Maalik Se Bhare Ghar Ke Ujad Jaane Ko Poocho

Maalik Se Bhare Ghar Ke Ujad Jaane Ko Poocho Marsiya Writeup, Lyrics

Maalik Se Bhare Ghar Ke Ujad Jaane Ko Poocho
Ghar Waaloun Se Ye Tafreqa Padh Jaane Ko Poocho
Maa Baap Se Qismath Ke Bigad Jaane Ko Poocho
Shabbir Se Akbar Ke Bichad Jaane Ko Poocho
        Allah Na Dikhlaae Alam Noor-E- Nazar Ka
        Bahjaatha Hae Aankhoun Se Lahoo Khalb-O-Jigar Ka

Jis Waqt Ke Akbar Ko Laga Zaqm Jigar Ka
Seene Me Ruka Aake Dam Us Raashk -E- Qamar Ka
Girthe Huwe Ghode Se Qhayaal Aaya Pidar Ka
Chillae Ke Ab Kooch Hae Dunya Se Pisar Ka
        Bekas Ki Musafir Ki Qhabar Lijiye Baba
        Apne Ali Akbar Ki Madad Kijiye Baba

Bete Ki Sadaa Sunke Huwa Sadma-E- Jaankah
Ek Hook Kaleje Me Uthi Baith Gaye Shaah
Maloom Huwa Jaan Chali Aah Ke Hamraah
Dil Thaam Ke Hathoun Se Kaha Ya Asadullah
        Rang Udgaya Tha Gesuoun Pa Gard Padi Thi
        Tewra Ke Jo Sambhale To Basarat Me Kami Thi

Chilla-E- Batado Ali Akbar Kidhar Aaen
Dhoonden Tumhen Ab Bahar Me Ya Su-E- Bar Aaen
Betaab Hai Dil Qhalb Me Lashkar Kidhar Aaen
Tum Uth Nahin Sakte To Hameen Laash Pa Aaen
        Maa Baap Ke Jeene Ka Mazaa Legaye Beta
        Ohdaa Jo Tumhara Tha Hamen De Gaye Beta

Beta Hamen Phir Ya Abataa Kahke Pukaaro
Mazloom Ghareebul Ghuraba Kahke Pukaaro
Nashaad-O- Giraftaar-E- Balaa Kahke Pukaaro
Lab Tishna-O- Mazbooh-E- Qafaa Kahke Pukaaro
        Jo Waqt Moiyaan Hae Wo Hargiz Na Talega
        Qhanjar Meri Gardan Pa Isi Tarja Chalega

Le Aai Jo Betaabiye Dil Laashe Pisar Par
Jhukte Hi Nazar Pahle Padi Zaqme Jigar Par
Ek Teer Laga Qhalb-E- Shah-E- Jinn-O- Bashar Par
Seene Pa Kabhi Haath Ko Maara Kabhi Sar Par
        Gopar Ke Dam Us Sher Ko Bharthe Huwe Dekha
        Baba Ne Jawan Bete Ko Marte Huwe Dekha

Aye Dard Jigar Tham Ke Shah Bahrobar Aalen
Aye Jaan Na Ghabra Shah-E Jinn-O- Bashar Aalen
Aye Rooh Tawaqquf Shah-E- Wala Idhar Aalen
Aye Mout Tahar Jaa Pidar Aalen Pidar Aalen
        Armaan-E- Dile-E- Zaar Pisar Hosh Me Nikle
        Hasrath Hai Ke Dam Baap Ki Aaghosh Me Nikle

Chilla-E- Shah-E- Deen Ali Akbar Pidar Aaya
Uttho Mere Pyaare Mere Dilbar Pidar Aaya
Tum Dhoondthe The Aye Mah-E- Anwar Pidar Aaya
Nashaad Pidar Bekas-O- Be Par Pidar Aaya
        Kuch Dil Ki Kaho Baat Karo Hosh Me Aao
        Sadqe Pidar Aao Meri Aaghosh Me Aao

Mu Khole Ho Kyun Teer Ko Gardan Se Nikaaloon
Gar Dard Na Ho Haathoun Se Baazu Ko Sambhaloon
Girta Hai Pahaad Usko Mae Kis Tarha Se Taaloon
Marte Use Dekhoon Jise Aaghoush Me Paloon
        Beh Beh Ke Lahu Me Jigar Aata Hai Tumhara
        Seene Se Kaleja Nazar Aata Hae Tumhara

Kuch Mu Se To Bolo Ali Akbar, Ali Akbar
Aankhoun Ko To Kholo Ali Akbar, Ali Akbar
Ruqsath Bhi To Holo Ali Akbar, Ali Akbar
Lo Baap Ko Rolo Ali Akbar, Ali Akbar
        Dulha Bhi Is Aaraam Se Sote Nahin Beta
        Ham Rote Hain Aur Tum Hamen Rote Nahin Beta

Ghash Me Jo Suni Baap Ki Aawaaz Pisar Ne
Bas Haath Ko Phaila Diya Us Rashk-E Qamar Ne
Lipta Liya Chaathise Shah-E- Jinn-O- Bashar Ne
Mu Khol Ke Dikhlaai Zabaan Tishna Jagar Ne
        Farmaya Ke Qatraa Mere Jaani Nahi Milta
        Majboor Hoon Beta Mujhe Paani Nahi Milta

Ye Sunte Hi Bas Aankhoun Se Aansu Huwe Jaari
Mu Phair Ke Dekha Su-E- Sahra Kaee Baari
Ki Arz Huzoor Aai Hai Zehra Ki Sawari
Phir Dard Utha Seene Me Aur Ghash Huwa Taari
        Khole Huwe Aankhoun Ko Musaafir Huwe Akbar
        Hichki Ka Bas Aana Tha Ke Aaqir Huwe Akbar