Likhthe Hain Raaviyaan E Jigar Soz Ye Kalaam

Likhthe Hain Raaviyaan E Jigar Soz Ye Kalaam Marsiya Writeup, Lyrics

Likhthe Hain Raaviyaan-E Jigar Souz Ye Kalaam
Jab Baad-E Asr Kat Gaya Ran Me Sar-E Imaam
Lashkar Se Ibn-E Saad Ye Bola Bawaqt-E Shaam
Manzoor Hai Hamen Ke Yahin Aaj Ho Maqaam
        Ek Qaima Istaadah Huzoor-E Nigaah Ho
        Shaabaash Isme Aal-E Rasool-E Panaah Ho

Ek Qaima Tab Alaaheda Ran Me Bapaa Huwa
Isme Huwe Muqeem Aseeraan-E Karbala
Taqseem Fouj-E Shaam Me Hone Lagi Ghizaa
Har Qism Ke Ta Aam Mohayya The Jaabajaa
        Asaaesh-E Ta- Aam Thi Har Bad Qisaal Ko
        Aur Faaqa Teesra Tha Mohammed Ki Aal Ko

Bola Ye Ibn-E Saad Ke Lejaao Tum Shataab
Chaalis Qaan Khaane Ke Aur Sard Jaam-E Aab
Tab Aik Aik Ne Ye Umar Ko Diya Jawaab
Kis Mu Se Aage Jaaen Ham Inse Haen Hijaab
        Pyaaroun Ko Inke Samne Neze Lagaen Ham
        Aur Haazri Bhi Unke Liye Leke Jaaen Ham

Inkaar Jab Ke Jaane Me Ek Aik Ne Kiya
Phir Tho Umar Ne Zoujae Hurr Ko Talab Kiya
Bola Ye Khaana Leke Too Ahle Haram Me Jaa
Karna Meri Taraf Se Bahot Uzr-O Iltejaa
        Shouhar Tera Hai Fidya Shah-E Mashraqain Ka
        Dena Too Shaher Bano Ko Pursaa Hussain Ka

Zainab Phir Apne Dil Ko Ye Dene Lagi Qabar
In Khaanoun Me Yaqeen Hai Shahidoun Ke Honge Sar
Naagaah Boli Zoujae Hurr Paas Aan Kar
Loundi Salaam Karti Hai Bibi Karo Nazar
        Mai Aashiq-E Hussain Kaneez-E Butool Hoon
        Mai Zoujae Harawal-E Sibt-E Rasool Hoon

Aaya Zabaane Zoujae Hurr Par Jo Hurr Ka Naam
Taazeem Ko Khadi Huwi Wo Qhahar Imaam
Boli Too Hurr Ki Zouja Hai Tujh Par Mera Salaam
Haq Baqshe Hurr Ko Waah, Ajab Kar Gaya Wo Kaam
        Pahle Qabar Na Toone Ki Zehra Ki Jaai Ko
        Sar Nange Dar Pa Aathi Teri Paishwaai Ko

Ye Kahke Usko Apne Barabar Bithaaliya
Chaadar Na Thi Jo Dhaanp Ke Mu Roi Khoob Sa
Aankhoun Pa Haath Rakh Ke Lagi Rone Aur Kaha
Pursa Mai Hurr Ka Dethi Hoon Too Saath De Meraa
        Wo Roke Boli Naam Nalo Us Ghulaam Ka
        Mai Tumko Dene Aai Hoon Pursaa Imaam Ka

Zainab Ne Roke Zoujae Hurr Se Ye Phir Kaha
Baare Tumhaare Aane Ka Yaan Kya Sabab Huwa
Ki Arz Usne Loundi Ki Qismath Huwi Rasaa
Bheje Hain Ibn-E Saad Ne Ye Khaan Par Ghiza
        Kahne Uske Khaane Se Hamraah Aai Hoon
        Mai Haazri Hussain Ke Marne Ki Laal Hoon