Matti Ko Bhi Shifa Ka Wasila Bana Diya

Matti Ko Bhi Shifa Ka Wasila Bana Diya Salaam Writeup, Lyrics

matti ko bhi shifa ka wasila bana diya
sarwar ne karbala ko masiha bana diya

sar ta qadm kuch aisay sawara hussain ne
akbar ko mustafa ka sarapa bana diya
matti ko bhi shifa ka….
aakar uroos e teygh nay qasim ke haath may
maidaan e kaarzaar ko dulha bana diya
matti ko bhi shifa ka….

abbas ne hunar say tadabbur say sabr say
darya ko pyaas pyaas ko darya bana diya
matti ko bhi shifa ka….

shahid hamay khuda ne aza e hussain par
insaniyat ki aankh ka taara banadiya
matti ko bhi shifa ka….

bibi ko har qadam pe hai izzat ka apni paas
chaadar nahi to baalo se parda bana diya
matti ko bhi shifa ka….