Qasim Jo Ham Shabi E Janaab E Ameer Tha Marsiya Writeup, Lyrics
Qasim Jo Hamshabi-E Janaab-E Ameer Tha
Is Wajha Se Wo Gheerath-E Mehere Muneer Tha
Aur Aashiq-E- Jamaal-E- Shah-E Benazeer Tha
Parwana-E- Charagh-E- Rasool-E- Qadeer Tha
Akbar Se Kahta Tha Ke Chacha To Imam Hain
Aye Bhaai Jaan Ham To Tumhaare Ghulaam Hain
Ye Kahte The Ke Tum Mere Dada Ki Shaan Ho
Dil Ho Jigar Ho Aankh Ho Bhaai Ki Jaan Ho
Aye Bhaai Jaan Kya Teri Qoobi Bayaan Ho
Hazrath Hassan Ki Tarha Se Tum Shireen Zabaan Ho
Phir Pyar Se Wo Haathoun Ko Gardan Me Daalke
Kahte The Qatl Honge Ham Atthara Saal Ke
Fouj-E- Zulm(Jafaa) Se Itne Me Teer-E- Jafaa Chalay
Aur Yaan Se Peshwaai Ko Ahl-E Wafaa Chalay
Aaye Quda Ki Simt Se Soo-E- Quda Chalay
Kahte The Shaah Zour-E- Muqaddar Se Kya Chalay
Qaasim Rahe Aur Akbar-O- Abbas Rahgaye
Sattharr Do Tan Me Teen Jawaan Paas Rahgaye
Is Gham Se Jo Hussain Ki Haalat Huwi Tabaah
Tab Haath Pakde Qaime Me Qaasim Ko Laaye Shaah
Zainab Se Phir Ye Bolo Imam-E- Falak Panaah
Darpesh Ham Ko Aaj Hai Do Bekasoun Ka Byaa
Taqreeb Soughwaar Me Dulha Dulhan Ki Hai
Zainab Utho Utho Yeh Wasiyaath Hassan Ki Hai
Ibne Hassan Ko Laake Libaas-E Hassan Pinhaao
Qaasim Ki Maa Ko Maadar-E- Kubra Ko Jald Laao
Wo Boli Jaan Bhujh-Ke Bhayya Na Ye Sunaao
Is Kaam Ke Liye To Kisi Aur Ko Bulaao
Maatam Ke Ghar Se Koi Bhi Jaatha Hai Byaah Me
Betoun Muwi Ko Koi Bulatha Hai Byaah Me
Jin Hathoun Se Kai Betoun Ki Lashen Uthaaun Mai
Un Haathoun Se Bhatije Ko Dulha Banaaun Mai
Farsh-E- Aza Jahaan Pa Ho Safay Maatam Bichaaun Mai
Kubra Ko Waan Libaas-E- Urrosi Pinhaaun Mai
Kyun Kar Bhala Ye U-Sey Ho Jo Qiar Qaah Ho
Meri To Ye Duaa Hai Mubarak Ye Biyaah Ho
Yaadash Baqair Fatema Sughara Nahi Yahan
Ruqsat Ke Waqt Kahthi Thi Mujh Se Wo Naatawaan
Qaasim Ka Byaah Howe Safar Me Jo Naagahaan
Tum Mujhko Yaad Karke Bulalijiyo Wahaan
Afsos Ki Jagah Hai Koi Naamabar Nahi
Qaasim Ka Byaah Hota Hai Usko Qabar Nahi
Shah Ne Kaha Bahan Na Taraddud Karo Zara
Maatam Ka Apne Betoun Ke Haan Uzr Hai Baja
Ye Aqdh Bhi Hai Fidya-E- Sibt-E- Rasool Ka
Shaadi Kujaa Aur Aal-E- Rasoole- Quda Kujaa
Jaaega Namuraad Ye Dulha Jahaan Se
Taa Hashr Shaadi Uth Gayi Is Khaandaan Se
Rone Lagi Ye Sunte Hi Bano Ki Nowhagar
Ke Logo Phirte Ho Tum Kya Idhar Udhar
Naadar Jaan Kar Mujhe Mohtaaj Jaankar
Beti Ke Byaah Ki Koi Degta Nahi Qabar
Shayad Mai Kuch Haqeer Hoon Sab Ki Nigaah Me
Mai Aap Hi Na Baithoongi Kubra Ke Byaah Me
Kahthi Thi Yun Phupi Se Sakina Ke Kya Hai Gham
Lo Bhaai Dulha Bante Hain Ab Naik Lenge Hum
Saamaan-E- Aqdh Jama Parishaan Magar Haram
Qaasim Ki Maa Pukaari Fida Aye Shah-E- Umam
Loundi Hoon Aaj Se Mai Shah-E- Qushqisaal Ki
Shaadi Hussain Karte Hain Beyva Ke Laal Ki
Is Ghar Me Ab Na Hoega Aisa Bhi Koi Byaah
Ab Tum Ho Qald Khaana Hai Aur Zulm Ki Sipaah
Zainab Pukaari Qair Jo Farmaaen Mujh Ko Shaah
Shaahana Pairahan Bhi To Ghar Me Nahi Hai Aah
Shah Roke Bole Aap Tho Ahle Shaoor Ho
Qillat Agar Naho Agar Pa Kafan Ek Zaroor Ho
Bin Maa Ki Beti Kaa Bhi Koi Yun Kare Na Byaah
Ye Koun Din Hai Byaah Ka Samjho To Dil Me Aah
Paani Ka Qahat Khaane Ka Dukh Nargha-E- Sipaah
Mehmaan Judaa Azizoun Ke Marne Se Hae Tabaah
Faryaad Ek Taraf Hai Kahin Shor-O- Aah Hai
Qudrat Quda Ki Ye Meri Beti Ka Byaah Hai