Musafiron Ki Madine Me Jab Raseed Aayi

Musafiron Ki Madine Me Jab Raseed Aayi Marsiya Writeup, Lyrics

Musafiroun Ki Madiney Mey Jab Raseed Aayi
Kay Waadagaah Mey Fouj-E Shahey Sayeed Aayi
Raseed Aathey Hi Soghra Ke Ghar Mey Eid Aayi
Taphay Gohan Gayee Aur Taaqath-E Jadeed Aayi
        Malaal Door Huwa Aiysh Ke Qareenay Sey
        Bukhaar Nabz Sey Gham Dil Sey Dard Seenay Sey

Gharazz Kay Hazrath-E Ummul Baneen Ko Bulwaaya
Woh Aayeen Toh Sar-E Tasleem Utt Ke Nahudaaya
Woh Hans Ke Boli Ke Kyon Yaad Mujhko Farmaaya
Kaha Mareez Ney Khush Hokay Sheh Ka Qath Aaya
        Hamaarey Dil Ko Faqath Naamabarr Ney Chaen Diya
        Mohammed-E Hanafi Ko Qath-E Hussain Diya

Yeh Kehkay Maadar-E Abbas Ko Liye Humraah
Mohammed-E Hanafi Kay Ghar Aayi Dukhtar-E Shah
Woh Muntazir They Liye Naama-E Shahey Zeejaah
Salaam Karthey Hi Kehnay Lagay Ba Naala-O Aah
        Lo Ab Sunaao Imaam-E Ghareeb Ka Naama
        Padho Mareez Kay Aagay Tabeeb Ka Naama

Mohammed-E Hanafi Ney Kiya Lifaafey Ko Waah
Nikaala Suqqahey Pur Noor Syed-Ush Shohadaa
Padhaa Jo Naamay Mey Alqaab Apna Rokay Kahaa
Hussain Teray Karam Par Hain Laakh Jaan Sey Fidaa
        Kahaa My Tera Baraadar Bajaan Baraabar Hoon
        Tu Jaan-E Qatm-E Rasool Hai Mai Ibne Hyder Hoon

Aqhi Ka Lafz Jo Alqaab Mey Meray Likhaa
Faqath Yeh Bandhaa Nawaazi Hai Ya Imam-E Huda
Tera Ghulaam Hai Abbas My Ghulaam Uska
Hazaar Haif Qadam Sey Huzoor Kay Hoon Judaa
        Liya Jo Naam-E Judaai Toh Aansoo Behnay Lagay
        Salaam Paddh Kay Alaikas-Salam Kehney Lagay

Kaha Yeh Fatima Sughra Sey Tabh Ba Deeda-E Tarr
Likha Hai Baap Ney Tumko Kay Aye Meri Dukhtar
Dua Kay Baad Ho Maaloom Meri Noor-E Nazar
Koyi Ghadi Nahin Ghaafil Teri Taraf Sey Pidar
        Qalaq Hai Sadhmaa Hai Ranj-O Malaal Hai Sughra
        Adoo Kay Narghey Mey Zehra Ka Laal Hai Sughra

Wofoor-E Fikr Sey Sughra Jo Saqth Ghabraayi
Chacha Ka Apney Qalamdaan Woh Utthaa Laayi
Aur Iltemaas Kiya Aye Hussain Kay Bhaai
Mujhey Toh Hai Na Tawaanaayi Aur Na Beenaayi
        Meri Taraf Sey Woh Alqaab Likho Baba Ko
        Kaneezein Likhthi Hain Jis Tarhaa Apney Aaqa Ko

Ghareeb Parwar-O Aalam Nawaaz Woh Khalq-E Panaah
Maalik Sipaah Falak Baargah-E Shaahinshah
Imam Beyka-O Mazloom-O Beydayaaro Tabaah
Khaleel-E Kaaba-E Deen Yousuf-E Rasoolallah
        Ajal Raseedoun Key Eesa Ghareeboun Kay Waali
        Hussain Ibne Ali Mad-Da-Zilla-O-Aali

Rajab Ki Teesri Ko Tumey Ghar Kiya Veeraan
Tumhaarey Baad Huveen Teen Eidein Babajaan
Shab-E Baraath Huvi Doosrey Mahiney Ayaan
Baroohey Hamza Na Thi Faateha Ki Taab-O Tawaan
        Tamaam Aah Tadaptay Tadaptay Raat Huvi
        Hamaarey Ghar Mey Na Eid-E Shab-E Baraat Huvi

Woh Eid Toh Gayee Din Eid-E Fitr Ka Aaya
Ghar Aankar Mujhey Humjoliyoun Ney Rulwaaya
Kisiney Gehnaa Kisiney Libaas Dikhlaaya
Koyi Yeh Beli Kay Eidee Mey Humney Yeh Paaya
        Har Ek Khush Tha Magar Mere Lab Pa Naalay They
        Safar Mey Sab Meri Eidee Kay Deney Waaley They

Nazar Mey Phirthaa Hai Eid-E Guzishthaa Ka Aana
Woh Eidgaah Mey Akbar Ka Dhoom Sey Jaana
Bahen Ke Waasthey Mevey Khareedkar Laana
Woh Amma Baano Ka Har Dum Galey Sey Liptaana
        Ba Jabr Ab Toh Baghalgeer Jis Sey Hothi Hoon
        Bahen Sakina Ko Mai Yaad Karkay Rothi Hoon