Kis Umr Me Ali E Naqi Be Pidar Huwe Marsiya Writeup, Lyrics
Kis Umr Me Ali E Naqi Be Pidar Huwe
Bachpan Me Dil Pe Chott Lagi Nouhagar Huwe
Yasrab Me Jaanasheen-E Shahey Behrobar Huwe
Ye Waaris-E Bizaa- Atey Qairul Bashar Huwe
Ilm-O Amal Ko Maan Liya Shaiq-O Shaab Ne
Kya Kamsini Me Paayi Buzurgi Janaab Ne
Charqe Nehum Imaam-E Dehum Ka Maqaam Hai
Pushto Panaah Arsh-E Bareen Inka Naam Hai
Har Chaar Simt Madhdah-O Sanaa-E Imaam Hai
Tasbeeh Shash Jahath Ki Durood-O Salaam Hai
Naari Hai Jo Kahe Ke Ye Noore Quda Nahi
Anwaar Qamsaa-E Najbaa Se Judaa Nahi
Aye Door Charq-E Raah Ye Kaisa Hai Intezaam
Qaamosh Kyun Rahoon Ke Shikaayath Ka Hai Maqaam
Rahne Na Paaye Chain Se Istarha Se Imaam
Qayam Maqaam Iskay Huvey Dushmaney Imam
(Wo Dour Zaalimoun Ka Wo Wizaaen Subh-O Shaam
Farzand Par Rasool Ke Ummath Jafaa Kare
Pursaa Na Jab Koi Ho To Mazloom Kya Kare
Tayyar Qatl Par Mutawakkil Raha Madaam
Majboor Rahgaya Wo Adu-E Shah-E Anaam
Pahoncha Safar Me Chodd-Ke Ye Kaartha Tamaam
Qaayam Maqaam Uske Huwe Dushman-E Imaam
Fursat Mili Na Dilbare Shair-E Ilaah Ko
Tadbeer Motemadh Se Mila Zahr Shaah Ko
Wo Qalq Ka Maseeh Huwa Saahebey Firaash
Be Hiss Tha Jism Farsh Pe Goya Padi Thi Laash
Kunj-E Lahad Ko Gosha Nasheen Ko Huwi Talaash
Suraaq Dil Me Tha Toh Kaleja Tha Paash Paash
Aatey They Haal Dekhne Baashindey Shaher Ke
Po-Tha Raza Ka Martha Tha Sadme Se Zaher Ke
Raavi Bahut Se Haashmi Is Kay Hai La Kalaam
Jin Mey Hai Ek Ka Hasan Ibn-E Hussain Naam
Aaya Jo Roz Rehlat-E Shaahey Falak Maqaam
Sehney Makaan Mey Farsh Pey They Jalwagar Imam
Majma Bahut Tha Syed-E Zijaah Kay Qareeb
Mardam They Jamaa Yak Sad-O Panjaah Kay Qareeb
Nagaah Askari Nazar Aaye Hamey Udaas
Dakhil Huvey Makaan Mey Ayaan Chehrey Sey Thi Yaas
Paband Hazan Khaak Gareebaan O Beyhawaas
Dahni Taraf Khadey Huvey Aaker Pidar Kay Paas
Kis Haal Mey Hain Koun Yeh Hain Jaantey Na They
Huzzaar-E Anjuman Inhey Pehchaantey Na They
Noor-E Nazar Ko Dekh Ke Hazrath Ne Ye Kaha
Kar Shukr Kirdagaar Ka Aye Mere Mehlaqaa
Haadas Ek Amr Tere Liye Haq Ne Hai Kaha
Rone Laga Ye Sunte Hi Wo Raaziye Raza
Bola Ke Shukr Marhamath-E Zuljalaal
Hai De Apni Nematey Ye Quda Se Sawaal Hai
Poocha Kisi Ne Tab Huwa Maaloom Sab Ko Haal
Ye Hain Hassan Janaab-E Ali Un Naqi Ke Laal
Zaaher Huwa Jo Umr Ki Jaanib Kiya Qayaal
Hoga Qareeb Bees Baras Ka Ye Qush Jamaal
Samjhe Ishaare Ham Ye Kalaam-E Imaam Ka
Hai Jaanasheen Yahi Shah-E Aali Maqaam Ka
Rota Raha Wasi-E Shahinshaah-E Behrobar
Sa-Ath Wo Aayi Sar Se Uthaa Saaya-E Pidar
Saamere Se Jinaan Ki Taraf Hogaya Safar
Hae Hae Chuttaa Musaafir-E Yasrab Se Ye Bhi Ghar
Ghul Padh Gaya Wafaathe Ghareebul Watan Huwi
Saamaaney Ghusl Ka Huwa Fikr-E Kafan Huwi