Jab Parishaan Huwi Maula Ki Jamaath Ran Me Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Parishaan Huwi Maula Ki Jamaa’ath Ran Me
Har Namaazi Ka Pasand Aai Iqaamath Ran Me
Qibla-E Deen Ne Kiya Qasde Ibaadath Ran Me
Shakl-E Mehraab Bani Tegh-E Shahadath Ran Me
Ghul Huwa Isko Imaam-E Dojahaan Kahthe Hain
Teghoun Ke Saaye Me Shabbir Azaan Kahthe Hain
Qudrath-E Haq Se Dareeche Huwe Firdous Ke Waa
Daf Athan Khul Gaye Dar Haae Falak Sartaapa
Yak Bayak Uth Gaye Sab Parda-E Arsh-E Aala
Ambiyaa-O Malak-O Hoor Ko Pahonchi Ye Nidaa
Qadardaan Iska Mai Hoon Mera Shanasa Hai Ye
Kyun Naho Mere Mohammed Ka Nawaasa Hai Ye
Ye Wo Taa-Ath Hai Ke Tanha Hi Adaa Karthe Hain
Mere Aashiq Tah-E Shamshir Raha Karthe Hain
Sar Qalam Hota Hai Wo Shukr-E Quda Karthe Hain
Saadeq- Ul Waada Yunhi Waada Wada Karthe Hain
Ham Namaaz Iske Janaaze Ki Jo Padhwaaenge
Tum Bhi Jana Ke Rasoolaan-E Salaf Jaaenge
Saakin-E Arsh-E Barin Karne Lage Naal-O Aah
Shaah Takbeer Yahaan Kah Chuke Allah Allah
Aur Iqaamath Me Huwe Sarf Shah-E Aalijaah
Jaane Waahid Pa Gire Aanke Laakhoun Bad Khwaah
Soorahe Hamd Nabi Zaada Padha Chaahtha Tha
Shimr Qanjar Liye Seene Pa Chadha Jata Tha
Neem Bismil Ne Zabaan Se Jo Kaha Bismillah
Nezaa Maara Abu Ayyub Ne Lab Par Naagaah
Dar Se Saidaaniyaan Chillai Ke Innalillah
Haae Ye Zulm Namaazi Pa Ayaazan Billah
Waajibul Qatl Ko Hai Aab-O- Ghiza Ki Mohlath
Jaan-E Zehra Ko Nadi Farz-E Quda Ki Mohlath
Zeenath-E- Arsh-E Bareen Qhaak Pa Uftaadah Hai
Na Bichona Hai Na Masnad Hai Na Sajjadah Hai
Shimr Qanjar Liye Baalin Pa Istaadah Hai
Koi Itna Nahi Kahtha Ke Nabi Zaada Hai
Qasd Sajde Ka Idhar Qibla-E Deen Karta Hai
Niyyath-E Zibha Idhar Shimr-E Laeen Karta Hai
Qanjar-E Zulm Ko Chamka Ke Pukaara Dushman
Bosagaah-E Nabawi Kaatoon Mai Ab Ya Gardan
Bole Shah Jis Me Too Raazi Ho Nahi Jaae Suqan
Halq Ye Halq-E Nabi Hai Ye Badan Unka Badan
Dekh Sar Nange Harek Hoor-E Jinaan Aathi Hai
Abhi Too Zibha Na Karna Meri Maa Aathi Hai
Naa-Gah Aai Ye Awaaz Ke Amma Sadqe
Mere Maa Baap Fida Mai Tere Qurbaan Sadqe
Koun Koun Aaj Huwa Tujh Pa Meri Jaan Sadqe
Sher Kitne Huwe Kitne Huwe Naadan Sadqe
Qatl Gaah Ko Abhi Jannat Se Jo Mai Aathi Thi
Hoor Ek Nanhe Se Laashe Ko Liye Jaathi Thi
Qafela Lutgaya Amma Mera Lashkar Na Rahaa
Ladd-E Amjad Ki Nashaani Ali Akbar Na Raha
Rahgaya Dard-E- Kamar Haae Baradar Na Raha
Ab Aqabar Aapne Li Aanke Jab Ghar Na Rahaa
Aik Main Hoon Se Mujhe Qatl Ki Mushtaaqi Hai
Bosagaah-E Nabawi Katne Ko Ab Baaqi Hai
Guftagu Maadar-O Farzand Me Hothi Thi Ye Aah
Rothi Thi Fatema Mushtaaq-E Shahadat The Shaah
Aasteen Ghusse Se Qaatil Ne Chadhaai Naagaah
Qahar-E Jallad Pa Ki Shaah Ne Hasrat Se Nigaah
Shimr Ne Poocha Tumhen Uzr Koi Ab To Nahi
Bole Shah Dekhle Darwaaze Pa Zainab To Nahi
Wo Pukaara Nazar Aati Nahi Dar Par Zainab
Peet Thi Phirthi Hai Qaime Me Khule Sar Zainab
Gar Saraachoun Se Chali Aaegi Baahar Zainab
Rok Sakne Ki Nahi Par Mera Qanjar Zainab
Jalq Ko Aapke Be Qouf-O Qatar Kaatoonga
Aik Qanjar Se Bahan Bhaai Ka Sar Kaatoonga
Aai Zehra Ki Sadaa Shimr Too Naabeena Hai
Dar Pa Zainab Nahi Baalin Pa Magar Zehra Hai
Aye Be Raham Qataa Mere Pisar Ki Kya Hai
Aastheen Ulti Hai Kyun Tegh Ko Kyun Khaincha Hai
Kya Ise Paala Tha Mai Ne Tere Qanjar Keliye
Mere Bach-Che Ko Nakar Zibha Payambar Keliye