Ibn E Ali Jo Baagh E Risaalat Lutaa Chuka

Ibn E Ali Jo Baagh E Risaalat Lutaa Chuka Marsiya Writeup, Lyrics

 

Ibn-E- Ali Jo Baagh-E- Rosaalath Lutaa Chuka
Bhai Ki Aur Baap Ki Doulat Lutaa Chuka
Poonji Haram Ki Apni Bizaa- At Lutaa Chuka
Sab Kuch Baraa-E- Baqshish-E- Ummat Lutaa Chuka
        Baaqi Koi Shahidoun Ke Daftar Me Ab Nahi
        Juz Aabid-E- Mareez Koi Ghar Me Ab Nahi

Tanha Khade The Fouj Me Shaah-E- Falak Wiqaar
Jo Aai Chaar Simth Se Phir Fouj-E- Bad Sheyar
Dekha Ke Hai Niyaam Me Hyder Ki Zulfeqaar
Jurrat Huwi Har Aik Ko Badh Kar Lagaa-E- Waar
        Yaad-E- Quda Me Shaah Ne Sab Kuch Bhulaa Diya
        Jab Zaqm Khaaya Shukr Kiya Muskuraa Diya

Tukde Huwa Jabeen Se Kamar Tak Tan-E- Imaam
Ghabragaya Faras Pa Tho Ye Bole Shah-E- Anaam
Aye Zuljanaah Yahan Se Hataana Na Aik Gaam
Ab Jung Bhi Tamaam Hai Aur Ham Bhi Hain Tamaam
        Ghere Huwe Hai Fouj-E- Ajal Syeda Raah Hai
        Jaaega Ab Kahan Ke Yahi Qatigaah Hai

Muztar Na Holainge To Lage Nawake Sitam
Kuch Gham Nahi Jo Padhthi Hain Talwaren Dam Badam
Maare Na Dam Jo Tan Se Ho Sow Baar Sar Qalam
Raahath Ke Dukh Samajhthe Hai Raah-E-Quda Me Ham
        Paida Huwe Hain Dard-O- Musibath Ke Waasthe
        Ye Sab Qubool Hai Haen Ummath Ke Waasthe

Mujh Ko Na Qatl Hone Ka Gham Hai Na Kuch Malaal
Ghar Ki Hai Ab Na Fikr An Bachown Ka Hai Qiuaal
Jaana Qareeb Hai Soo-E- Darbaar-E- Zuljalaal
Ye Fikr Hai Ke Dekhiye Hota Hai Kya Ma Aai
        Mursil Bhi Thartharaathe Hain Is Baargaah Me
        Kya Nazr Leke Jaaun Janaab-E- Ilaah Me

Ye Kahthe The Ke Sar Pa Lagi Tegh Aabdaar
Neza Sinaan Ka Hogaya Seene Ke Aar Paar
Girne Lage Jo Zeen Se Imam-E- Falak Wiqaar
Baithaa Zameen Pa Taik Ke Ghutnoun Ko Raah Waar
        Ghash Me Jigar Pakad Ke Ba Dard-O- Alam Gire
        Sambhlaa Gaya Na Khaak Pa Shaah-E- Umam Gire

Di Badh Ke Peek Ne Pisar-E- Saad Ko Qabar
Ghowde Se Girpada Asadullah Ka Pisar
Bash Shash Hoke Shimr Se Bola Wo Qu Siyar
Ja Jald Jaa Nabi Ke Nawaase Ko Qatl Kar
        Ghul Ho Dilaawari Ka Teri Shehr Shehr Me
        Qanjar Wo Khainch Le Jo Bujhaaya Ho Zeher Me

Qanjar Pakad Ke Shimr Ghala Aastin Chadhaae
Bolaa Ye Ibn-E- Saad Ke Qooli Bhi Saath Jaae
Dono Laeen Jo Laasha-E- Sarwar Ke Paas Aae
Pahlu Se Fatema Ne Sadaa Di Ke Haae Haae
        Qanjar Liye Huwe Sitam Eijaad Aaye Hain
        Chownko Hussain Zibha Ko Jallad Aaye Hain

Rooh-E- Janaab-E- Fatema Zehra Ne Di Sadaa
Sadqe Mai Is Laboun Ke Is Aawaaz Par Fidaa
Is Ka Nahi Qayaal Ke Kat-Ta Hai Ab Gala
Ye Sabr Marhaba Mere Mazloom Marhaba
        Tukde Hai Jism Pyaas Se Honton Pe Jaan Hai
        Aye Laal Marte Waqt Bhi Ummat Ka Dhyaan Hai

Kyun Kar Kahun Tatawule Shimr-E- Sitam Sheyaar
Pyase Gale Pa Shah Ki Rakhi Tegh Aabdaar
Ghar Se Idhar Nikal Padi Zainab Jigar Figaar
Chillaai Mu Najaf Ki Taraf Karke Aik Baar
        Halq-E- Hussain Kat-Tha Hai Qanjar Ki Dhaar Se
        Ya Murtuza Ali Nikal Aao Mazaar Se

Ya Sher-E- Kirdagaar Ulatdo Jahaan Ko
Faryaad Se Hilaado Zameen Aasmaan Ko
Karthe Hain Zibha Ahl-E Sitam Mehmaan Ko
Ya Mustafa Bachaalo Mere Bhaai Jaan Ko
        Shamsheer Chalne Paae Na Pyaase Ke Halq Par
        Rakh Dijeye Halq Apna Nawase Ke Halq Par

Ye Kahke Soo-E- Maqtal Shah-E-Umam Chali
Mu Apna Peet Thi Huwi Ba Dard -O- Alam Chali
Uth Kar Kabhi Giri Tho Kabhi Do Qadam Chali
Aur Waan Gulu-E- Shaah Pa Tegh-E- Do Dam Chali
        Pahonchi Tho Qatema Tha Shah-E- Mashraqain Ka
        Shimr-E- Laeen Ke Haath Me Tha Sar Hussain Ka