Kisi Beemar Ne Khat Apne Maseeha Ko Likha

Kisi Beemar Ne Khat Apne Maseeha Ko Likha Marsiya Writeup, Lyrics

Kisi Beemar Ne Khat Apne Maseeha Ko Likha
Haal Bimariyoun Ka Beti Ne Baba Ko Likha
Jojo Armaan Tha Dil Me Shah-E- Waala Ko Likha
Aur Salaam Apna Phupi Saniye Zehra Ko Likha
        Dil Me Qush Thi Ke Mera Khat Jo Pahonch Jaega
        Hai Yaqeen Ab Koi Lene Keliye Aaega

Khat Me Alqaab Ye Bekas Ne Kiya Tha Marqoom
Chahne Waale Pidar Mere Imam-E- Mazloom
Raath Din Roti Padi Rahti Hoon Ab To Maqhmoom
Aap To Bhoolgae Qair Ye Mera Maqsoom
        Na Gilaa Tum Se Hae Na Koi Shikayath Baba
        Haan Mubarak Ho Sakina Se Mohabbat Baba

Qair Tum Ko Na Sahi, Mujh Ko Hai Tum Se Ulfath
Kisi Surath Mujhe Dikhlaao Tum Apni Surath
Jaanti Hoon Ke Sakina Pa Bahut Hae Shaffqath
Accha Aye Baba Bahan Ki Mai Karoongi Qidmath
        Mujh Ko Bulwake Wahaan Mera Bhi Dil Shaad Karo
        Lo Kanizi Me Sakina Ki Mujhe Yaad Karo

Gar Nahi Mujh Ko Bulae Ho To Aao Baba
Shouq Se Apni Sakina Ko Bhi Laao Baba
Usko Sine Pa Sulaate Ho Sulaao Baba
Ham Ko Rulwate Ho To Qair Rulaao Baba
        Ranj Sahti Huwi Dunya Se Guzar Jaaungi
        Aap Aae Nahi Ek Roz Main Marjaaungi

Aarzu Hae Ke Kisi Tour Yahan Aajaaen
Aap Ki Jaan Se Door, Aah Jo Ham Marjaaen
Apne Hathown Se Kafan Aap Mujhe Pahnaaen
Aur Takleef Lahad Tak Bhi Zaa Farmaaen
        Bas Ziyada Na Sawari Yahan Taheraiga
        Dafn Karte Hi Mujhe Aap Chale Jaiega

Maa Ke Marqoom Tha Aye Madar-E- Farqanda Siyar
Saqt Baba Ka Ki Tarha Karliya Tumne Bhi Jigar
Aas Bachne Ki Nahi Lijiye Ab Jald Qabar
Warna Bimaar Ka Ab Hota Hae Dunya Se Safar
        Nahi Ummed Ke Bach Jaae Ye Muztar Amma
        Doodh Ab Baqsh Do Bimaar Ko Aakar Amma

Tha Raqam Hazrat-E- Zainab Ko Phupi Naik Qisal
Tum Ko Bhayya Ali Akbar Se Mohabbat Ha Kamaal
Haae Har Dam Mujhe Reh Reh Ke Ye Aata Hae Qayaal
Ke Mera Bhai Pa Bhari Hai Ye Attharwan Saal
        Haan Tasadduq Keliye Der Na Farmaaega
        Sadqe Hone Keliye Bhai Pa Bulwaaega

Tha Alamdar Ko Tahreer Ke Abbas Chacha
Door Uftada Bhatiji Se Huwe Tum Bhi Qafa
Sunte Hain Aapki Har Baat Ko Mere Baba
Jujh Ko Bulwaaiye, Ya Laaiye, Unke Main Fidaa
        Chumungi Unke Qadam Tumko Duaaen Doongi
        Unki Bhi Aur Tumhari Bhi Balaen Loongi

Likha Akbar Ko Ke Aye Baap Ke Pyare Akbar
Aur Phupi Jaan Ke Bhi Raaj Dulaare Akbar
Mere Baba Ki Zaeefi Ke Sahare Akbar
Hae Ye Bimaar Bahan Gour Kinare Akbar
        Waada Lejaane Ka Tha Dekhiye Kab Aate Hain
        Aap To Aate Nahi Qalq Se Ham Jaate Hain

Tha Khitaab Asghar-E- Nadaan Se Ke Aye Rashk-E-Qamar
Ghutniyoun Bhi Na Chale Hoega Darpesh Safar
Mujhe Har Dam Tera Rahta Hae Qayaal Aath Pahar
Sote Ho Jhule Me Ya Jaagte Ho Aye Asghar
        Neend Aaram Se Aur Chain Se Aati Hogi
        Jab Sakina Tere Jhoole Ko Jhulati Hogi

Yaad Aate Hain Tumhare Wo Jhundule Mujhe Baal
Sadosi Saal Salaamath Raho Aye Mere Laal
Tumko Bimaar Bahan Ka Nahi Maloom Ahwaaai
Mout Nazdeek Hai Aur Zouf-O- Naqahath Hae Kamaai
        Main Jo Marjaaun Kahin Bhool Na Jana Asghar
        Ghuniyoun Chalte Huwe Qabr Pa Aana Asghar

Ye Na Tha Ilm Use Kat Gaya Sarwar Ka Gala
Qasim-O- Akbar-O- Abbas Huwe Shah Pa Fida
Teer Kha Kar Ali Asghar Bhi Gaye Sooe Baqaa
Baaqi Ek Bhai Tha Sajjad So Wo Qhaed Huwa
        Maa, Phupi, Bahnain Lutin Qaime Bhi Taraaj Huwe
        Aik Chaadar Ko Haram Shaah Ke Mohtaaj Huwe