Jab Naujawaan Pisar Shah E Deen Se Juda Huwa

Jab Naujawaan Pisar Shah E Deen Se Juda Huwa Marsiya Writeup, Lyrics

Jab Naujawaan Pisar Shah-E- Deen Se Juda Huwa
Roushan Qamar Se Pahre Bareen Se Judaa Huwa
Noor-E- Nazar Imam-E-Mubeen Se Judaa Huwa
Laqt-E- Jigar Hussain-E- Hazeen Se Juda Huwa
        Dil Daagh Hogaya Dil-O- Jaan-E- Butool Ka
        Ghar Be Charaagh Hogaya Sibt-E- Rasool Ka

Barchi Se Tukde Hogaya Laqt-E Jigar Ka Dil
Qud Baap Ne Chida Huwa Dekha Pisar Ka Dil
Hota Hai Aabgina Se Naazuk Bashar Ka Dil
Pathar Ka Dil Nahi Hai Ye Dil Hai Pidar Ka Dil
        Ayyub Bhi Agar Ho To Dam Bhar Nikal Pade
        Aansu Nahi To Mu Se Kaleja Nikal Pade

Peeri Me Aafat-E Gha-E Aulaad Al Amaan
Dil Aur Zaqm-E Qanjar-E Foulaad Al Amaan
Wo Izteraab-E Qaatir-E Naashaad Al Amaan
Wo Ashk-O Souz Aur Wo Faryaad Al Amaan
        Beta Na Ho Tho Zeest Ka Phir Kya Mazaa Raha
        Jab Ghar Ujad Gaya Tho Zamane Me Kya Raha

Bichdaa Wo Laal Jiska Gawara Na Tha Firaaq
Farmaathe The Ke Loot Liya Too Ne Aye Iraaq
Aye Mouth Jald Aake Bas Ab Zindagi Hai Shaaq
Qanjar Ki Aarzu Hai Shahadat Ka Ishtiyaaq
        Barbaad Istarha Koi Aabaad Ghar Na Ho
        Kya Zindagi Ka Lutf Jab Apne Pisar Na Ho

Sab Chaahen Jis Ki Zeest Wo Shere Ziyaan Mare
Afsos Neemjaan Jiye Jaane Jahaan Mare
Paida To Kis Jaga Huwe Aakar Kahaan Mare
Qudrat Quda Ki Peer Jiye Noujawaan Mare
        Is Umr Me Jahaan Se Guzarne Ke Din Na The
        Kahthe Hain Qud Shabaab Ke Marne Ke Din Na The

Pyaare Na The Hussain Alaihis Salaamke
Laal Haram Saraa Me Bahan Haath Thaam Ke
Tharra Rahe The Paaun Shah-E Tishna Kaam Ke
Sar Doush Par Tha Zainab-E Aalie Maqaam Ke
        Farmaathe The Bahan Ali Akbar Guzar Gaye
        Ham Aise Saqt Jaan The Ke Ab Tak Na Margaye

Pursaa Tumhen Shaheed Ka Dene Ko Aae Hain
Kis Kis Ke Daagh Aaj Jigar Par Uthaae Hain
Peete Hain Khaak Udaa-E Hain Aansu Bahaae Hain
Ye Ham Tumhaare Laal Ke Khoon Me Nahaae Hain
        Sar Tha Hussain-E Bekar-O Tanha Ki Godh Me
        Bete Ki Jaan Nikli Hai Baba Ki Godh Me

Ye Sun Ke Bibiyoun Ke Jigar Par Churi Chali
Zainab Zameen Pa Gir Ke Pukaari Ke Yaa Ali
Sirr-E Qafi Jahaan Ke Hain Sab Aap Par Jali
Jeetha Hai Sarkashoun Me Ye Kounain Ka Wali
        Bekas Ko Aasra Hai Pisar Ka Na Bhaai Ka
        Baba Yahi Tho Waqt Hai Mushkil Kushaai Ka

Farmaya Shah Ne Sabr Bahan Tumhen Chahiye Tumhen
Qaaleq Ki Yaad Sirro Alan Chahiyo Tumhen
Lab Par Razaa-E Haqka Suqan Chaahiye Tumhen
Jo Maa Ka Tha Chalan Wo Chalan Chaahiye Tumhen
        Ab Aaqri Bahan Ye Sawaari Hamaari Hai
        Baad In Buzurgoun Ke Baari Hamaari Hai

Farmaaya Shah Ne Haan Safar-E Naa Gazeer Hai
Aao Gale Lago Ke Ye Sohbat Aqeer Hai
Ab Aarzu-E Qurb-E Qudaa-E Qadeer Hai
Tanha Hain Ham Sipaah Muqaalif Kaseer Hai
        Tae Ho Ye Marhala Ke Iyaanath Qudaa Kare
        Jis Ka Na Koi Dost Ho Bibi Wo Kya Kare

Jaana Hae Door Shab Ko Jo Aana Na Ho Idhar
Zid Karke Royiyo Na Hamen Chahthi Ho Gar
Pahle Pahal Hai Aaj Shab-E Furqat-E- Pidar
So Rahiyo Maa Ki Chaathi Pa Ghurbath Se Rakh Ke Sar
        Raahath Ke Din Guzar Gaye Ye Fasl Aur Hai
        Ab Yun Basar Karo Ke Yatimoun Ka Dour Hai

Nanhe Se Haath Jodke Boli Wo Tashna Kaam
Bathlaaiye Mujhe Ke Yatimi Hai Kis Ka Naam
Aankhon Se Qoon Bahaake Ye Kahne Lage Imaam
Khul Jaayega Ye Dard-O- Alam Tum Pa Taaba Shaam
        Bibi Na Poocho Kuch Ye Musibath Azeem Hai
        Marjaye Jis Ka Baap Wo Bach-Chaa Yateem Hai