Hyder Ba Khuda Ukhda Kusha E Dosara Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Hyder Ba Khuda Ukhda Kusha E Dosara Hai
Kamzoron Ki Taaqath Hai Zaeefou Ka Asa Hai
Mardoun Ka Masiya Hai Marizou Ki Dawa Hai
Wallah Hadisou Ki Kitaabou Me Likha Hai
Aaghaaz Me Yejaaze Imaamath Ki Sanah Hai
Anjaam Me Ab Khaat-Maye Sher-E Khuda Hai
Warid Huwi Nagaah Shab-E Zarbath-E Hyder
Bas Kholte Hi Roza Kamar Baandhi Ajal Par
Us Shab They Kabhi Sahen Me Gahey Hujre Ke Andar
Ham Saaya Ko Har Baar Nidaa Dete The Rokar
Hyder Ki Sawari Suye Firdous Chali Hai
Jaago Ye Shab-E Qadr, Shab-E Qatl-E Ali Hai
Wallah My Doh Raathou Ka Mehmaan Hu’n Tumhaara
Tar Dekhoge Kal Khoon Se Resh-E Rukh-E Zebaa’n
Barsega Lahoo Teen Din Aflaak Se Harjaa’n
Aye Sahebo Imsaal Ali Hajj Mey Na Hogaa
Tum Eid Ke Din Rovoge Shabbar Se Lipat Kar
Royega Hassan Baap Ke Mimbar Se Lipat Kar
Kulsum Ne Rokar Kaha Wa Hasrato Darda
Kya Betiya Ab Sabr Karey Aap Ko Baba
Kis Tarha Yakeen Tum Ko Huwa Apni Ajal Ka
Farmaya Jo Irshaad-E Payambar Hai Woh Hoga
Do Roz Hai Dunya Me Bas Ab Kooch Hamaara
Ek-Kisvi Ko Uthega Taabooth Hamaara
Har Ghar Me Sada Hovegi Kal Haye Ali Ki
Kal Roti Huwi Aayegi Yaa Rooh Nabi Ki
Haalath Mere Gham Me Na Bajaa Hogi Kisi Ki
Kal Aayegi Yaha Laash Payambar Ke Wasi Ki
Kal Shia Bhi Sar Kholenge Aur Ahleharam Bhi
Zehra Ki Sada Aaye Kafan Phadengey Ham Bhi
Zainab Se Rivayath Hai Ke Thi Char-Ghadi Raat
Mushtaaq-E-Qazaa Ghar Se Chale Syed-E Qush Zaath
Tasbeeh Bakaff Jama Huwe Dewdi Pe Saadaath
Waa’n Sheh Ne Aza Dee, Yaha Ki Sab Ne Munajaath
Guldasta Ho Hyder Se Sar Afraaz Hamesha
Ya Rab Rahe Dunya Me Ye Aawaz Hamesha
Phir Baad-E Azaan Kaan Me Aawaaz Ye Aayi
Ay Shiyo Ali Qatl Huwe Haq Ki Duhaai
Is Nouhe Se Aagha Huvi Saari Khudaari
Chehre Pe Nabi Zaadiyou Ne Khaak Udaayi
Jannath Se Nabi Phaad Ke Daaman-E Kafan Aaye
Sar Peet-They Masjid Me Hussain Aur Hassan Aaye
Baba Ka Lahu Pehle Tou Chehrou Pe Lagaya
Phir Donou Ne Ma Bainey Ghaleem Unko Uthaya
Lekar Jo Chale Rona Ali Ko Bahuth Aaya
Shabbir Ne Poocha Tou Ye Hyder Ne Sunaya
Ronaa Ye Hai Jab Halq Tu Katwaayega Pyaare
Koi Tera Laasha Na Utha-Laayega Pyaare
Sab Rote Huwe Dowdhe Ke Laasha Waheen Aaya
Hujre Me Yadullah Ko Masnadh Pe Litaya
Abbas Ko Abbas Ki Maadar Ne Bulaaya
Sadqhe Ki Tara Gird-E Ali Us Ko Phiraya
Aur Boli Ke Yarab Mere Waali Ko Shifa De
Sadqha Ye Pisar Deti Hun Waris Ko Bachaley
Tharrake Ali Ne Kaha Gusse Se Ye Us Aah
Ha Thaam Zabaa Apni Kidhar Ko Hai Tera Dhyaan
Abbas Pe Tou Sadqe Mai Abbas Pe Khurbaan
Abbas Ki Tu Koun Hai Ye Fatema Ki Jaan
Bibi Kahin Zehra Ka Ataab Aaye Na Tujh Par
Shabbir Ke Fidya Ko Fida Karthi Hai Mujh Par
Phir Shaam Ko Iftaar Jo Karne Lage Moula
Ek Sagar-E Sheer Aap Ne Qaatil Ko Bhi Bheja
Zarbe Dame Shamsheer Ka Badla Tha Ye Goya
Us Ne Na Piya Pheer Diya Bole Ye Aaqa
Kehdo Are Qush Ho Tera Zaqmi Na Jiyega
Pooch Aa-Oon Mere Haath Se Sharbath Tou Piyega
Phir Bole Ke Parda Karo Qaatil Ko Bulaao
Haa Khol Ke Mashq-Ke Mere Aage Use Laaoo
Sharbath Ke Bhi Aur Doodh Ke Kooze Bhi Banaoo
Jo Meve Ke Toufe Se Ho, Toufa Wo Magaavo
Isdam Koi Samjhe Na Hakir Us Ko Nazar Me
Qaatil Ki Ziyafath Hai Yadullah Ke Ghar Me