Kisi Ka Qaana E Ummeed Be Charaagh Na Ho Marsiya Writeup, Lyrics
Kisi Ka Qaana E Ummeed Be Charaagh Na Ho
Jawaan Bete Ka Dilko Pidar Ke Daagh Na Ho
Hazaar Baagh Lute Par Qizaan Ye Baagh Na Ho
Pisar Ke Gham Sey Parishan Dil-O- Dimaagh Na Ho
Falak Balaa Ka Shah-E- Karbala Ka Toota Hai
Musaaferi Me Barabar Ka Laal Choota Hai
Wo Laal Jisko Na Pahonche Koi Durre Shahwaar
Wahid-E- Asr Shabaahat Me Ahmed-E- Muqtaar
Hamesha Misl-E-Ali Rozedaar Shab Bedaar
Shujaa-O- Muttaqi-O-Qush Mizaaj-O- Ghirat Daar
Ye Sab Kamaal Mile Zer-E Qhaak Ek Din Me
Tamaam Hogaye Atthara Saal Ke Sin Me
Batool Kahthi Thi Faryaad Ya Ali Faryaad
Meri Bahu Huwi Barbaad Ya Aii Faryaad
Bajaa-E- Raham Hae Bedaad Ya Ali Faryaad
Khuda Ke Waasthe Do Daad Ya Ali Faryaad
Duhaai Yousuf-E- Aal-E- Abaa Ko Maara Hae
Jawaan Ko Maara Hae Naakith Quda Ko Maara Hae
Likha Hae Wa Aabataa Ki Joo’n Hi Sadaa Aayi
Hussain Imam Ke Chehre Pa Murdani Chaayi
Wo Aah Ki Ke Zari-E- Rasool Tharraayi
Rawaana Hogayi Ashkoun Ke Saath Beenaayi
Sawar-E- Dosh-E- Payambar Ki Aas Toot Gayi
Inaane Sabr Jo Thaami Lagaam Choot Gayi
Pukaarte Hain Pisar Ko Pisar Nahi Aata
Jigar Me Dard Hai Laqte Jigar Nahi Aata
Koi Rafeeq-E- Shahey Bahrobar Nahi Aata
Tumhaare Bhaai Ko Rasta Nazar Nahi Aata
Pisar Kay Gham Me Qhuzaada Mera Halaak Huwa
Basa Basaaya Ghar Unsat Baras Me Qhaak Huwa
Yahaan To Fizza Ye Karthi Thi Dard Ki Taqreer
Asaa-E Aah Uttha Kar Udhar Chale Shabbir
Andhera Saamne Ankhoun Ke Aur Dil Tagheer
Har Aik Baar Ye Naara Ke Ya Janab-E- Ameer
Kabhi Uthe Kabhi Sultan-E- Mashraqain Gire
Likha Hae Ye Ke Bahattar Jagah Hussain Gire
Qadam Qadam Pa Taharte The Shaah-E- Tishna Guloo
Hawa Me Soongthe The Apne Laal Ki Qushboo
Zameen Pa Baith Ke Gaahen Bahathe The Aansoo
Talaash Karthe The Haathoun Se Laash Ko Har Soo
Jo Koi Poochtha Tha Kya Huzoor Dhoodthe Hain
Tho Roke Kahthe The Aankhoun Ka Noor Dhoondthe Hain
Qareeb-E- Fouj Jo Sultaan-E- Bahrobar Aae
Pukaare Hans Ke Adu Khair Hai Kidhar Aae
Ye Koun Margayaa Jo Aap Nange Sar Aae
Piyaada Dhoop Me Thaame Huwe Jigar Aae
Ye Koun Chand Huwa Aaj Door Aankhoun Se
Ke Chain Dil Se Gaya Aur Noor Aankhoun Se
Kahaa Hussain Ne Rokar Tumhen Anahi Maloom
Hamare Ghar Me Hai Mahshar Tumhen Nahin Maloom
Mitee Shabeehe Payambar Tumhen Nahin Maloom
Chuta Hussain Se Akbar Tumhen Nahin Maloom
Rulaane Ko Ye Imam-E- Umam Se Poochte Ho
Churi Phirake Kaleje Pa Hamse Poochte Ho
Aye Aankhain Waalo Mera Noor-E- Ain Kis Jaa Hai
Jawaano Bolo Mere Dilka Chain Kis Jaa Hai
Jawaan-E Faatehey Badr-O Hunain Kis Jaa Hai
Zaeefo Ainka-E Chashme Hussain Kis Jaa Hai
Kaho Rasool Ki Tasveer Ko Kahaan Khoyaa
Asaa-E- Peeri-E Shabbir Ko Kahaan Khoyaa
Pukaara Shimr Ke Koi Nahin Bataane Ka
Badaa Sawaab Hae Saadath Ke Rulaane Ka
Na Zinda Chodenge Bachcha Bhi Is Gharane Ka
Iraada Hai Ali Asghar Kay Qhoon Bahaane Ka
Jo Teer Paar Ho Nanhe Gale Se Eid Karein
Tumhaari Godh Me Shishmahe Ko Shaheed Karein
Zaeef Baap Ki Peeri Pa Raham Farmaao
Qadam Qadam Pa Na Jangal Ki Qaak Chandwaao
Jo Mujh Pa Hansthe Hain Tum Unko Aankh Dikhlaao
Ali Kaa Naam Lo Aur Doud Kar Chale Aao
Bulaalo Dada Ko Nazdeek Hai Najaf Beta
Akele Paaun Ragadte Ho Kis Taraf Beta