Hai Qaid Qaane Shaam Me Ek Shab Ki Bhi Dulhan Marsiya Writeup, Lyrics
Hai Qaid Qaane Shaam Me Ek Shab Ki Bhi Dulhan
Bewa Aziz Murda Gham Deeda Bewatan
Pahne Huwe Hai Malla Sa Bewa Ka Pairahan
Kangne Ke Badle Haathoun Me Baandhi Ho Rasan
Nazroun Me Sama Dulhe Ke Seemay Badan Ka Hai
Din Raat Pa Naam Bas Ibn-E- Hassan Ka Hai
Royi Agar Tadap Ke To Khaai Hai Salliyaan
Kuch Bolthi To Sunthi Thi Zaalim Ki Ghurkiyaan
Rothi Thi Mu Ko Dhaamp Ke Leleke Hichkiyaan
Sahmi Hui Dari Huwi Rahthi Thi Neemjaan
Is Umr Me Kisi Ko Na Bewa Quda Kare
Aisi Yateem Bacchi Na Roe To Kya Kare
Kahthi Thi Haae Chodh Gaye Kyun Mujhe Tanha
Gar Mujh Se The Naaraaz To Kyun Byaah Kiya Tha
Kya Mujh Se Qataa Hogayi Kyun Hogaye Qafaa
Aakar Kabhi Na Haal Mera Waali Ne Poocha
Baqshe Meri Taqsiri Ab Aajaaiyo Qaasim
Haan Paas Apne Mujh Ko Bhi Bulwaaiyo Qaasim
Aakar Kabhi Na Poocha Ke Kya Guzri Hai Mujhpar
Din Raat Kaisi Bekasi Me Hoti Hai Basar
Ekbaar Haal Dekha Na Zindaan Me Aankar
Apnoun Se Koi Rahta Hae Istarha Beqabar
Tha Farz Poochna Tumhe Zinda Hai Margayi
Dhoonda Na Kabhi Tumne Ke Kubra Kidhar Gayi
Saahab Quda Ke Waaste Is Qaid Se Chudhaao
Aye Mere Ibn-E- Amm Mujhe Saath Apne Leke Jaao
Kab Tak Yun Hi Guzaarungi Zindaan Me Bataao
Qaid-E- Mehen Me Kab Se Hoon Aakar Mujhe Chudhaao
Bachpan Me Maang Bhi Bhari Bewa Bhi Kargaye
Ek Baat Bhi Na Hans Ke Kiye Aur Margaye
Baba Ka Saaya Uth Gaya Bhaai Nahi Raha
Shane Katake Mera Chacha Bhi Guzar Gaya
Beemar Aik Bhaai Hai Qaidi Bana Huwa
Waali Quda Ka Wasta Yaan Chodho Na Tanha
Meri Yatiimi Par To Taras Khaaiye Saahab
Paas Apne Apnie Kubra Ko Bulwaaiye Saahab
Lillah Aake Dekhte Jaao Meri Haalath
Jangal Ki Gard-O- Qaak Say Ainti Huwi Soorat
Raahoun Ki Wo Musibaten Wo Garmi Ki Shiddath
Haathoun Ko Pas-E- Pusht Say Baandhe The Qayamat
Ham Qaidi Banke Balwe Me Baazar Me Gaye
Ham Sar Khule Yazeed Ke Darbaar Me Gaye
Waali Jo Aap Hote To Mai Phirti Na Dar Dar
Kiski Majaal Thi Ke Jo Letha Meri Chaadar
Yun Khainch Ke Lejaatha Naa Rassi Me Baandh Kar
Ruswa Hame Na Karte The Balwe Me Sitamgar
Hote Jo Aap Jaate Na Darbaar-E- Aam Me
Hoti Na Qaid Aake Naa Zindaane Shaam Me
Beemar Bhai Touq-O- Salasil Me Hai Aseer
Zainab Phupi Hai Kunbe Me Maatam Me Gulogeer
Kya Aal-E- Mustafa Ki Hul Izzat-O- Touqeer
Barbaad Huwi Haae Meri Ujdi Hae Taqdeer
Ye Bain Karte Karte Jo Qamosh Hogayi
Samjhe Ye Sabkee Sadme Say Behosh Hogayi
Shaane Hilaake Maadar-E- Muztar Ne Di Sadaa
Paaya Na Kuch Jawaab Tho Boli Wo Ghamzadaa
Aye Zainab-O-Kulsoom Idhar Aao Mai Fidaa
Kuch Bolthi Nahi Meri Bacchi Ko Kya Huwaa
Qaabhu Me Dast-O- Paa Nahi Sar Hai Dhala Huwa
Aankhen Hain Band Dekhiye Mu Hai Khula Huwa
Dekhi Jo Nabz Zainab-O- Muztar Basad Buka
Chillaai Haae Kargayi Ye Bacchi Bhi Qazaa
Ghut Ghut Ke Yun Hi Qaid Main Marjaae Kya Bhala
Pursaane Haal Koi Nahi Haae Hamara
The Sogwaar Gham Me Shah-E- Mashraqain Ke
Marte Hain Qaidqaane Me Bacche Hussain Ke