Jab Ran Me Sibt E Ahmed E Muqtaar Ghir Gaya Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Ran Me Sibt-E Ahmed-E Muqtaar Ghir Gaya
Syed Ghareeb Bekas-O Be Yaar Ghir Gaya
Ahl-E Haram Ka Qafela Salaar Ghir Gaya
Lashkar Tamaam Hogaya Sardaar Ghir Gaya
Ghul Tha Amaan Do Na Shah-E Mashraqain Ko
Nokoun Se Barchiyoun Ki Giraado Hussain Ko
Jis Roz Tha Ye Hashr, Ye Maatam, Ye Shour-O Shar
Aa Pahoncha Ek Musaafer-E Ghurbath Zadah Udhar
Nikla Tha Ghar Se Shouq-E Najaf Me Wo Qush Siyar
Chodhe Huwe Watan Use Guzra Tha Saal Bhar
Be Qaanama Ko Ishq Quda Ke Wali Ka Tha
Mushtaaq Wo Ziyaarath-E Qabre Ali Ka Tha
Pahoncha Jo Karbala Me Tho Dekha Ye Usne Haal
Tanha Khada Hai Aik Musaafer Lahoo Me Laal
Fouj-E Sitam Ki Gird Thi Aamadah-E Qataal
Chalthe Hain Teer Paani Ka Kartha Hai Jab Sawaal
Abbas Ke Ahl-E Dard Tha Betaab Hogaya
Paani Ke Maangne Pa Jigar Aab Hogaya
Kahne Laga Laraz Ke Wo Ziqadi-O Naik Naam
Allah Kisqadar Hai Pur Aashob Ye Maqaam
Darya Quda Ne Qalq Kiya Bahr-E Faiz-E Aam
Marta Hai Be Ajal Ye Sitam Kash Ye Tashnakaam
Inse Bashar Dare Jinhe Qouf-E Qudaa Nahi
Jaldi Nikal Chalo Ye Taharne Ki Jaa Nahi
Do Chaar Gaam Chal Ke Ye Soncha Wo Naamwar
Mazloom Ki Duaa Me Hai Har Tarha Ka Asar
Wallah Bargazida-E Haq Hai Ye Qush Siyar
Kar Lije Iltemaase Duaa Haath Baandh Kar
Teghoun Me Uske Paas Chalo Jo Qudaa Kare
Aasaan Hon Mushkilen Jo Ye Bekas Duaa Kare
Aaya Jo Kaanpthe Huwe Wo Shaah-E Deen Ke Paas
Ki Arz Assalaam Aliaka Ya Falak Asaas
Moula Jawaab Deke Ye Bole Badard-O Yaas
Aana Huwa Kidhar Se Tera Aye Qudaa Shinaas
Arz Usne Ki Ghulaam-E Shah-E Zulfeqaar Hoon
Bekas Hoon Benawaa Hoon Ghareebud Dayaar Hoon
Do Saaheboun Ke Shouq Me Chodha Hai Maine Ghar
Hasrat Ye Hai Naseeb Kare Yaawari Agar
Pahle Tho Hoon Najaf Ki Ziyaarat Se Bahrawar
Manzoor Phir Wahaan Se Madine Ka Hai Safar
Pahonchunga Doulatein Hain Agar Sar-E Nowsht Me
Raste Me Mout Aai Tho Pahoncha Behist Me
Farmaaya Aapne Ke Madine Me Kya Hai Kaam
Arz Usne Ki Wahi Tho Hai Dunya Me Ek Maqaam
Us Sarzameen Pa Hai Mera Aaqa Mera Imaam
Barsoun Se Jinke Ishq Me Rota Hoon Subh-O Shaam
Hyder Ke Jaan-O Dil Hain Shah-E Mashraqain Hain
Sadqe Mai Us Jagah Ke Wahin Tho Hussain Hain
Mera Hai Ab Ye Haal Ke Zaqmoun Se Choor Hoon
Jangal Me Mout Aai Hai Basthi Se Door Hoon
Ek Qaaksaar Banda-E Rabb-E Ghafoor Hoon
Aalam Hai Iski Zaat Ke Mai Be Qusoor Hoon
Kahne Me Baat Aathi Hai Ye Kuch Gilaa Nahi
Din Teesra Hai Aajke Paani Milaa Nahi
Moula Se Haath Joud Ke Bola Wo Dil Kabaab
Le Aaun Doud Kar Mere Sharbe Me Hae Kuch Aab
Kijiye Zabaan-E Qushk Ko Tar Bahr-E Buturaab
Bole Hilaa Ke Sar Ko Shah-E Aasmaan Janaab
Ab Intezaar Mouth Ka Hai Kya Jiyunga Mai
Sab Pyase Margaye Hain Na Paani Piyunga Mai
Darkaar Jo Tujhe Ho Wo Be Bahr Kirdagaar
Paidal Agar Hai Too To Ye Haazir Hai Raahwaar
Naaqa Bhi Le Tera Tu Hai Aaqaah Wo Naamdaar
Saail Ko Jisne Roti Ke Oontoun Ki Di Qataar
Bekas Hoon Go Ke Aaj Pa Aali Maqaam Hoon
Sharma Na Too Ke Mai Bhi Ali Ka Ghulaam Hoon
Arz Usne Ki Huzoor Se Ab Hai Ye Iltejaa
Kijiye Uthaa Ke Haath Mere Haq Me Ye Duaa
Pahoncha De Mujhko Qabr-E Ali Par Mere Qudaa
Moula Ne Aasmaan Ki Taraf Dekha Aur Kahaa
Jis Ko Nahi Sawaal Wo Doulat Naseeb Ho
Yaarab Ise Ali Ki Ziyaarath Naseeb Ho