Qaid Se Jab Pisare Muslim E Bepar Choote

Qaid Se Jab Pisare Muslim E Bepar Choote Marsiya Writeup, Lyrics

Qaid Se Jab Pisare Muslim E Bepar Choote
Bekasou Be Watan Wa Aajizo Muztar Choote
Baad Ek Saal Ke Wo Do-Nou Baradar Choote
Chote Se Sin Mey Bade Ranj Uthakar Choote
         Doudthe The Kabhi Ghabraakar Kabhi Girthe They
         Shab-E Taarik Mey Do Chand Padey Phirte They

Roke Kehta Tha Badey Bhai Se Chota Hardam
Bayt Kar Ab Kahi Dam Lelo Nahi Uth-Tey Qadam
Doudthey Doudthey Seene Mey Samatha Nahi Dam
Manzilou Chalne Se Bhai Kabhi Waakif Nahi Ham
         Baap Ke Saath Tou Rahat Se Idhar Aaye The
         Taaba Kufa Hamey Goodee Mey Pidar Laaye The

Is Se Kehta Tha Bada Bhai Bachashmey Giryaa
Tum Meri Godh Me Aao My Tumhare Qurbaa
Baap Ke Waqt Ki Rahath Ka Bhala Kya Ho Bayaa
Ab Tou Ham Bekasou Tanha Huwe Baba Hai Kaha
         Jo Muqaddar Mey Hai Wo Joro Jafa Dekhenge
         Kya Khabar Thi Ke Yateemi Ki Bala Dekhenge

Nagaah Charq Par Zaahir Huwe Aasaare Saher
Subha Ke Hote Hi Faq’h Hogaye Wo Lashke Kamar
Dekha Ek Chashmaye Sheeri Ke Kinare Ye Shajar
Jake Is Naql Mey Panay Huwe Muslim Ke Pisar
         Aur Rahat Na Kahin Gesuvo Waalou Ko Mili
         Aman Ki Jaa’n Wahi Intaaza Nihaalou Ko Mili

Aftaab Liye Waarid Huwi Wa Ek Zane Peer
Ek Jaan Us Ko Nazar Aagaye Do Mahe Muneer
Is Ka Mu Dekh Ke Ghabra Gaye Wo Tifle Sageer
Tab Za-Yefa Ne Khareeb Aan Ke Ye Ki Takreer
         Ye Tou My Samjhi Ke Aawara Watan Ho Dono
         Koun Se Baagh Ke Tum Guncha-Dahan Ho Dono

Roke Wo Bole Ke Kya Haal Kahe Ay Madar
Ham Hai Gurbath Zada Wa Bewatan Was Qasta Jigar
Ma To Yasrab Mey Hai Kufe Huwe Qatl Pidar
Baap Hota Tou Ye Dukh Kaheko Padta Hampar
         Do Do Din Tak Nahi Ghurbath Me Ghiza Milti Hai
         Na Tou Mouth Aati Hai Na Amr Ki Jaa’n Milti Hai

Tu Ne Ro Ro Ke Jo Ehwaal Hamaara Poocha
Maa Ki Safqath Hamey Yaad Aagaye Is Dam Ba Quda
Sahebe Dard Hai Dey-Ve Tujhe Allah Jaza
Gir Ke Khadmou Pe Pukari Ke Ye Laoundi Ho Fida
Samjhi My Burje Imaamath Ke Sitaare Ho Tum
Hai Ghazam Muslim-E Mazloom Ke Pyaare Ho Tum

Ta Athey Haq Se Yateemou Ne Jo Fursath Paaye
Maa Hazr Saamne Dono Ke Zaeefa Laaye
Din Tou Raahath Se Kata Shaam Musibath Aaye
So Gaya Hujre Me Bhai Se Lipat Kar Bhai
         Nisf Shab Thi Ke Wo Maloon Wo Bad Anjaam Aaya
         Neend Ya Aayi Waha Mouth Ka Payaam Aaya

Kehke Ye Gusse Mey Bistar Par Gira Wo Gaddar
Aagaya Khwaabe Ajal Dushmaney Deen Ko Ek Baar
Wa Kazaara Huwe Hujre Mey Wo Ladke Bedaar
Chote Bhai Ne Badey Se Ye Kaha Ba-Dilezar
         Qwaab Me Syed-E Loulaakh Ko Dekha Maine
         Abhi Baba Ke Ruqhe Paak Ko Dekha Maine

Roke Usdam Ye Bade Bhai Ne Chote Se Kaha
Maine Wallah Yahi Qwaab Abhi Dekha Tha
Kehke Ye Roye Gale Milke Basad Aaho Buka
Aamad-E Marg Huwe Qwaab Se Haaris Chouka
         Poocha Maadar Se Yaha Aao Buka Kaisi Hai
         Ghar Ke Hujre Mey Ye Rone Ki Sada Kaisi Hai

Boli Ghabrake Zayefa Tujhe In Baatou Se Kya
So Bhi Rah Tu Koi Hamsaya Mey Rota Hoga
Nangi Talwar Liye Haath Mey Zaalim Uttha
Jaate Dailaan Ke Darwaaze Ko Jaldi Khola
         Dar Ke Khulte Hi Ajab Tarha Ka Aalam Dekha
         Ek Ghar Me My Wo Khursheed Ko Baham Dekha

Tegh Uthakar Ye Kaha Kis Ke Ho Tum Noor-E Nazar
Dar Ke Vo Bole Ke Hum Dono Hai Muslim Ke Pisar
Tere Mehmaan Hai Talwaar Alam Ham Pe Na Kar
Ye Sukhan Sunte Hi Douda Wo Laee’n Bad Aqtar
         Dono Bach-Chou Pe Jhuka Tege Jafa Jo Pakde
         Ek Ka Haath Aur Ek Bhai Ka Gesu Pakd