Hote Hi Reha Farsh-E-Aza Mera Bichana, Behna Meri Behna

Hote Hi Reha Farsh-E-Aza Mera Bichana, Behna Meri Behna Salaam Writeup, Lyrics

hote hi reha farsh-e-aza mera bichana, meri behna meri behna
bhai ka jo paigham hai duniya ko sunana,  meri behna meri behna

mai hoo meri tanhai hai aur dasht-e-bala hai
maine abhi asghar ka lahoo moo pe mala hai
marne ke liye jaata hoo aur khushk gala hai
zainab, miljaye jo pani to meri nazr dilaana
meri behna meri behna

sab mere asase may abhi aag lagegi
baysheer ke jhule may abhi aag lagegi
sajjad ke khaime may abhi aag lagegi
zainab, bemaar ko jalte hue sholo se bachana
meri behna meri behna

ab chain sakina bhi meri pa na sakegi
ghairat se koi zakhm bhi dikhlana sakegi
karbal ki zameen par usay neendh aa na sakegi
zainab, tum us ko kahani mere marne ki sunana
meri behna meri behna

jab shaam ke bazaar may jaaogi khule sar
barsayega aansu sar-e-abbas-e-dilaawar
koi bhi nahi hoga jo dede tumhein chadar
zainab, is khaakh bhare chehre ko balo se chipana
meri behna meri behna

aayegi bahut narghaye kuffar may ghairat
khamoshi se sehlena magar saari musibat
gar royi to aajayegi duniya may qayamat
zainab, dil thaam ke apna bhare darbaar may jaana
meri behna meri behna

yaad aayega zindaan may sakina ko madina
hojayega dushwaar usay qaid may jeena
jab aane lage maut ka maathe pe pasina
zainab, tab meri tarha tum use seene se lagana
meri behna meri behna

yasrab ke taraf jaana agar qaid se chutkar
nana ko dikhana hai mere khatl ka manzar
rakhdena mera khoon bhara ammama lahad par
zainab, aur pooch na kya wada wafa hogaya nana
meri behna meri behna

ek ujday hue ghar ke azadaar hai dono
sajjad se bemaar ke bemaar hai dono
bas teri duaaon ke talabgaar hai dono
zainab, mushkil se sada nayyar-o-aamir ko bachana