Lo Momino Qulaasa Suno Is Bayaan Ka

Lo Momino Qulaasa Suno Is Bayaan Ka Marsiya Writeup, Lyrics

Lo Momino Qulaasa Suno Is Bayaan Ka
Bano Ko Pursa Do Che Mahine Ki Jaan Ka
Par Haal Kis Zabaan Se Kahoon Bezubaan Ka
Kyun Gir Pada Na Phat Ke Tabaq Aasmaan Ka
        Jhule Me Di Panaah Na Maa Kay Kanaar Me
        Kaati Adoo Ne Gardan-E- Asghar Mazaar Me

Lipte Huwe Azizoun Ke Lashoun Se They Haram
Jo Aah Sar Shahidoun Ke Hone Lage Qalam
Jinn Jinn Ke Qhud Umar Ne Kiye Nezoun Par Alam
Bola Mulazimoun Se Abhi Aik Sar Hai Kam
        Is Dam Mujhe Qayall-E- Itaab-E Yazeed Hai
        Arzi Main Likh Chuka Hoon Bahattar Shaheed Hai

Peetenge Is Bayan Se Sab Khoda-Kho Jawaan
Ye Taaza Waaqiya Hai Ghazab Ki Hai Daastaan
Kyun Qushk Hogayi Na Sitamgaar Ki Zabaan
Bola Umar Talaash Karo Qabr Ka Nashaan
        Bachche Ki Qabr Khodh Ke Sar Ko Qalam Karo
        Akbar Ke Sar Ke Paas Sinaa Par Alam Karo

Baaz Laraz Laraz Ke Pukare Ke Al- Hazarr
Ham To Na Qabr Khodenge Zaalim Quda Se Darr
Is Bezabaan Shaheed Ke Sin Par Toh Raham Kar
Sota Hai Saari Raat Ka Jaaga Lahu Me Tarr
        Dekhay Na Chain Jhule Kay Ne Maa Ki Godh Ke
        Bachche Ke Sar Na Kaatenge Ham Qabr Khodh Ke

Kya Uski Qab Se Tujhe Daawaah Hai Aye Laeen
Hazrath Ne Moul Li Thi Ye Maqtal Ki Sab Zameen
Be Dafn Hain Mahe Rufaqaa Baad Shaah-E- Deen
Be Ghar Hain Ahlebaith-E- Shahinshah-E- Mursaleen
        Murdounko Gour Zindoun Ki Qaatir Makaan Nahin
        Ek Baccha Qabr Me Hai Use Bhi Amaan Nahin

Rote The Haae Laash-E Shahidaan Pa Sab Haram
Kya Dekhte Hain Aata Hai Ek Baaniye Sitam
Nooke Sinaan Chubota Hai Mitti Me Dam Badam
Fizza Pukaari Qair Kare Rabbe Zul Karam
        Ye Qabr Dhoondtha Hai Kisi Naazneen Ki
        Neze Se Dekhtha Hai Ye Narmi Zameen Ki

Bano Ne Pucha Deeda-E Dil Se Bahakey Khoon
Joyaa Hai Kiski Qabr Ka Ye Zalim-E- Zaboon
Fizza Pukari Qaak Mere Mu Me Kya Kahoon
Main Kis Zabaan Se Saahibe Turbat Ka Naam Loon
        Khodega Maqbaraa Che Mahine Ki Jaan Ka
        Maangaa Hai Ibn-E-Saad Ne Sar Be Zabaan Ka

Paikaan Jis Gale Se Abhi Ho Chuka Hai Paar
Hae Hae Usi Gale Pa Phiregi Churi Ki Dhaar
Aramgah Murdoun Ka Hai Gosha-E Mazaar
Bibi Ke Laqtey Dil Ko Wahan Bhi Nahin Qaraar
        Ne Faateha Na Phool Kisi Noor-E- Ain Ke
        Hote Hain Zibha Qabr Me Bachche Hussain Ke