Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain

Laash Akbar Ki Jo Maqtal Se Utha Laaye Hussain Salaam Writeup, Lyrics

laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain
nowjawan ko safe awwal se utha laaye hussain
di sada laashe pisar aan ke leja baanu
chid gaya barchi se akbar ka kalaija baanu
laash akbar ki jo….

dekhle aakhri deedare pisar marta hai
saamne aankhon ke ye noore nazar marta hai
dum hai seene may ruka zaqmon se khoon jaari hai
haaye baanu tere ghar lutne ki taiyaari hai
laash akbar ki jo….

pahunchi qaime may jo hazrat ke ye purdard sada
muztarab hogayi namoose rasoole do sara
peet-ti zainab e muztar nikal aayi bahar
baanu ghabra ke khule sar nikal aayi bahar
laash akbar ki jo….

roke banu se ye farmane lage sarware deen
sar na peeto abhi zindan hai mera maahe jabeen
sab chute ab na raha koi hamara baanu
is jawan bete ke gham ne hame maara baanu
laash akbar ki jo….