Jab Khatema Ba Khair Huwa Fauj E Shaam Ka Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Khatema Ba Khair Huwa Fauj E Shaam Ka
Kousar Pa Qaafila Gaya Pyaasi Sipaah Ka
Ghar Lutgaya Janaab-E Risalath Panaah Ka
Khaak Udh Rahi Thi, Haai Ye Tha Baargaah Ka
Bhaai The, Na Rafeeq, Na Wo Noor-E Ain The
Do Behney Rone Waali Thi Aur Ek Hussain The
Farmaathe The Ke Waah Ye Taqdeer Hai Ajal
Akbar Ke Baad Kounsa Tha Zeest Ka Mahal
Ab Mujhko Ek Bars Ke Barabar Hai Aik Pal
Mouth Aaye Ab Ye Hai Shajar-E Zindagi Ka Phal
Ek Jaa Churi Gale Pa Jo Chalthi Tho Qhoob Tha
Ye Jaan Unke Saath Nikalthi Tho Khoob Tha
Ham Sab Ke Baad Qalq Se Jeene Ko Rah Gaye
Sar Peetne Ko Ashk Bahaane Ko Rah Gaye
Us Noujawaan Ka Daagh Uthaane Ko Rah Gaye
Peeri Me Aah Thok-Rey Khaane Ko Rah Gaye
Beta Kahan Qabar Jo Dam-E Inteqaal Le
Itna Nahi Koi Ke Giroon, Tho Sambhaal Le
Naagaah Soo-E Laash-E Pisar Jaa Padi Nazar
Chilaa-E Dil Ko Thaam Ke Sultaan-E Bahro Bar
Sothe Ho Kya Dhare Huwe Ruqsaar Qhaak Par
Akbar Utho Ke Ghoude Se Girtha Hai Ab Pidar
Bhoole Pidar Ko Neend Me Qurbaan Aap Ke
Aao Namaaz-E Asr Padho Saath Baap Ke
Abbas-E Namdaar Taraai Se Uth Ke Aao
Phat- Tha Hai Qhalb, Jal Rahe Hai Sab Jigar Ke Ghaao
Chidko Meri Ziraa Pa Jo Paani Kahin Se Paao
Chalthe Huwe Adam Ke Musafir Se Milthe Jaao
Ghaflath Ki Tum Ko Need Hai Shabbir Kya Kare
Meri Tarha Kisi Ko Na Bekas Quda Kare
Chillaya Fouj Ke Pisar-E Saad-E Naabakaar
Lo Ghair Lo Hussain Ko Sab Milke Aik Baar
Palte Pare Sawaaroun Ke Lekar Risaaladaar
Do Ghowl Baandhe Aaye Kamaandar Das Hazaar
Teer Afghanoun Me, Teghown Me, Bhaloun Me Ghir Gaye
Bekas Hussain Barchiyoun Waloun Me Ghir Gaye
Syed Ke Martabe Ko Na Jaana Hazaar Haif
Teeroun Se Sadr-E Paak Ko Chaana Hazaar Haif
Shaane The Naawakoun Ka Nishana Hazaar Haif
Mazloom Ka Wo Barchiyaan Khana Hazaar Haif
Toote The Sab Rasool Ke Pyaare Hussain Par
Kya Waqt Padh Gaya Tha Tumhaare Hussain Par
Girthe Hain Aap Aur Sambhaale Koi Nahi
Seene Se Koun Teer Nikaale Koi Nahi
Sab Mar Chuke Hain Chaahne Waale Koi Nahi
Bejaa Pade Hain Godh Ke Paale Koi Nahi
Bedas Hain Aap Zour Sipaah-E Adoo Ka Hai
Mu Jis Ka Dekhthe Hain Wo Pyaasa Lahoo Ka Hai
Fizza Ne Jaake Qaime Me Bewoun Ko Di Qabar
Hae Hae Mere Quzaade Ka Kat-Tha Hai Tan Se Sar
Bistar Se Uth Ke Girpade Sajjad-E- Nouhagar
Qaime Se Nikli Bibiyaan Bachoun Ko Cho-Ddh Kar
Hilta Tha Arsh Hazrath-E Zainab Ke Bain Se
Gir Gir Ke Doudhthi Thi Milne Hussain Se
Chillathi Thi Are Mera Bhaai Hai Kistaraf
Looti Huwi Ali Ki Kamaai Hai Kis Taraf
Darya Kidhar Hai Khoon Ka Taraai Hai Kistaraf
Soney Ki Jaah Hussain Ne Paai Hai Kistaraf
Rastha De Aye Zameen Ke Falak Ki Sathaai Hoon
Mai Apne Pyaare Bhaai Se Milne Ko Aai Hoon
Mai Syeda Hoon Raham Karo Laash Ko Bataao
Aye Ahl-E Qirya Bint-E Ali Ki Madad Ko Aao
Duna Me Khush Tum Raho Uqba Me Chain Paao
Syed Kidhar Hai Khoon Me Ghaltaan Bataae Jaao
Yaan Lut Gaye Falak Ne Ye Dukh Ham Pa Daale Hain
Aye Bhaaiyo Madine Ke Ham Rahne Waale Hain
Shah Ke Karaahne Ki Jo Aane Lagi Sadaa
Dowdhi Udhar Nabi Ki Nawaasi Barahna Paa
Dekha Bahan Ne Kat- The Huwe Bhaai Ka Gala
Aankhoun Pa Haath Rakh Ke Giri Bint-E Murtuza
Gham Se Kaleja Phat Gaya Zehra Ki Jaai Ka
Utthi Tho Dekha Neza Pesar Apne Bhaai Ka