Muslim Pa Laeenoun Ki Chadhaai Hai Sahar Se Marsiya Writeup, Lyrics
Muslim Pa Laeenoun Ki Chadhaai Hai Sahar Se
Towe Pa Qayamat Ghazab Aai Hae Sahar Se
Aur Ek Tane Tanha Pa Ladaai Hae Sahar Se
Dam Lene Ki Fursath Nahi Paai Hae Sahar Se
Mazloom Pa Ek Nargha-E- Afwaaje Jafaa Hai
Yaan Daay-Re Me Nuqta-E- Anwaar-E- Khuda Hai
Zilhij Ki Nami Arfe Ka Din Qatl Ka Samaa’n
Par Eid Ye Ho Aap Pe Hota Hu’n May Qurbaa’n
Shahzaadou Ka Aur Shah Ka Allah Nigebaa’n
Karta Hun Ruqayya Ki Sifarish Magar Is Aan
Kud Kud Ke Mere Gham Me Nadam Uska Nikal Jaaye
Sadqhe Me Sakina Ke Ruqayya Meri Pal Jaaye
Likha Hae Nawin Raat Thi Zilhij Ki Basad Aah
Muslim Ne Kafan Dhoke Moattar Kiya Naagaah
Sar Sajde Me Lab Zikr Me Aur Dil Sue Allah
Jab Aati Thi Towaa To Ye Kahte The Wo Zeejah
Firdous Ki Khanjar Ke Tale Deed Karenge
Kal Arfaa Ko Qurbani Ki Ham Eid Karenge
Al Qissa Sahar Ko Huwi Aada Ki Chadhaai
Towa Ka Makaan Girgaya Aafat Nahi Aai
Chillati Thi Thowa Ke Duhaai Hae Duhaai
Kyun Karte Hain Hyder Ke Bhatije Se Ladaai
Kyun Lad-Ne Ko Sab Aaye Ho Ye Kis Se Lada Hai
Bechara Mere Hujre Me Faaqe Se Pada Hai
Al Qissa Baramad Huwa Wo Naaebe Shabbir
Baadai Ki Tarha Chaagaye Sab Zaalim-O- Be Peer
Haathoun Me Tall Barchiyaan Chullo Se Mile Teer
Padne Lagi Mazloom Pa Shamsheer Pa Shamsheer
Deewar Pa Anboh Tha Aur Baam Ke Oopar
Balwah Tha Ajab Muslim-E- Naakaam Ke Oopar
Ye Sunke Baramad Huwa Wo Naayabe Shabbir
Badal Ki Tarha Chagaye Sab Zaalime Be-Peer
Haathoun Me Tali Barchiya Chullu Se Miley Teer
Padne Lagi Mazloom Pe Shamsheer Pe Shamsheer
Dewaar Pe Ambooh Tha Aur Baam Ke Upar
Balwa Tha Jab Muslim-E Nakaam Ke Upar
Ek Phainkta Tha Chob Ko Aatish Se Jalaa Ke
Muslim Pa Girata Tha Koi Sang Uthake
Yaan Valvale Me Naara Tha Ya Shere Khuda Ke
Deewar Hata Dete The Ghode Ko Badha Ke
Jo Padhtha Tha Jab Hath Kamar Baandhe Adu Par
Ghode Se Wahin Phainkte The Baam Ke Oopar
Nagaah Lab-O- Danda’n Pa Laga Sang-E- Jafakaar
Qham Hogaye Aur Mu Se Lahu Daala Ka-Ee Baar
Par Dabdaba Ye Tha Ke Na Paas Aate The Kuffaar
Aaqir Ko Dagha Ki Ye Pukare Wo Sitam Gaar
Phir Ladna Zara Poochlo Bhai Ki Qabaar Ko
Wo Naaqha Sawaar Aata Hae Kaabe Se Idhar Ko
Muddat Se Suna Tha Jo Na Haale Shah-E- Walaa
Ye Sunke Hi Be Saaqta Talwar Ko Roka
Bas Mu Ko Phirate Hi Ajal Ne Kiya Mujra
Barchi To Kaleje Me Thi, Barchi Me Kaleja
Mu Sooe Najaf Karke Kaha Apne Chacha Se
Mazloom Bhatije Ko Tere Mara Dagha Se
Ye Kehte Hi Ghash Hogaye Ghode Se Gire Haye
Mazloom Ko Zaalim Da-Re Koofa Se Utha Laaye
Muslim Pe Waha Pyaas Ka Ghalba Huwa Ay Waye
Darwaze Pe Paani Ke Zaroof Unko Nazar Aaye
Darbaano Ko Dikhlaake Zabaan Bola Wo Pyaasa
Mehmaan Hu’n Aur Pyaasa Hu’n Paani Do Zara Sa
Phir Towa Ne Hotou Se Lagaya Jo Pyala
Peene Jo Lagey Mu Se Lahu Paani Me Daala
Dandaa Bhi Gire Jaam Bana Khoon Ka Thala
Ro Ro Ke Pukaare Malak-E Aalam-E Bala
Ab Saqiye Kousar Tumhe Sairaab Karenge
Pyase Maro Shabbir Bhi Pyase Hi Marenge
Hamraan Ke Farzand Se Haakim Huwa Goya
Ab Daer Na Kar Baam Pa Muslim Ko Too Leja
Latka De Dare Koofa Me Sar Kaat Ke Iska
Aur Baam Se Balaae Zameen Phainkde Laasha
Haan Baandh Ke Phir Laash Ke Paaun Me Rasan Ko
Tashheer Karo Muslim-E- Awarah Watan Ko
Kaabe Se Isi Roz Rawana Huwe The Shaah
Muslim To Labe Gour The Shabbir Sar-E- Raah
Jibreel Ne Koofe Ki Zameen Se Kaha Nagaah
Haan Hukme Khuda Hoto Baland Itna Hi Wallah
Muslim Shahe Mazloom Ki Tasveer Ko Dekhe
Shabbir Use Dekhe Wo Shabbir Ko Dekhe
Kufe Ki Taraf Shaah Ne Chehre Ko Phiraya
Saidaniyoun Ne Mahmiloun Se Parda Uthaya
Allah Ne Muslim Ka Jamaal Unko Dikhaya
Baitha Huwa Talwar Ke Neeche Nazar Aaya
Baaham Thi Nazaaroun Me Sada Haae Aqi Ki
Yaan Fatima Roti Thi Wahan Rooh Ali Ki
Chehroun Pa Tamanche Haram-E- Shah Ne Lagaae
Milne Keliye Haath Ruqayya Ne Badhaae
Chillai Ke Lo Amma Wo Baba Nazar Aae
Sab Kahte The Baba Ne Wahan Shahr Basaae
Naa Farsh Hae Na Saaya-E- Deewar Ke Niche
Baba To Mere Baithe Hain Talwar Ke Niche
Kya Rote Ho Logo’n Mere Baba Ko Pukaaro
Lejaake Ruqayya Ko Pidar Par Koi Waaro
Zainab Phupi Ashtar Se Mujhe Jald Utaaro
Ya Hazrate Abbas Imaayath Ko Sidharo
Deti Hun Sakina Ki Kasam Jaake Bachalo
Baba Ko Mere Tegh Ke Neeche Se Uthalo