Jab Baad E Dafn E Shaah Watan Ko Haram Chale Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Baad-E- Dafn-E- Shaah Watan Ko Haram Chale
Sajjad Saath Bewoun Ke Baa Chashme Nam Chale
Hamraah Leke Qaafela-E- Ranj-O- Gham Chale
Zainab Pukaari Peet Ke Sar Bhaai Ham Chale
Ulfath Jo Thi Kamaale Shah-E- Mashraqain Se
Roi Lipat Lipat Ke Mazaar-E- Hussain Se
Phir Sar Ko Rakh Ke Qabr Pa Wo Gham Ki Mubtelaa
Boli Ke Assalaam Alaikaa Aye Shah-E- Hudaa
Bhayya Utho Sawaar Karo Tum Pa Amai Fidaa
Farmaaiye Watan Me Mai Jaakar Karoongi Kyaa
Rah Rah Ke Dhyaan Aatha Hai Mujh Dil Malool Ko
Kya Jaake Mu Dikhaaungi Qabre Rasool Ko
Bhayya Mai Bin Tumhaare Watan Ko Na Jaaungi
Bhayya Yahin Main Qabr Pa Aansu Bhahaaungi
Naaloun Se Aasmaan-O- Zameen Ko Hilaaungi
Nazr-E- Hussain Pyaasoun Ko Paani Pilaaungi
Jo Poochega Too Roti Hai Kyun Shour-O- Shain Se
Kahdoongi Chut Gayi Hoon Mai Bhaai Hussain Se
Sajjad Roke Karthe The Zainab Se Ye Suqan
Chaliye Phupi Qudaa Kiliye Ab Soo-E- Watan
Roro Ke Jaan Do Na Yahaan Bahr-E- Zulmenan
Hona Hai Qaid Tum Ko Dobaara Basad Mehan
Rouze Pa Nana Jaan Ke Ab Jaake Roiye
Durroun Ke Zaqm Pusht Ke Dikhlaake Roiye
Ye Sunke Utthi Qabr Se Aaqir Wo Sugwaar
Ek Hodije Siyaah Me Aakar Huwe Sawaar
Pahonche Watan Me Jis Ghadi Sajjad-E- Dilfigaar
Pahle Gayi Baqee Me Zehra Ki Gul-Ezaar
Boli Lipat Ke Qabr Se Amma Duhaai Hai
Bhaai Ko Khoke Zainab-E- Naashaad Aai Hai
Amma Sunaaun Tum Ko Mai Jo Kuch Jafaa Huwi
Pardes Me Hussain Se Zainab Juda Huwi
Chouthe Baras Me Baap Pa Beti Fidaa Huwi
Amman Hussain Margaye Mai Beridaa Huwi
Dil Zindagi Se Zainab-E- Muztar Ka Hat Gaya
Mai Dekhthi Rahi Sar-E- Shabbir Kat Gaya
Amma Tumhaare Laal Ko Kya Kya Na Gham Huwe
Laashe Ke Haath Angothi Ki Qaatir Qalam Huwe
Laashe Pa Mere Bhaai Ke Taaza Sitam Huwe
Paamaal Laash Hogayi Barbaad Ham Huwe
Gouhar Sakina Ke Bhi Utaare Hai Shimr Ne
Durre Hamaari Pusht Pa Maare Hain Shimr Ne
Amman Tere Mareez Ko Qaidi Banayaa Tha
Touq-E- Giraan Buqaar Me Usko Pinhaaya Tha
Kaantoun Pa Nange Paaun Adoo Ne Phiraaya Tha
Amma Siwaa-E- Shukr Nahi Lab Hilaaya Tha
Bulwaaya Tha Yazeed Ne Darbaar-E- Aam Me
Amma Sakina Margayi Zindaan-E- Shaam Me
Aye Amma Aik Rassi Me Bandhwaaya Tha Hamen
Oontoun Ki Nangi Pusht Pa Bithlaaya Tha Hamen
Sar Tasht Me Hussain Ka Dikhlaaya Tha Hamen
Aabed Ko Durre Maarke Dilwaaya Tha Hamen
Hairath Hai Kyun Na Zainab-E- Naashaad Mar Gayi
Amma Mai Sar Khule Huwe Sheerin Ke Ghar Gayi
Amma Phiraake Koofe Me Phir Ham Ko Kuba Ko
Sar Nange Soo-E- Shaam Hamain Le Chale Adoo
Pahonche Jo Shehr-E- Shaam Me Ham Sab Kushaada Mu
Baazaariyoun Me Shour Ye Hotaa Tha Chaar Su
Beti Ali Ki Zainab-E- Dilgeer Aai Hai
Dekho Chalo Hussain Ki Hamsheer Aai Hai