Jab Lut Ke Karbala Se Aseer E Sitam Chale

Jab Lut Ke Karbala Se Aseer E Sitam Chale Marsiya Writeup, Lyrics

Jab Lut Ke Karbala Se Aseer-E- Sitam Chale
Sajjad Sarbarahan Ba Dard-O- Alam Chale
Rote Saroun Ko Peet The Paaband-E- Gham Chale
Zainab Ne Laashe Shah Se Kaha Bhaai Ham Chale
        Marne Se Aap Ke Mai Ye Eizaa Uthaathi Hoon
        Darbaar Me Yazeed Ke Sar Nange Jaathi Hoon

Hae Hae Mere Musaafir-E Karbobala Hussain
Hae Hae Mere Ghareeb Mere Mahlaqaa Hussain
Hae Hae Tujhe Na Paani Ka Qatraa Mila Hussain
Hae Hae Tamaam Tan Teraa Tukde Huwaa Hussain
        Pyaase Gale Pa Qanjar-E- Bedaad Chal Gaya
        Hae Hae Tadap Tadapa Ke Tera Dam Nikal Gaya

Le Nainawaa Ali Ki Bizaa- Ath Tujhe Mili
Aye Karbala Quda Ki Amaanath Tujhe Mili
Aye Qhaak Meri Maa Ki Riyaazath Tujhe Mili
Le Aye Zameen Sham-E- Imaamath Tujhe Mili
        Daaman Tera Bhara Meri Khethi Ujad Gayi
        Sarhad Pa Tere Bhaai Se Zainab Bichad Gayi

Ye Kahke Sar Ko Peet Ke Roi Wo Dil Jali
Aakar Najaf Se Haai Mera Dekho Yaa Ali
Gardan Rasan Me Aapki Beti Ki Hae Bandhi
Kahthi Ye Maariye Se Wo Baa Chashm-E- Tar Chali
        Hae Hae Mai Karbalaa-E- Moalla Me Lutgayi
        Pardes Me Mai Aake Baradar Se Chutgayi

Kya Lutf Zindagi Ka Jo Nazsha Bigad Gaya
Kyun Kar Na Tadpoon Aah Badaa Paich Padh Gaya
Is Qaafela Ka Qaafile Waala Bichad Gaya
Hae Hae Hamaara Kaisa Bhara Ghar Ujad Gaya
        Pardesiyoun Ne Chaauni Jangal Me Chaai Hai
        Bhaai Ne Mere Ek Nayi Basthi Basaai Hai

Mehmaan Bulaake Ham Se Dagha Ki Laeenoun Ne
Kya Kya Na Ham Pa Jour-O- Jafaa Ki Laeenoun Ne
Kuch Bhi Zaraa Na Sharm-O- Hayaa Ki Laeenoun Ne
Gardan Qafaa Se Shah Ki Judaa Ki Laeenoun Ne
        Qaime Jalaa Ke Ahl-E- Sitam Shaad Hogaye
        Ham Karbala Me Aan Ke Barbaad Hogaye

Bhaai Pa Mere Saamne Naize Chalaa Kiye
Taigh-O- Tabar Badan Pa Barabar Lagaa Kiye
Shabbir Shukr Shukr Ye Mu Se Kahaa Kiye
Utraa Na Shimr Seene Se Be Sar Judaa Kiye
        Roti Rahi Mai Wo Sar-E- Shabbir Legayaa
        Bhaai Ki Mere Khoon Bhari Tasveer Legayaa

Faryaad Ham Ghariboun Ki Suntha Nahi Koi
Kis Se Kahoon Jo Ham Pa Musibath Guzar Gayi
Chaadar Bhi Mu Chupaane Ko Sar Par Nahi Rahi
Sar Khole Shahr-E- Shaam Me Aai Mai Dil Hali
        Aada Hamen Dikhaake Sar-E- Shah Rulaathe Hain
        Ab Saamne Shaqi Ke Mujhe Leke Jaathe Hain