Pardes Me Muslim Ke Yateemon Pa Jafaa Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Pardes Me Muslim Ke Yateemon Pa Jafaa Hai
Darya Pa Pa-E Khati Adu Leke Chala Hai
Chota To Bade Bhai Ka Mu Dekh Raha Hai
Roz Isko Madad Ka Nahi Mashghule Buka Hai
Be Rahem Ke Qaabu Me Hain Do Naazoun Ke Paale
Har Soo Nigaraan Hain Ke Koi Aake Bachaale
Chote Ko Bade Bhai Hae Badh Badh Ke Bachata
Har Baar Hae Mashaf Ki Tarha Beech Me Aata
Ro Deta Hai Kuch Kahne Ka Mouqa Nahi Paata
Be Saaqatha Ek Baat Zabaan Par Hai Ye Laata
Sun Haai Ghariboun Ka Khuda Keliye Dam Le
Ab Ham Tere Ghar Me Kabhi Aaen To Qasam Le
Kuch Ghar Me Tere Chain Nahi Paya Hai Aisa
Todaa Hai Faqath Pani Se Faaqa Kayi Din Ka
Khud Aae Nahi Ki Teri Zowja Ne Tamanna
Hujre Me Namazen Hain Padhe Aur Kiya Kya
Ham Bacche Hain Too Apni Buzurgi Pa Amal Kar
Taqseer Jo Kuch Hamse Huwi Ho Wo Bahal Kar
Ye Jurm Hae Bin Pooche Jo Aaye Hain Tere Ghar
Hujre Me Rahe Shab Ko Bhi Bedar Barabar
Kurte Phate, Gesu Chide, Seli Lagi Hampar
Takleef Bahut De Chuka Ab Chowdh Sitamgar
Jangal Me Kahin Baith Ke Ham Roenge Zaalim
Mu Karke Tere Ghar Ko Na Ab Soenge Zaalim
Sunta Na Tha Mazloomoun Ki Ek Baat Sitamgar
Dete The Nida Zouja-E- Haris Ko Ye Badh Kar
Ye Jaante To Ham Kabhi Aate Na Tere Ghar
Mehmanoun Ko Apne Tu Bachati Nahi Maadar
Chudhwade Ke Pakde Huwe Zulfoun Ko Adu Hai
Amma Nahi Baba Nahi Jo Kuch Hai So Tu Hai
Baloun Ko Bikhere Huwe Momina Thi Saath
Mazloomouon Ko Zalim Se Chudhati Thi Wo Qush Zaat
Kahti Thi Khuda Keliye Kya Karta Hai Badzath
Gah Paaun Pa Sar Rakhti Thi Gah Baandhthi Thi Haath
Bas Bas Ke Zamin Ab To Hill Jati Hai Zalim
Zehra Mujhe Sar Nange Nazar Aati Hai Zalim
Zalim Ne Tah-E- Tegh Kiya Zouja Ko Us Aan
Ya Fatima Kah Kar Huwi Zehra Pa Wo Qurban
Darya Pa Adu Laya Unhen Pakde Garebaan
Di Tegh Ghulame Habashi Ko Wahan Uryaan
Ghusse Se Kaha Dono Ko Ungli Se Dikha Kar
Haan Kathle Sar Unke Kinare Pa Tu Jaakar
Talwar Ko Chamka Ke Badha Wo Habashi Aah
Ye Tegh Tale Sar Ko Jhuka Kar Huwe Hamraah
Likha Hae Ke Tha Wo Habashi Marde Haq Aahgah
Raste Me Khitaab Use Se Kiya Dono Ne Nagaah
Hamshakl Bilaal-E- Sha-E- Loulaak Ka Tu Hae
Sach Kah Ke Payambar Ka Mohib Hai Ke Adu Hai
Farzand Ko Di Haaris-E- Maloon Ne Talwaar
Aur Bola Ke Sar Kaatle In Dono Ke Ekbaar
Wo Bola Ke Mujhse Ye Nahi Hoega Zinhaar
Ye Tu Hi Hae Bad Baqt Siyah Roo Wo Jafakaar
Haaris Tu Pidar Kis Ka Shaqi-E- Azali Hae
Maa Fatima Hae Mominoun Ke, Baap Ali Hai
To Kar Hae Zalim Nazar Aae Tujhe Kyun Kar
Le Dekh Nabi Rote Hain Darya Pa Khule Sar
Ye Sunke Utha Haaris-E- Maloon-E- Sitamgar
Zalim Ne Kaha Mujh Ko Nahi Kowf-E- Payambar
Ek Tegh Tale Dono Baradar Ko Bitha Kar
Sar Kaata Bade Bhai Ka Chote Ko Dikhakar
Sar Paas Rakha Lash Ko Darya Me Bahaya
Bhai Ke Gale Ka Jo Lahu Khaak Pa Paaya
Ulfath Se Baradar Ka Lahu Joush Me Aaya
Tab Joud Ke Haath Apne Ye Qatil Ko Sunaya
Pounchun Ye Lahu Kurte Se Talwar Jhukade
Lotoon Bade Bhai Ke Lahu Me Jo Raza De
Wo Bola Ke Wo Shouq Se Ghaltan Mujhe Kya Dar
Bhai Ke Lahu Me Wo Laga Loutne Girkar
Kahta Tha Bade Bhai Kahan Dhoonde Baradar
Tum To Abhi Baithe Huwe The Mere Baradar
Kis Ne Hi Naseeb Aise Ulat- The Huwe Dekha
Bhai Ne Gala Bhai Ka Kat- Te Huwe Dekha