Jab Shaah Ko Safar Me Bahot Din Guzar Gaye

Jab Shaah Ko Safar Me Bahot Din Guzar Gaye Marsiya Writeup, Lyrics

Jab Shaah Ko Safar Me Bahoth Din Guzar Gaye
Sughra Ko Gham Huwa Ke Musaafir Kidhar Gaye
Kahthi Thi Ghar Bhara Huwa Veeraan Kar Gaye
Kya Jaane Kis Taraf Mere Bekas Pidar Gaye
        Hai Shouq Dil Me Sibt-E- Payambar Ki Deed Ka
        Kya Wajha Hai Ke Qat Nahi Aaya Rasheed Ka

Pardesiyoun Ke Gham Me Hai Jeene Se Mujh Ko Paas
Bistar Pe Mu Lapete Padi Rahthi Hoon Udaas
Baba Safar Se Aaenge Jab Tak Na Mere Paas
Tab Tak Badan Se Mai Na Utaaroongi Ye Libaas
        Jeethi Rahi To Visl-E- Imaam-E- Zaman Huwa
        Aur Mar Gayi To Bas Yahi Kurtha Kafan Huwa

Aathi Nahi Hai Kuch Qabr-E- Syedul Anaam
Basthi Kahaan Basaai Kiya Kis Jagaah Maqaam
Kyun Naani Jaan Aaap To Sunthi Thi Wo Kalaam
Ruqsath Ke Waqt Mujh Se Jo Farmaathe The Imaam
        Kahthe The Khat Bhi Aaega Akbar Bhi Aaenge
        Soghra Na Rowo Ham Tumhen Jaldi Bulaaenge

Dekho Ke Khat Na Aaya Na Akbar Wahaan Se Aae
Kuch Jaadesaa Pada Shah-E- Deen Par Safar Me Haae
Kis Se Kahoon Jo Sibt-E- Nabi Ki Qabar Ko Jaae
Allah Mere Baap Ko Jaldi Watan Me Laae
        Sunthi Hoon Dost Kam Hain Shah-E Mashraqain Ke
        Dushman Bahot Hain Faatema Ke Noor-E- Ain Ke

Maango Dua Ke Sibt-E- Payambar Ki Qair Ho
Abbas-O- Qaasim-O- Ali Akbar Ki Qair Ho
Ashnoun Ki Qair Ho Meri Maadar Ki Qair Ho
Garmi Ka Hai Safar Ali Asghar Ki Qair O
        Amma Ko Uska Doodh Badhaana Naseeb Ho
        Phir Ghar Meleke Qair Se Aana Naseeb Ho

Ye Kahke Mu Ko Dhaanp Ke Roi Wo Nouhagar
Kurta Tamaam Hone Laga Aansuoun Se Tar
Naani Dilaasa Dene Lagi Paas Aankar
Qurbaan Jaaun Roti Ho Kyun Dhyaan Hai Kidhar
        Veeraan Karenge Shaher Ko Jangal Basaaenge
        Ab Kya Quda Na Qaastha Hazrath Na Aaenge

Charcha Huwa Ye Shehr-E- Madina Me Jaa Bajaa
Soghra Se Aake Maadar-E- Abbas Ne Kahaa
Zaanu Pe Sar Jhukaae Huwe Ro Rahi Ho Kyaa
Shabbir Aaye Shukr Ka Sajda Karo Adaa
        Naake Pe Fouj Tahri Hai Waari Hussain Ki
        Aathi Hai Koi Dam Me Sawaari Hussain Ki

Naani Ne Tab Ye Aake Kaha Hoke Shaad Shaad
Soghra Tumhen Na Tha Mere Kahne Ka Etemaad
Mai Kahthi Thi Ke Aathe Hai Ab Shaah-E- Qush Nehaad
Poori Quda Ne Ki Jo Mere Dil Ki Thi Muraad
        Dekhoongi Aaj Baap Ko Maadar Ko Bhaai Ko
        Lo Kapde Ab Badal Lo Chalo Paishwaai Ko

Wo Boli Mere Dil Me Hai Kuch Aur Hi Qayaal
Jab Tak Na Ghar Me Aaega Qairun-Nisaa Ka Laal
Kapde Na Badloongi Na Mai Goondoongi Sar Ke Baal
Aane Do Unko Jin Ke Liye Hai Ye Mera Laal
        Shikwa Karoongi Aankhounse Aansu Bahaaungi
        Baba Ko Ye Phataa Huwa Kurta Dikhaaungi

Ye Kahke Godh Me Liya Beemaar Ko Uthaa
Aur Ruq Kiya Sooe Lahad-E- Paak-E- Mustafa
Nazdeek Jab Gaye To Ye Ghul Yak Bayak Huwa
Aaya Hai Be Hussain Ke Beemaar-E- Karbala
        Maatam Karo Habeeb-E- Quda Ke Habeeb Ka
        Sar Kat Gaya Baddan Se Hussain-E- Ghareeb Ka

Kah Kar Ye Baath Ghar Se Chali Duqtar-E- Anaam
Naani Bhi Saath Ogayi Jaldi Asaa Ko Thaam
Dekha Har Ek Taraf Ko Hai Qilqat Ka Ashdhaam
Kahne Lagi Ye Maadar-E- Abbas-E- Naik Naam
        Mujh Ko To Hai Yaqeen Ke Ab Ghar Na Aaenge
        Shabbir Pahle Qabr-E- Payambar Pe Jaaenge

Aye Saakinaane Shehre Madina Udaao Khaak
Kardaalo Aah Apne Garebaan Chaak Chaak
Shabbir Teen Din Ka Hai Pyaasa Huwa Halaak
Chaaliswain Talak Raha Be Gour Hism-E- Paak
        Paaoge Phir Na Faatema Ke Noor-E- Ain Ko
        Ham Karbala Me Dafn Kar Aae Hussain Ko