Jab Gayi Itrat E Mahboob E Khuda Zindaan Me

Jab Gayi Itrat E Mahboob E Khuda Zindaan Me Marsiya Writeup, Lyrics

Jab Gayi Itrat E Mahboob E Khuda Zindaan Me
Be Gunaahoun Ne Sahi Saqt Jafaa Zindaan Me
Nanhe Bach-Choun Ko Na Tha Chain Zaraa Zindaan Me
Tha Ye Aalam Ke Na Aathi Thi Hawa Zindaan Me
        Chaadarain Thi Na Saroun Par Na Jaga Sone Ki
        Qaid Me Qaid Thi Shahzaadiyoun Ke Rone Ki

Maa Se Kahti The Sakina Ke Mue Jaate Hain
Teeragi Chaar Taraf Dekh Ke Ghabraathe Hain
Jee Bahaltha Nahi, Sou Shaki Bahlaathe Hain
Neend Aathi Nahi Baba Hamen Yaad Aathe Hain
        Kaan Me Dard Hai Baithe Hain Zameen Par Amma
        Kis Se Khelain Ke Nahi Ali Asghar Amma

Ab Tho Hai Qasd Ke Baba Ko Pukaaroun Amma
Is Ghadi Qalq Ke Aagha Ko Pukaaroon Amma
Hasan-O- Ahmed-O- Zehra Ko Pukaaroon Amma
Aap Kahiye To Main Dada Ko Pukaaroon Amma
        Hain Bade Saahe-E- Aijaz Chale Aaenga
        Qaid Se Aal-E- Payambar Ko Chudha Laaenge

Roean Saidaaniyaan Sajjad-E- Hazeen Ghabraaye
Bediyaan Thaame Huwe Ashk Bahaathe Aaye
Jald Tashreef Sakina Ke Sarhaane Laaye
Uska Mu Dekh Ke Sab Uzu-E- Badan Tharraye
        Sadmae Furqate Mahboose Rasan Se Roye
        Naza Me Qoob Gale Milke Bahan Se Roye

Usne Aahista Kahaa Ham Hain Musaafir Bhaai
Sadma-E- Qaid Ne Maara Hamain Aaqair Bhaai
Baqsh Do Jurm-O- Qataa Saaber-O- Shaaker Bhaai
Mouth Sar Par Hai Quda Haafiz-O- Nasir Bhaai
        Saamae Haakim-E- Azlam Na Bulaae Tumko
        Ham Chale Qaid Se Allah Chudhaae Tumko

Haasil Aye Bhaai Badi Aaj Tamanna Hogii
Quld Me Hazrathe Shabbir Ki Shaida Hogi
Jis Jaga Baap Hai Beti Ki Wohi Jaa Hogi
Par Ye Gham Hai Ke Tumhen Dafan Me Eizaa Hogi
        Naa Yahaan Dafn-O- Kafan Ka Koi Samaan Karna
        Isi Kurthe Se Mujhe Qaak Me Pinhaan Karna

Phupi Amma Ko Bahot Ranj Na Khaane Dena
Ashk Har Waqt Na Amma Ko Bahaane Dena
Shimr Ko Meri Lahad Par Bhi Na Aane Dena
Laae Wo Dafn Kaa Saaman To Na Laane Dena
        Zulm Se Dilbar-E- Zehra Ka Gala Kaata Hai
        Kuch Ajab Zulm Se Baba Ka Gala Kaata Hai

Chup Howin Haae Pidar Kahke Sakina Zeejaah
Murdani Chaa Gayi Us Chaand Se Mu Par Naagaah
Shour Tha Gulshan-E- Faani Se Chali Duqtar-E- Shaah
Hichki Beti Ne Jo Li Maa Ne Kaha Bismillah
        Roye Sar Peet Ke Naachaar-O- Parishaan Zainab
        Khaak Pe Baith Ke Padhne Lagi Quraan Zainab