Jis Dam Nageen E Khaatim E Paighambaraan Giraa

Jis Dam Nageen E Khaatim E Paighambaraan Giraa Marsiya Writeup, Lyrics

Jisdam Nageen-E Khaatim-E Paighambaraan Giraa
Rounaq Uthi Zameen Se Imaam-E Zamaan Giraa
Girne Pa Sab Giroh Liye Barchiyaan Giraa
Hae Hae Na In Jafaaoun Pa Bhi Aasmaan Giraa
        Zehra Se Poochiyeh Qalaq Noor-E Ain Ka
        Tapna Zameen Ka Aur Tadapna Hussain Ka

Mushtaaq-E Seir-E Zibha Bade Afsaraan-E Keen
Qaatil Kayi Khade Huwe Aakar Qareen Qareen
Koi Pukaara Haan Koi Bola Abhi Nahi
Ab Deir Kya Hai Sajde Me Rakh Lene Do Jabeen
        Awaaz Di Umar Ne Hai Gardan Dhali Huwi
        Qaatil Pukaara Aankh Abhi Hai Khuli Huwi

Sab Tham Gaye Magar Na Thama Shimr-E Bad Shiyum
Sar Peetne Ki Jaa Hai Rakha Is Jaga Qadam
Seena Daba Tho Aur Bhi Tadpe Shah-E Umam
Shour-O Fughaan Suna Isi Haalath Me Dam Badam
        Qaatil Se Poocha Dekh Kidhar Ghul Ye Hota Hai
        Hai Hai Hussain Ke Koi Ran Me Rota Hai

Wo Bola Koi Hoga Mai Dekhoon Bhala Kidhar
Ab Tegh Par Nigaah Hai Sheh Ragh Pa Hai Nazar
Haan Jab Sawaar Hone Laga Tha Mai Seene Par
Saidaani Aik Qaime Se Nikli Thi Nange Sar
        Is Dam Hamaari Fouj Me To Eid Hoti Hai
        Mujh Ko Yaqeen Hai Ye Wahi Bibi Roti Hai

Shah Bole Aur Koi Nahi Ye Bahen Bahen
Aashiq Bahen Hussain Ki Tishna Dahan Bahen
Bhooli Hamaare Pyaar Me Maa Ka Chalan Bahen
Bale Kahaan Kahaan Ye Meri Qasthathan Bahen
        Qaatil Pukaara Aage Bhi Baaher Ye Aai Thi
        Shah Bole Jab Sinaan Yeh Ali Akbar Ne Khaai Thi

Aage Hai Wo Maqaam Ke Ghash Honge Momineen
Ye Saamne Hussain Hain Wo Zainab-E Hazeen
Gardan Pa Tegh Dil Me Sinaan Seene Par Laeen
Zainab Ye Haal Dekhthi Hai Aur Bas Nahin
        Na Mehrumoun Ka Dhyaan Na Parde Ka Hosh Hai
        Ye Sab Lahoo Ka Josh Hai Ulfath Ka Josh Hai

Wo Rona Bekasi Ka Wo Ghabraana Yaas Ka
Wo Thartharaana Dil Ka Wo Udna Hawaas Ka
Kahna Bilak Bilak Ke Ye Kalma Hiras Ka
Aye Shimr Waastha Ali Asghar Ki Pyaas Ka
        Lillah Teen Roz Ke Pyaase Ko Cho-Dh De
        Sadqa Nabi Ka Unke Nawaase Ko Cho-Dh De

Thamjaa Quda Ko Maan Habeeb-E Quda Ko Maan
Zehra Ko Maan Hazrath-E Mushkil Kushaa Ko Maan
Saugandh Faqr-E Faaqa-E Aal-E Abaa Ko Maan
Apni Rasool Zaadi Ki Too Iltejaa Ko Maan
        Saare Buzurg Margaye Mujh Bad Naseeb Ke
        Mera Koi Nahi Hai Siwa Is Ghareeb Ke

Aye Shimr Paas Bhai Ke Aaun Jo Too Kahe
Zaqmoun Se Jalthi Reth Chudhaoun Jo Too Kahe
Chadar Badan Ke Neeche Bichaaun Jo Too Kahe
Bekal Hai Sar Mai Aake Uthaun Jo Too Kahe
        Paani To Yaan Milega Na Zehra Ki Jaai Ko
        Aansu Chidak Ke Hosh Meh Laaungi Bhai Ko

Aye Shimr Main Gale Se Lagaaloon To Zibha Kar
Bhai Se Milke Qaime Meh Jaaloon To Zibha Kar
Kuch Dard Apne Dil Ka Sunaaloon To Zibha Kar
Syed Ko Qibla Roo Mail Litaaloon To Zibha Kar
        Paani To Bhooke Pyase Ko Aye Badqisaal De
        Hai Waqt-E Zibha Aankhoun Pa Kapda To Daal De

Aye Shimr Tujhko Qaaleq-E Akbar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Rooh-E Payambar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Hyder-E Safdar Ka Waastha
Aye Shimr Tujhko Nanhe Se Asghar Ka Waastha
        Lillah Kar Na Zibha Shah-E Mashraqain Ko
        Mai Bheek Maangthi Hoon Mujhe De Hussain Ko

Ye Kahte Kahte Susth Huwi Dam Ulat Gaya
Sar Peet Thi Ye Rahgai Sar Sah Ka Kat Gaya
Yun Laash Par Giri Ke Jigar Sab Ka Phat Gaya
Baahen Gale Me Daalke Laasha Lipat Gaya
        Maa Ki Tarha Thi Aashiq-E Shaah-E Zaman Bahan
        Ye Bhai Bhai Kahti Thi Laasha Bahan Bahan