Laashe Qasim Pe Chillaye Akbar

Laashe Qasim Pe Chillaye Akbar Salaam Writeup, Lyrics

laashe qasim pe chillaye akbar
chor kar humko bhaiya na jao

dekho qaime may shoray fughaan hai
gham may har ek nowhaquna hai
baal bikhraye roti hai madar
chor kar….

tum nishani thay ammu hassan ki
bangaye aaj zeenat bhi ran ki
tukhde tukde hua jisme athar
chor kar….

dekho amma ka apni budapa
aur ye kubra behan ka randapa
tum ho ab do gharo ka muqaddar
chor kar….

baal bikhraye baithi hai kubra
khaak malti hai sehre pe dukhiya
dekho uthkar ye hasrat ka manzar
chor kar….

apne gham may na itna rulaao
rehm sheh ki zaeefi pe khao
do tasalli to ammu ko uthkar
chor kar….

hashr tak hogi ab aahozaari
sab uthayenge mehndi tumhari
bazme matam bapa hogi ghar ghar
chor kar….