Musaferon Ki Madine Me Jab Raseed Aai

Musaferon Ki Madine Me Jab Raseed Aai Marsiya Writeup, Lyrics

Musaferoun Ki Madine Me Jab Raseed Aai
Ke Waadagaah Me Fouj-E-Shahe Saeed Aai
Raseed Aate Hi Sughra Ke Ghar Me Eid Aai
Tap-E- Kohan Gayi Aur Taaqate Jadeed Aai
        Malaal Door Huwa Aish Ke Qareene Se
        Buqaar Nabz Se, Gham Dil Se, Dard Seene Se

Gharaz Ke Hazrate Ummul Baneen Ko Bulwaaya
Wo Aayee To Sare Tasleem Uth Ke Neohdaya
Wo Hans Ke Bouli Ke Kyun Yaad Mujh Ko Farmaya
Kaha Mareez Ne Qush Ho Ke Shah Ka Qat Aaya
        Hamare Dil Ko Faqat Naamabar Ne Chain Diya
        Mohammade Hanafi Ko Qate Hussain Diya

Ye Kahke Madar-E- Abbas Ko Liya Hamraah
Mohammed-E- Hanafi Ke Ghar Aai Duqtar-E- Shah
Wo Muntazar Thay Liye Naama-E Shah-E Zeejah
Salaam Karte Hi Kahne Lagi Ba Nalao Aah
        Lo Ab Sunaao Imam-E- Ghareeb Ka Naama
        Padho Mareez Ke Aage Tabeeb Ka Naama

Mohammed-E Hanafi Ne Kiya Lifafe Ko Wa
Nikala Shuqhai Purnoor Syedus Shohdaa
Padha Jo Naamay Me Alqaab Apna Roke Kaha
Hussain Tere Karam Par My Laakh Jaan Se Fidaa
        Kahaan Main Tera Baradar Baja Baraabar Hoon
        Tu Jaane Qatme Rasul Hai, Main Ibn-E- Hyder Hoon

Aqi Ka Lafz Jo Alqaab Me Mere Likkhaa
Faqat Ye Banda Nawazi Hai Ya Imam-E- Huda
Tera Ghulam Hai Abbas, Main Ghulam Uska
Hazaar Haif Qadam Se Huzoor Ke Hoon Juda
        Liya Jo Naam-E- Judai To Aansu Bahne Lage
        Salaam Padh Ke Alaikas Salaam Kahne Lage

Kaha Ye Fatima Sughra Se Tab Ba Deeda-E- Tar
Likha Hai Baap Ne Tum Ko Ke Aye Meri Duqtar
Dua Ke Baad Ho Maloom Meri Noor-E- Nazar
Koi Ghadi Nahi Ghafil Teri Taraf Se Pidar
        Qalaq Hai Sadma Hai, Ranj-O Malaal Hai Sughra
        Adoo Ke Narghe Me Zehra Ka Laal Hai Sughra

Wafoor-E- Fikr Se Sughra Jo Saqt Ghabraai
Chacha Ka Apne Qalamdaan Wo Utha Laai
Aur Iltemaas Kiya Aye Hussain Ke Bhaai
Mujhe To Hai Na Tawaanaai Aur Na Beenai
        Meri Taraf Se Wo Alqaab Likho Baba Ko
        Kanizen Likhti Hain Jis Tarha Apne Aqha Ko

Ghareeb Parwar-O-Aalim Nawaaz-O Qalq-E- Panah
Mulk Sipaahe Falak Bargah-E- Shahinshah
Imam Bekas-O Mazloom O Be Dayaar-O Tabaah
Qaleel Kaaba-E- Deen Yousuf-E- Rasoolallah
        Ajal Rasidoun Ke Eisa, Ghariboun Ke Waali
        Hussain Ibn-E- Ali Muddezillahul Aali

Pas Az Shuroote Qadam Bousi Baad Taslimaat
Likho Zabani Se Sughra Ke Aye Shahe Qush Zaath
Main Tum Se Choot Ke Jaan Kundani Me Hoon Din Raat
Na Aarzu-E- Shifa Hai, Na Ab Umeede- Hayaat
        Nahi Kisi Ko Tawaqqo Ke Ab Tahar Jaaun
        Tum Aake Sura-E Yaseen Padho To Marjaaun

Rajab Ki Teesri Ko Tum Ne Ghar Kiya Veeran
Tumhare Baad Huwin Teen Eiden Baba Jaan
Shab-E Barat Huwi Doosre Mahine Ayaan
Barooh-E Hamza Na Thi Fateha Ki Taab-O- Tawaa
        Tamaam Aah Tadapte Tadapte Raat Huwi
        Hamare Ghar Me Na Eid-E- Shabe Baraat Huwi

Wo Eid To Gayi Din Eid-E- Fitr Ka Aaya
Ghar Aankar Mujhe Hamjoliyoun Ne Rulwaya
Kisi Ne Gehna, Kisi Ne Libaas Dikhlaya
Koi Ye Boli Ke Eidi Me Ham Ne Ye Paaya
        Har Aik Khush Tha Magar Mere Lab Pa Naale The
        Safar Me Sab Meri Eidi Ke Dene Wale The

Nazar Me Phirta Hai Eidde Guzishta Ka Aana
Wo Iddgaah Me Akbar Ka Dhoom Se Jaana
Bahan Ke Waaste Mewe Qarid Kar Lana
Wo Amma Bano Ka Har Dam Gale Se Liptaana
        Bajabr Ab To Baghal Geer Jis Se Hoti Hoon
        Bahan Sakina Ko Main Yaad Karke Roti Hoon