Jab Mahfil E Yazeed Me Daaqil Haram Huwe

Jab Mahfil E Yazeed Me Daaqil Haram Huwe Marsiya Writeup, Lyrics

Jab Mahfil E Yazeed Me Daaqil Haram Huwe
Ghash Aaya Har Qadam Pa Ye Zulm-O Sitam Huwe
Zainab Pukaari Haadese Aise Bhi Kam Huwe
Sar Kat Gaya Hussain Ka Sar Nange Ham Huwe
        Kyun Aasmaan Gir Nahi Padhtha Duhaai Hai
        Zehra Ki Beti Saamne Haakim Ke Aayi Hai

Moujood Anjuman Me Sagheer-O Kabeer Hain
Haakim Ke Gird Kursiyoun Par Sab Ameer Hain
Qaasaan-E Zuljalaal Zaleel-O Haqeer Hain
Mushkil Kusha Ke Qurd-O Kalaan Sab Aseer Hain
        Kehde Koi Ali Se Ye Daarus- Salaam Me
        Zainab Ka Daaqela Huwa Darbaar-E Aam Me

Aye Logo Karbala Se Mere Bhaai Ko Bulaao
Aye Logo Mere Gesuoun Waale Jawaan Ko Laao
Aye Logo Mera Haadesa Abbas Ko Sunaao
Aye Logo Yaadgaar-E Hassan Se Kaho Ke Aao
        Qaasim Se Haae Kuch Na Kamak Us Ghadi Huwi
        Ye Baal Khole Kiski Dulhan Hai Khadi Huwi

Hokar Aseer Duqtar-E Khaatam Jo Aayi Thi
Naana Ne Mere Qudh Isey Chaadar Udhaai Thi
Poshaak Amma Ne Nayi Isko Pinhaai Thi
Sab Ko Ye Paas Tha Key Saqi Ki Wo Jaayi Thi
        Ummath Ko Haae Paas Rasool-E Quda Nahi
        Zainab Barahna Sar Hai Aur Unko Haya Nahi

Baba Ko Meray Pooch Toh Kaisa Saqi Hai Woh
Mushkil Kusha Hai Kul Ka Khuda Ka Wali Hai Woh
Naana Ko Merey Dekho Kay Sab Ka Wali Hai Woh
Bhaai Kay Sadqey Faqr-E Nabi-O Ali Woh
        Meri Kahbar Aseeri Mey Leytha Nahin Koyi
        Kapdaa Bhi Muh Chupaaney Ko Deytha Nahin Koyi

Darbaan Mey Yazeed Kay Harsoo Tha Izdihaam
Tehraa Rahey They Baith Kay Maanind Khaas-O Aam
Baitta Tha Taqth-E Nehas Pah Woh Nuthfaa-E Haraam
Ek Haath Mey Toh Sheesha Tha Ek Haath Mey Tha Jaam
        Baalaa-E Taqth Shughal Tha Isko Sharaab Ka
        Aur Zeir-E Taqth Sar Tha Khalaf-E Buturaab Ka

Haazir Wahaan Tha Ek Farangi Bhi Us Ghadi
Rokar Kahaa Yazeed Sey Isney Kay Aye Shaqi
Teray Maamley Sey Laraztha Hai Mera Ji
Sar Hai Tabaq Mey Jiska Yeh Mujrim Hai Kya Koyi
        Haasha Jo Mey Kahoon Kay Yeh Ahley Qasoor Hai
        Zulfoun Mey Boo-Ey Mashk Hai Chehray Pah Noor Hai

Terey Maamley Sey Mera Housh Jaata Hai
Kya Harf-E Badh Tujhey Yeh Katta Sar Sunaatha Hai
Jo Choob Baidh Iskay Labboun Par Lagaatha Hai
Koyi Bhi Haath Murdey Kay Sar Par Utthaatha Hai
        Iska Gunaah Toh Mujhey Hairaan Kar Gayaa
        Baaqi Qasaas Rehgaya Aur Sar Utar Gaya