Ran Me Abru Kamaan Ki Aamad Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Ran Me Abru Kamaan Ki Aamad Hai
Asghar-E- Bezabaan Ki Aamad Hai
Bhuke Ki Natawaan Ki Aamad Hai
Pyaase Ki Neemjaan Ki Aamad Hai
Yahi Qaime Me Shour Hota Hai
Wadaa Unka Bhi Pura Hota Hai
Pyaas Ne Kardiya Hai Ye Aalam
Ghash Pa Ghash Aate Hain Unhen Paiham
Hilte Hain Haath Paaun Bhi Kam Kam
Seene Me Ab Nahi Samatha Dam
Gham Se Matam Zadoun Ko Sakta Hae
Nanha Syed Pada Sisaktha Hae
Ro Nahi Sakte Mu Banaathe Hain
Aankhen Ulti Huwi Phiraathe Hain
Qushk Mu, Waa Zabaan Dikhate Hain
Ghul Se Rone Ke Sahme Jaathe Hain
Mu Khula Hae Dhadakthi Chathi Hai
Saans Bhi Ab Atakthi Aati Hai
Seena Garmi Ke Maare Jalta Hai
Nanha Sa Dil Pada Uchalta Hai
Dam Ba Dam Rang Ko Badalta Hai
Bas Nahi Kuch Kisi Ka Chalta Hai
Naam Paani Ka Sab Jo Lete Hain
Mu Ko Ghabra Ke Khol Dete Hain
Roke Kahti Hae Bano-E Dilgeer
Main Kidhar Jaaun Kya Karoon Tadbeer
Haae Bacche Mere Teri Taqdeer
Naa Tho Paani Mila Tujhe Naa Sheer
Haal Jab Dekhthi Hai Bad, Zainab
Kahthi Hai Ya Ali Madad, Zainab
Haae Kya Waqt Hae Pada Ham Par
Karne Paa-E- Na Maatam-E Akbar
Huwi Darpaesh Rahlathe Asghar
Ab Main Nikloongi Odh Kar Chaadar
Lashkar-E- Sham Paas Jaaungi
Haal Besheer Ka Sunaaungi
Kahungi Jaake Main Hoon Saidaani
Dekho Marta Hai Ye Mera Jaani
Tishnagi Ki Hai Ispa Tughyaani
Waah Kya Qhoob Ki Hai Mehmani
Karo Sayraab Laal Ko Mere
Paani Do Nounehaal Ko Mere
Qaime Me Aae Sarwar-E Aalam
Jhule Se Bezubaan Ko Laye Haram
Shay Ne Dekha Ke Hai Laboun Par Dam
Roke Irshad Ye Kiya Paiham
Mere Jaani Mere Jigar Aao
Chalo Maidan Ki Saer Kar Aao
Kahke Ye Roe Sarwar-E- Zeejaah
Liya Hathoun Pa Apne Ghirath-E- Maah
Kiya Pinhaan Abaa Me Qaatirqaah
Aur Kaha Lallaah – Illallah
Leke Pyase Ko Ashbaar Chale
Pusht Qam Karke Be Qaraar Chale
Roke Kahne Lage Imam-E- Ghayur
Ghafilo Kuch Nahi Hai Tum Ko Shaoor
Tum Samajhna Nahi Qhuda Ko Door
Mere Bacche Ka Kuch Nahi Hai Qusoor
Be Gunaaj Ki Na Jaan Lo Yaaro
Mere Kahne Ko Maanio Yaaro
Zalimo Waastha Payambar Ka
Dam Nikaltha Hai Mere Dilbar Ka
Tar Karo Halq Mere Asghar Ka
Jaam Doonga Main Tum Ko Kausar Ka
Hurmala Bola Aab Milta Hai
Tahro Tahro Jawab Milta Hai
Bole Karta Hai Kya Ghazab Zalim
Maartha Kyun Hai Besabab Zalim
Paani Maangenge Ham Na Ab Zalim
Sunta Tha Shah Ka Kahna Kab Zalim
Teer Abroo Kamaan Ko Maara
Che Mahine Ki Jaan Ko Maara