazar Aata Hai
        Farsh Se Arsh Talak Noor Nazar Aata Hai

Mujh Ko Lene Chale Aatey Hain Farishte Ya Shah
Malakul Maut Bhi Karta Hai Mohabbat Ki Nigaah
Qhuld Se Sher-E- Khuda Nikle Hain Allah Allah
Lo Baramadh Huwe Shabbar Bhi Pidar Ke Hamraah
        Nange Sar Ahmed-E- Muqtar Ki Pyari Aayi
        Dekhiye Aap Ke Nana Ki Sawaari Aai

Kahke Ye Godh Me Shabbir Ke Li Angdaai
Aaya Maathe Pa Araq Chahre Pa Zardi Chaai
Sheh Ne Farmaya Hamen Chodd Chale Kyun Bhai
Chal Basey Hurr-E- Jaree Phir Na Kuch Aawaz Aai
        Taair-E Rooh Ne Parwaaz Ki Toobaa Ki Taraf
        Putliyaan Rahgayeen Phir Kar Shah-E- Wala Ki Taraf

Rokey Akbar Ne Kaha Hurr-E- Dilawar Hai Hai
Aye Madadgaare Jigar Bandey Payambar Hai Hai
Khoon Me Sab Tar Hai Tera Roohey Munawwar Hai Hai
Tashna-O Bekas-O Mazloom Ke Yaawar Hai Hai
        Idhar Aana Tha Ke Teri Ajal Aayi Bhai
        Ghar Me Sadaat Ke Dawat Bhi Na Khaayi Bhaai