Musafiron Ko Madina Salaam Kehta Hai

Musafiron Ko Madina Salaam Kehta Hai Salaam Writeup, Lyrics

safar hai kis ka ke tooba salaam kehta hai
faraaz e arshe mo’alla salaam kehta hai
ye kaun jaata hai kaaba salaam kehta hai
musafiron ko madina salaam kehta hai

hussain ye karam e kaar saaz kya kehna
durood o ishq o salaam e niyaz kya kehna
ye husn ki niga e imtiyaz kya kehna
kisi ka jalwa e akta salaam kehta hai
musafiron ko madina…

kidhar se dard ke maalik hawaye dar daayi
ye kis ki aah tadap kar faza may lehrayi
chale ho leke kidhar naazishe maseehayi
koi mareez tumhara salaam kehta hai
musafiron ko madina…

ye jaante hai bane ho rahe riza ke liye
bahot dino se ho be-chain karbala ke liye
hussain mud ke zara dekh lo khuda ke liye
rawaqe mashad e zehra salaam kehta hai
musafiron ko madina…

nazar ke hai ye ishare zaban nahi khulti
kisi ke dard ke maare zaban nahi khulti
nabi ke raaj dulaare zaban nahi khulti
dilon ka dard e maseeha salaam kehta hai
musafiron ko madina…

salaam lijiye aaqa ab apne bando ka
har ek qaum ke millat ke haq pasando ka
salaam saare zamane ke dard mandon ka
hussain saara zamana salaam kehta hai
musafiron ko madina…