Karbala Ek Aaftab

Karbala Ek Aaftab Salaam Writeup, Lyrics

karbala ek aaftab
aur uski tanveerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

ek kitabe aagahi jiski hai tafseerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

panjetan ke naksh seene may saja kar rakh liye
kaatib e taqdeer ne dikhlayi tasveerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

hai bahattar tan shareeke maqsade zibhe naseeb
ek khaleeli khaab tha jiski hai tabeerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

faut e akbar ne azan may bhar diya kuch aur rang
yun to mehshar tak suni jayengi takbeerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

nusrate haq may teri uqba bani hurr e jari
haath mal kar reh gayi dunya ki jageerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

ruk saka kab raasta sher e khuda ke sher ka
rok ne ko laakh thi saahil pa shamsheerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

bezaban asghar ne pathar dil hila kar rakh diye
sun chuke thay ashqiyan pur soz takreerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

goshware khaynch kar ghudka tamache bhi lagaye
jaise thi us phool si bachi ki tafseerein bahot
karbala, karbala ek aaftab

bediyan pairon may aur gardan may tauq e khaardaar
phir bhi pehnayi gayi abid ko zanjeerein bahot
karbala, karbala ek aaftab