Nargha Hai Dilbar E Hasan E Sabz Posh Par

Nargha Hai Dilbar E Hasan E Sabz Posh Par Marsiya Writeup, Lyrics

Nargha Hai Dilbar E Hasan E Sabz Posh Par
Chaaroun Taraf Hai Teeroun Ki Bochaar Josh Par
Dil Par Sinaan Ka Zaqm Hai Pahlu Pa Dosh Par
Sahre Ki Sab Kati Huwi Ladiyaan Hain Doush Par
        Talwar Run Me Dulhe Ka Mu Qoon Se Dhoti Hai
        Qaime Me Ghul Hai Aaj Dulhan Beyva Hoti Hai

Beh Beh Ke Qoon Tapakta Hai Har Baar Haath Se
Zaqmi Hai Nikli Jaathi Hai Talwar Haath Se
Ab Kya Karain Nabard Hai Beykaar Haath Se
Chooti Enaan Aspe Wafaadar Haath Se
        Qoon Bahgaya Jahaan Se Mu Moddhne Lage
        Gir Kar Zameen-E- Garm Pa Dam Toddhne Lage

Sar Kaatne Idhar Se Badhe Fouj Ke Sawaar
Dowdhe Udhar Se Shaah Alam Karke Zulfeqaar
The Saath Saath Akbar-O- Abbas-E- Naamdaar
Dahshat Se Teen Sheroun Ki Bhaage Sitam Sheyaar
        Majrooh Natawaan Ka Ajab Haal Hogaya
        Ghodou Se Jism Dulha Ka Paamal Hogaya

Rone Lage Imaam-E- Umam Dekh Kar Ye Haal
Laasha Uthaa Ke Le Chale Aaqir Basad Malaal
Ek Do Qadam Badha Tha Rasool-E- Quda Ka Laal
Hichki Jo Aai Margaya Hai Hai Wo Qushqisaal
        Godi Me Sheh Ki Phool Sey Kumlaa Ke Rahgaya
        Baazu Lahu Bhare Huwe Tharra Ke Rahgaya

Fizza Ne Dekha Sheh Ko Jo Aathe Huwe Idhar
Qaime Ke Sahan Se Ye Pukari Ba-Chashme Tar
Saidanio’n Uroos Se Hushiyaar-O- Ba Qabar
Dewdhi Tak Aai Maadar-E- Nowshaah Nowhagar
        Faaqoun Se Hai Nidhaal Qadam Ladkhadaathe Hain
        Masnad Bichaao Dulha Ko Shabbir Laathe Hain

Haalath Hai Gham Se Ghair Shah-E- Qushqisaal Ki
Hai Hai Jawaani Qasim-E- Yousuf Jamaal Ki
Poshaak Qoon Se Surq Hai Is Now Nehaal Ki
Aae Baraath Dekhlo Shabbar Ke Laal Ki
        Rone Ka Shour Charq Pa Jaatha Hai Saahibo
        Dulha Chacha Ki Godh Me Aatha Hai Saahibo

Dowdhe Haram Idhar Se Khule Sar Barahna Paa
Qaime Me Aae Laash Liye Shaah-E- Dosaraa
Naamoos Me Qayaamathe Kubra Huwi Bapaa
Waa Qaasima Ki Charq Pa Jaane Lagi Sadaa
        Baehney Qareeb Aagayi Aansu Bahane K
        Pahlaye Maa Ne Haath Gale Se Lagaane Ko

Mu Tak Aae Sab Haram-E- Paak Nowha Gar
Laasha Litake Rone Lage Shaah-E- Bahrobar
Abbas Peetne Lage Haathoun Se Apna Sar
Akbar Ka Paas Rakh Diya Sahra Lahu Me Tar
        Taazeer Haai Maadar-E- Ghamnaak Hogaya
        Seene Ke Zaqm Dekh Ke Dil Chaak Hogaya

Fizza Ne Baandha Hujre Ka Parda Basad Malaai
Laaye Dulhan Ko Thaam Ke Bano-E- Qushqisaal
Mitti Bhari Thi Maang Me Kubra Ka Tha Ye Haal
Mai-Li Si Chaadar Odhey Huwe Khole Sar Ke Baal
        Dikhla Ke Zaqm Sab Jasad-E- Paash Paash Ke
        Bithla Diya Uroos Ko Pahlu Me Laash Ke

Jis Dam Dulhan Ne Dulha Ke Zaqmoun Pa Ki Nazar
Kaampa Kaleja Ashk Bahe Shaq Huwa Jigar
Qadmoun Ki Simt Jhuk Ke Ye Boli Wo Nouhagar
Saaheb Utho Ham Aaye Hain Laashe Pa Nange Sar
        Khole Hain Baal Bekas-O- Naalaan Ko Dekhlo
        Tum Bhi Hamare Haal-E- Parishaan Ko Dekhlo

Saaheb Bataao Kya Main Aseer-E- Mehan Kahoon
Bekas Kahoon, Ghareeb Kahoon, Bewatan Kahoon
Majroo Kahoon Mai Aap Ko Ya Bekafan Kahoon
Dulha Kahoon Ke Aapko Ibn-E- Hassan Kahoon
        Kya Kahke Rowoon Koi Batataa Nahin Mujhe
        Tazaa Dulhan Hoon Bayn Bhi Aatha Nahin Mujhe

Fizza Ne Laake Itne Me Randsaala Rakhdiya
Dulha Ki Maa Ne Haath Me Usko Uthaa Liya
Aur Boli Isko Pahno Ye Qillat Hai Beyva Ka
Kubra Ne Sar Ko Peet Ke Aur Roke Ye Kaha
        Ab Kyun Libaas Beyvon Ka Mujh Ko Panhaathe Hain
        Dulhan Banake Kya Koi Beyvaa Banaathe Hain