Jis Dam Hasan Ka Zaher Se Tukde Jigar Hua

Jis Dam Hasan Ka Zaher Se Tukde Jigar Hua Marsiya Writeup, Lyrics

Jis Dam Hassan Ka Zaher Se Tukde Jigar Huwa
Se Paara Dil Ka Aahon Se Zey-Ro- Zabar Huwa
Sam Ka Jo Roo-E- Paak Pa Zaaher Asar Huwa
Haal Us Imam-E- Paak Ka Is Dam Digar Huwa
         Raahat Me Farq Aur Shikam Me Qalal Pada
         Kat Kar Kaleja Tasht Ke Andar Nikal Pada

Bistar Pa Dard-E- Dil Se Tadapne Lage Imam
Sadme Se Sabz Hone Laga Rooe Surq Faam
Chilliae Haath Se Ye Kaleje Ko Tham Tham
Dowdho Bahan Ke Kaam Hamara Huwa Tamam
         Ye Kahte Kahte Zard Ruq-E- Paak Hogaya
         Chillate The Ke Haae Jigar Chaak Hogaya

Dowdhin Janab-E- Zainab-E Bekas Barahna Pa
Dekha Ke Lott-Tey Hain Bichone Pe Mujtaba
Boli Ye Sarko Peet Ke Wo Gham Ki Mubtela
Hai Hai Bahan Nisar Ho Bhai Ye Kya Huwa
         Kya Phir Kisi Ne Zaher-E Dagha Se Piladiya
         Kis Ne Mere Kaleje Pe Khanjar Phira Diya

Takya Laga Rahe The Haram Jo Idhar Udhar
Baazu Ko Thaam Leti Thi Koi, To Koi Sar
Farmaya Laao Tasht, Huwa Zaher Ka Asar
Reh Reh Ke Koi Kaat Tha Hai Tegh Se Jigar
         Badhta Tha Jab Ke Dard Jigar Me Imam Ke
         Jhukte The Baar Baar Kaleje Ko Thaam Ke

Zainab Ne Jald Laake Rakha Samne Lagan
Hathoun Se Dil Pakad Ke Jhuke Sarwar-E- Zaman
Aai Jo Qhai To Kaane Jawahar Bana Dahan
Almas Khake Laal Ugalne Lage Hassan
         Range Zamrudi Ka Asar Ab Ayaan Huwa
         Meraaj Ki Hadees Ka Matlab Ayaan Huwa

Farmate The Hassan Ke Bulaao Hussain Ko
Tha Dambadam Ye Hukm, Ke Laao Hussain Ko
Bhaai Ka Haale Zaar Sunaao Hussain Ko
Tukde Mere Jigar Ke Dikhao Hussain Ko
         Kahdo Ke Jald Aaiye Rahlat Ka Waqt Hai
         Sun Ja-E-Ye Kuch Aake Wasiyat Ka Waqt Hai

Aae Hussain Itne Me Baa Chashm Ashkbaar
Chillate The Ke Aapki Ghurbath Ke Main Nisaar
Shabbar Gale Ko Choom Ke Kahte The Baar Baar
Main Tum Pa Sadqe Aye Mere Nana Ke Yaadgaar
         Mujh Se Ziyada Zulm-O- Sitam Tum Pa Hoenge
         Ham Qabr Me Tumhari Musibath Pa Roenga

Bhayya Tumhari Godh Me Niklega Mera Dam
Tum Doge Hamko Ghusl-O- Kafan Jab Marenge Ham
Hoga Tumhare Paas Na Koi Bajuz Alam
Khatil Sarhane Hoega Ya Khanjar-E- Sitam
         Shabbar To Baad-E Marg Bhi Raahat Se Soega
         Laasha Tumhara Ghodoun Se Pamaal Hoega

Bole Katora Leke Hussain-E Falak Janaab
Dekhoon To Peeke Main Bhi Ke Kis Tarha Ka Hai Aab
Bhai Se Lipti Doud Ke Zainab Jigar Kabaab
Pakda Hassan Ne Daste Baradar Basad Shitaab
         Jaldi Se Pee Na Le Ye Qalaq Tha Imam Par
         Ek Haath Tha Kaleje Pa Ek Haath Jaam Par

Darde Jigar Se Ghash Huwe Shaah-E- Falak Janaab
Ghamgeen To The Hussain Huwa Aur Izteraab
Haazir Thi Rooh-E Ahmed-O- Zehra –O- Buturaab
Wa Aasmaan Pe Hogaye Baagh-E- Jinaan Ke Baab
         Sar Peeto Momino Ke Khazaa Kar Gaye Hassan
         Bin Bhai Ke Hussain Huwe Margaye Hassan

Barpa Tha Ahle Baith-E-Payambar Me Shour-O Shain
Behney Pacha-Dey Qhaak Pa Kahti Theen Karke Bain
Chaati Pe Haath Maarke Chillate The Hussain
Ab Uth Gaya Zamane Se Ham Bekasoun Ka Chain
         Dil Ab Hamara Toot Gaya Wa Musibata
         Baap Aaj Hamse Choot Gaya Wa Musibata

Ek Ek Ko Rokthe The Imam-E- Falak Sareer
Aane Lage Janaze Pa Jo Us Taraf Se Teer
Kaanpi Zameen Hilgaya Sadme Se Charqe Peer
Nikli Lahad Se Fatima Je-Be- Kafan Ko Cheer
         Taboot Par Nawase Ke Bidat Jo Hoti Thi
         Roohe Rasoole Paak Janaze Pa Roti Thi