Jab Katgaye Haftaad Do Tan Rah E Khuda Me Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Katgaye Haftaad Do Tan Rah E Khuda Me
Tanha Rahe Shaah-E Shohdaan Dasht-E Balaa Me
Taaqat Na Rahi Jisme Imaam-E Dosara Me
Koi Na Raha Sheh Kay Aziz-O Rufaqaa Me
Sarkaar Ki Qounaq Thi Na Darbaar Tha Baaqi
Lutne Ko Haram Marne Ko Sardaar Tha Baaqi
Farmaathe The Haathoun Pa Liye Laasha-E Asghar
Maqbool Ho Aye Baar-E Quda Hadya-E Ehkhar
Kis Mu Se Tera Shukr Karoon Aye Mere Daawar
Toone Mere Asghar Ko Diya Rutba-E Akbar
Jaan Apni Mere Shiyoun Ke Bach-Choun Pa Fidaa Ki
Shashmaahe Pe Bilkul Hai Ye Taaeed Quda Ki
Gham Ka Mujhe Gham Hai, Na Qushi Mujh Ko Qushi Ki
Too Sar Pa Hai Parwa Nahi Bande Ko Kisi Ki
Haan Aik Ye Haajath Hai Hussain Ibn-E Ali Ki
Sar Nange Na Dekhoon Mai Nawaasi Ko Nabi Ki
Be Parda Wo Jab Ho Ke Mai Paiwand-E Zameen Hoon
Aur Yun Teri Marzi Hai To Baahar Bhi Nahi Hoon
Lashkar Diya Kunba Diya Ghar Bhi Diya Toone
Sardaar Bhitoone Kiya, Sar Bhi Diya Toone
Hamshakl-E Payambar Sa Pisar Bhi Diya Toone
Ye Housla, Ye Dil, Ye Jigar Bhi Diya Toone
Kya Faqr Jo Pyaaroun Ko Raah-E Haq Me Diya Hai
Teri Hi Inaayath Ko Fidaa Tujh Pa Kiya Hai
Mujh Me Thi Ye Qudrath Ke Bhare Ghar Ko Lutaatha
Waan Qatl Ho Akbar Idhar Asghar Ko Mai Laatha
Tadpe Ye Mere Haathoun Pa Mai Lab Na Hilaatha
Baazun Hon Juda Haath Na Ummath Pa Uthaatha
Yun Qush Koi Hangaam-E Tabaahi Nahi Hota
Bandhey Se Ye Be Fazl-E Ilaahi Nahi Hota
Ummath Ne Bhulaaya Hai Mujhe Too Na Bhulaana
Too Paak Hai Dunya Se Mujhe Paak Uthaana
Sab Choddh Ke Tanha Huwe Jannat Ko Rawaana
Aye Baar-E Quda Qabr Ki Wahshath Se Bachaana
Jab Gour-E Gharibaan Ka Andhera Nazar Aaye
Har Simth Ko Jalwa Mujhe Tera Nazar Aaye
Kaafi Dar-E Gharibaan Ka Andhera Nazar Aaye
Tujh Se Sarokaar Mujhe Sar Nahi Darkaar
Takya Hai Tere Fazl Pa Bistar Nahi Darkaar
Imdaad Teri Chaahiye Lashkar Nahi Darkaar
Aasaan Mere Shiyoun Pa Saqthiyy-E Ajal Ho
Jo Hona Ho Tujhe Parda Mohibbon Ke Badal Ho
Naaghaah Nidaa Pardah-E Quddrath(Gahibath) Se Ye Aai
Shabaash Ke Tasleem-O Rizaa Qoob Dikhaai
Bandhey Tujhe Ham Ne Kiya Muqtaar-E Qudaai
Qaasaan-E Quda Karthe Hain Yun Waada Wafaai
Pyaare Bhi Musaaheb Bhi Fidaa Kardiye Toone
Iqraar Tha Ek Sar Ka Bahatthar Diye Toone
Bas Bas Ke Quda Ab Tera Sharmaatha Hai Shabbir
Kyun Mere Huzoor Aane Mey(Se) Ghabraatha Hai Shabbir
Taaleb Hoon Mai Jis Hadye Ka Too Laatha Hai Shabbir
Bandoun Ka Hamey Izr Pasand Aatha Hai Shabbir
Too Uzr Ka Tohfa Meri Dargaah Ko Samjha
Mai Rutba Tera Samjha Too Allah Ko Samjha
Hazrath Ne Suni Hukm-E Ilaahi Jo Ye Saare
Be Saaqtha Mudkar Su-Ey Kuffar Pukaare
Qaatil Hai Kahaan Aaye Merey Sar Ko Utaare
Dewdhi Se Bahen Boli Mai Qurbaan Tumhaare
Saidaaniyaan Dukh Me Kise Chillaaengi Bhai
Bin Maa Ki Ye Behney Teri Lut Jaaengi Bhaai
Waan Zalimoun Ne Morche Ke Dafa Badhaae
Baadal Ki Tarha Fatema Ke Chand Pa Chaae
Yun Teer-E Jafaa Maare Ke Seene Me Dar Aae
Neze Jo Lagaae Tho Kaleje Me Lagaae
Zaqmoun Se Tho Qhoon-E Badan-E Shaah Tha Jaari
Aur Muh Se Tho Tawakkalto Alal-Lah Tha Jaari
Barchi Kabhi Pahlu Pa Chali Aur Kabhi Shamsheer
Pathar Kabhi Maathe Pa Laga Aur Kabhi Teer
Sambhlaa Nagaya Hogaye Ghash Hazrathe Shabbir
Aur Seena-E Zaqmi Pa Chadha Zaalim-E Bey-Peer
Sar Peet Ke Mudalee Farishtoun Ne Giraadi
Zaalim Ne Churi Halq Pa Syed Ke Phiraadi