Majboor Hoo Behna Tumhein Dafna Nahi Sakta

Majboor Hoo Behna Tumhein Dafna Nahi Sakta Salaam Writeup, Lyrics

majboor hoo behna tumhein dafna nahi sakta
qaidi hoo sakina mai kafan laa nahi sakta

laasha mai akele hi uthaunga tumhara
ghairon se tera laasha mai uthwa nahi sakta

laachaar hai sajjad se kyon rooth gayi tum
beemar gohar aapke dilwa nahi sakta

tum khabr may aaraam karo baali sakina
mai leke tumhein ya-se wahan jaa nahi sakta

behna inhi kapdo may tumhein dafn karoonga
majboor hoon nanha sa kafan laa nahi sakta

abbas chacha aao sakina ko manao
mai leke usay aapke paas aa nahi sakta

taboot uthaane ko na akbar hai na abbas
mai ehlay watan ko yahan bulwa nahi sakta

mai kaise khabar doo tere marne ki pidar ko
wo aa nahi sakte mai wahan jaa nahi sakta