Jab Zainab E Ghareeb Ke Ran Me Pisar Lade Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Zainab-E-Ghareeb Ke Ran Me Pisar Lade
Tanha Lade Ye, Aah Wo Sab Ahl-E- Shar Lade
Kis Khoobsurti Se Ali Ke Jigar Lade
Ek Shour Padgaya Ke Ghazab Sher-E- Nar Lade
Wirsa Unhen Mila Hae Janab-E- Ameer Ka
Ye Zour Sab Hae Sher Ki Beti Ke Sher Ka
Zainab Jo Nange Paaun Khadi Thi Qarib-E- Dar
Abbas Jaake Dete The Ye Dambadam Qabar
Roain Na Ab Huzoor Mohim Hochuki Hae Sar
Laakhoun Se Lad Rahe Hain Ghazab Aapke Pisar
Zor Aaj Phir Dikhadiya Qaibar Kushal Ka
Ab To Unhin Ke Haath Hae Maidan Laddai Ka
Aansu Baha Ke Bint-E- Ali Ne Kaha Ke Haan
De Aur Himmaten Unhain Qallqa-E- Ins-O- Jaan
Bachche Kahan, Hazaroun Ka Wo Maareka Kahan
Kuch Huwa Unhey Falak Ne, Na Hone Diya Jawaan
Be-Ashoon Aur Us Pa Mujhe Etemaad Hae
Qhaaleq Wo Deke Jo Mere Dil Ki Murad Hae
Bhayya Kuch Apne Betoun Ka Mujh Ko Nahi Qayaal
Marjaeen Ladke Ya Ke Ho Taapoun Se Paaemaal
Sadqe Karoon Hazaar Jo Aise Ho Nounihaal
Sab Doulatain Luten, Pa Bache Fatima Ka Laal
Aae Bahan Pa Wo Jo Balaa Unpa Aai Ho
Dunya Me Koi O Ke Na Ho Mera Bhaai Ho
Ye Zikr Tha Ke Bhaai Ko Hazrath Ne Di Sadaa
Abbas Aao Ghir Gaye Zainab Ke Dilruba
Dowdhe Sadaa Ye Sunte Hi Abbas-E- Bawafaa
Asnaa-E- Raah Me Ali Akbar Ne Ye Kaha
Zinda Rakha Falak Ne Ye Aansu Bahane Ko
Chaliye Huzoor Jaate Hain Laashe Uthaane Ko
Pyaari Bahen Ke Betou Ka Dekha Jo Shay Ne Haal
Tan Chaak Chaak Hai Gulesadh Barg Ki Misaal
Uljhe Hai Paich Khaye Huwe Gesuwo Ke Baal
Oodey Hai Hott Chand Se Chehre Lahu Se Laal
Mathe Hai Sakl Sarou Se Amaamey Bhi Door Hai
Sab Choti Choti Pasliya Teghou Se Choor Hai
Chillay Gardanou Ke Tale Haath Deke Shah
Mu Se Milao Mu Ke Mera Haal Hai Tabah
Aakho Mey Dam Tha Bolte Kyun Kar Wo Rash Ke Maah
Rote The Nabz Dekhke Abbas Se Arshjaah
Dunya Se Kooch Karte The Bach-Che Pale Huwe
Haathou Me The Hussain Ke Manke Dhale Huwe
Chillay Roke Hazrathe Abbas-E- Naamwar
Chota Tamaam Hogaya Ya Shah-E- Bahrobar
Hazrath Pukaare Haath Kaleje Pa Maar Kar
Hae Hae Bada Bhi Mar Gaya Veeran Huwa Ye Ghar
Maa Muntazar Hae Chaak Garebaan Kiye Huwe
Kis Mu Se Jaaun Qaime Me Laashe Liye Huwe
Kuch Kuch Abhi Tha Dam Ke Unhein Le Chale Imam
Ek Laash Ko Tho Aap Liye The Shah-E- Anaam
Aurk Aik Laash Hazrathe Abbas-E- Naik Naam
Qaima Tha Saamne Ke Biza-Ath Huwi Tamaam
Jeete Na Pahonche Haae Ghazab Qaimagaah Me
Dono Sagheer Margaye Asnaa-E- Raah Me
Zainab Ke Dil Ko Hogayi Waan Qudbaqud Qabar
Jaa Baithi Aap Matami Saf Par Jhuka Ke Sar
Laae Hussain Dono Ke Laashe Lahu Me Tar
Farmaya Haae Lut Gaya Bekas Bahan Ka Ghar
Do Qanjar Aik Baar Kaleje Pa Chal Gaye
Aaye The Tum Se Milne Ko Par Dam Nikal Gaye