Qabr Pe Bhai Ke Kehti Thi Ye Rokar Zainab

Qabr Pe Bhai Ke Kehti Thi Ye Rokar Zainab Salaam Writeup, Lyrics

qabr pe bhai ke kehti thi ye rokar zainab
aayi hai sham ke zindan se chut kar zainab

bekafan laash padi thi tumhari maidan may
ye na samjho ki behan bhool gayi zindan may
roti rehti thi isi yaad may muztar zainab
qabr pe bhai ke…

aap ke baad baday zulm o sitam hum pe huwe
maal o asbab lutay qaime jalay qaid huwe
karbala se gayi ta shaam khule sar zainab
qabr pe bhai ke…

mera bemaar agar zauf se ruk jata kahin        
pushte bemaar may naizon ko chubate thay laeen
bhaiya reh jaati thi us waqt tadap kar zainab
qabr pe bhai ke…

ek choti si rasan may thay bandhe sab qaidi
saath hi saath may gardan thi bandhi bachi ki
har qadam khaati thi taqdeer ki thokar zainab
qabr pe bhai ke…

kya suna’un dil e muztar ka fasana bhaiya
chil gaya sakht rasan se mera shana bhaiya
is tarha baandhi thi rassi se jakad kar zainab
qabr pe bhai ke…

karti thi kham to sukoon paate thay bache mere
seedhi hone se gale bachon ke kas jaate thay
is liye chalti thi bazaar may jhuk kar zainab
qabr pe bhai ke…