Qaid Khane Me Talatum Hai Ke Hind Aati Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Qaid Khane Me Talatum Hai Ke Hind Aati Hai
Duqtar-E- Faatema Ghirat Se Muee Jaathi Hai
Rooh Qaalib Me Woh Zindaan Me Ghabraathi Hai
Be Hawaasi Se Har Ek Baar Woh Chillaathi Hai
Aasmaan Door Zamin Saqt Khidhar Jaaun Main
Bibiyo Milke Duaa Maango Ke Mar Jaaun Main
Kya Karoon Kya Na Karoon Jald Bataao Logo
Sadqa Akbar Ka Hiqaarath Se Bachaao Logo
Oatt Karke Ho Khade Mujh Ko Chupaao Logo
Ya Kisi Goshey Me Lejaake Bithaao Logo
Sar Khuli Ho Kisi Hujre Me Mujhe Bandh Karo
Hind Aathi Hai Mujhe Khaak Ka Paiwandh Karo
Is Tarha Hind Ke Aane Se Na Ghabraaun Main
Bint-E- Hyder Hoon Na Kyun Qaid Me Sharmaaun Main
Koi Deewaar Jo Shaq Hoto Samaa Jaaun Main
Sedhe Maajaae Ke Maqtal Ko Chali Jaaun Main
Karbala Me Na Yeh Zillat Hai Na Ruswaai Hai
Be Ridaa Main Hoon To Be Gour Mera Bhai Hai
Naagahaa Fizza Ne Di Ahle- Haram Ko Ye Qabar
Hind Aathi Hai Bade Jaaho- Tahammul Se Idhar
Beeraqain Naqra-O- Zar Ki Hain Juloo Ke Andar
Sab Kaneezen To Ridaa Odhi Hain Wo Nange Sar
Par Sawaari Bahut Aahistha Rawaan Hothi Hai
Har Qadam Hind Teharr Jaathi Hai Aur Roti Hai
Kahthi Hai Qaidiyoun Ke Shour-E Bukaa Ne Maara
Mujh Ko Is Haae Hussaina Ki Sadaa Ne Maara
Inke Sardaar Ko Kis Ahl-E- Jafaa Ne Maara
Kya Wo Syed Tha Jise Ahl-E- Dagha Ne Maara
Aik Bijli Si Kaleje Pe Mere Girthi Hai
Nange Sar Faatema Aankhoun Ke Tale Phirthi Hai
Hogaya Zibha Koi Qhaasa-E- Baari Logo
Ins-O- Jin Hoor-O- Malak Karthe Hain Zaari Logo
Lechalo Soo-E- Najaf Meri Sawaari Logo
Hogi Mushkil Wahin Aasan Hamaari Logo
Qair Se Hain Mere Aaqa To Wo Sote Honge
Warna Marqadh Me Ali Betey Ko Rothe Honge
Bar-E- Zindaan Pa Huwa Itne Me Ambouh Kamaal
Boule Darbaan Badhe Doulat-O- Umr-O- Iqbaal
Qaidiyo Uttho Adab Se Karo Sab Isteqbaal
Zan-E- Haakim Ka Hai Zindaan Me Nuzool-O- Ajlaal
Qasr-E- Shaahi Se Jo Tashreet Yahaan Laathi Hain
Parwarish Karne Ko Tum Sab Ki Huzoor Aathi Hain
Loundiyaan Thin Zan-E- Haakim Kay Juloo Me Jo Rawaan
Dekhthi Kya Hain Ke Ek Sher Hai Aahan Me Nihaan
Laaghar-O- Qasta Tan-O- Faaqakash-O- Tishna Dahaan
Mooh Pa Saili Ke Nishaan Pusht Pa Durroun Ke Nishaan
Saaqay Pa Faaqe Se Zanjeer Mey Tharrathi Hai
Istheqanoun Se Larazne Ki Sadaa Aathi Hai
Sab Ne Mu Karke Soo-E- Hind Ye Ki Nouha Giri
Dekhiye Shaam Ke Zindaan Me Chiraaghe Sahari
Yaade Qaaleq Me Jo Hai Qalq Se Hai Be Qabari
Kyun Musalsil Kiya Ye To Hai Adam Ka Safari
Kis Ne Dam Band Kiya Touq-E- Jafaa Se Iska
Silsila Miltha Hai Kuch Shair-E Khuda Se Iska
Gird Aabid Ke Phiri Hind Ba Haal-E- Taagheer
Rakh Diya Paaun Pa Sar Apna Hataakar Zanjeer
Bole Woh Kaun Hai Boli Ke Kaneez-E- Shabbir
Aasalaam Aye Rasan-O- Touq-O- Salaasal Ke Aseer
Hai Wasiyyath Ka Mahal Marne Pa Tayyar Hai Too
Kuch Kafan Ke Liye Rakhtha Hai Ke Naadaar Hai Too
Gham Na Kar Gour-O- Kafan Mai Tujhe Doongi Lillah
Nange Sar Tere Janaaze Ke Chaloongi Hamraah
Marne Waale Teraa Kya Naam Hai Kab Se Hai Tabaah
Bole Moula Abhi Chaalees Baras Jeena Hai Aah
Naam Bekas Bhi Hai Qaidi Bhi Hai Beemaar Bhi Hai
Haal Yeh Hai Ke Aseer Bhi Hai Aazaar Bhi Hai
Hind Ne Poocha Maraz Kya Hai Kaha Bepidari
Roke Wo Boli Dawaa Kya Hai Kaha Nouhagiri
Ghar Ko Daryaaft Kiya Kahne Lage Darbadari
Boli Leta Hai Qabar Koun Kaha Be Qabari
Aah Karney Ka Sabab Poocha To Sharmaane Lage
Taaziyaanoun Ke Nashaan Pusht Pa Dikhlaane Lage