Maidan Ki Jalti Reti Par Ek Pyase Ki Peshani Hai

Maidan Ki Jalti Reti Par Ek Pyase Ki Peshani Hai Salaam Writeup, Lyrics

maidan ki jalti reti par ek pyase ki peshani hai
is sajdae aakhir par sheh ke aalam ko badi hairani hai

har aane wale ko bache takte hai nigahe tishna se
is dard may doobe manzar se darya bhi pani pani hai

haathon pe pidar ke maidan may islam bachane jaaunga
hyder ke ye nanhe pothay ne kya baat ye dil may thaani hai

masoom isharon ke hamle baatil ki kamar ko tod gaye
ye fatha quloobe aada par baysheer teri la saani hai        

ek laashaye be-sar se lipti masoom sakina roti hai
khusboo e pidar se maqtal may is laash ko wo pehchani hai

jis roz se kunba qatl hua us roz se ahlebait ke ghar
har waqt hai ya to seena zani ya lab pe noha fani hai        

israar na itna gham hota zainab ki aseeri ka dil par
ek fard bhi kehdeta us dam looto na isay saydani hai