Ghurbat Me Kis Ne Ki Hai Rifaaqat Hussain Ki

Ghurbat Me Kis Ne Ki Hai Rifaaqat Hussain Ki Marsiya Writeup, Lyrics

Ghurbat Me Kis Ne Ki Hai Rifaaqat Hussain Ki
Sab Se Siwa Hai Kis Ko Hujjat Hussain Ki
Kis Ki Nazarme Farz Hai Taa-Et Hussain Ki
Takmeel Kis Se Paai Shahaadat Hussain Ki
        Hai Koun Yaadgaar Ali-O- Butool Ki
        Wo Koun Zi Sharaf Hai Nawasi Rasool Ki

Zehra Ke Baad Kou Hain Maqdooma-E- Jahaan
Baba Hai Kis Ka Shair-E- Quda Faqr-E- Mursalaan
Dunya Me Kis Ke Sabr Ke Qaael Hai Ins-O- Jaan
Maadar Hia Kis Ki Kashtiye Ummath Ka Baadbaan
        Maryam Se Kis Ka Martaba Aalaa Hai Qalq Me
        Mashhoor Kou N Saaniye Zehra Hai Qalq Me

Nana Ko Roi Baap Ko Roi Wo Ziwiqaar
Maatam Kiya Butool Ka Baa Chasm Ashkbaar
Mohsin Ki Laash Dekh Ke Dil Hogaya Fighaar
Barsoun Rahi Musibath-E- Shabbar Me Sougwaar
        Bachpan Se Shugi Usko Raha Shour-O- Shain Ka
        Aaqir Ko Dekha Zaib-E- Sinaan Sar Hussai N Ka

Pursa Ajeeb Zainab-E- Naashaad Ko Mila
Shabbir Qatl Hoote Hi Qaima Jalaa Diya
Sar Utaari Shimr Ne Maasooma Ki Rida
Baazi Jar Aol Bobo La Rassi Me Bandh Gaya
        Balwe Me Laae Bint-E- Shah-E- Mashraqain Ko
        Dil Bhar Ke Rone Paai Na Zainab Hussain Ko

Baba Ko Roye Bacche Tho Zainab Unhen Manaaye
Saamjha Ke Apni Goud Me Shab Ko Unhen Sulaaye
Salli Kisi Yateem Ko Aakar Koi Lagaaye
Ye Dekh Kar Qamoosh Ho Shikwa Na Lab Pe Laaye
        Bhaai Ke Sar Ke Saath Rahi Ashdahaam Me
        Sar Nange Jaae Kooncha-O Baazaar-E- Shaam Me

Kuch Din Rahi Watan Me Jo Zehra Ki Yaadgaar
Par Thi Bahot Hussain Se Milne Ko Be Qaraar
Tha Dushman-E- Imaam Yazeed-E- Sitam Sheyaar
Aabed Huwe Jo Qald Dobaara Ba Haal-E- Zaar
        Mumkin Na Tha Ke Mu Rahe Ulfath Me Moud Ke
        Zainab Rahe Watan Me Bhatije Ko Chowd Ke

Zindaan Se Chut Ke Aai Jo Zainab Soo-E- Watan
Roti Thi Jaake Rouze Pe Qastha Than
Gah Faatema Ki Qabr Pe Karthi Thi Ye Suqan
Bardaad Karbala Me Huwa Aap Ka Chaman
        Shikwa Na Qaid Ka Tha Na Baazaar-E- Shaam Ka
        Tha Zikr Bas Hussain Alaihis Salaam Ka

Pahonchi Qareeb Shaam Ke Jis Waqt Qush Nehaad
Aane Lagi Ziyaadah Shah-E- Bekafan Ki Yaad
Ek Raat Aai Jis Me Ke Dil Ki Mili Muraad
Mishdaah Ajal Ka Qaab Tha Sunkar Thi Shad Shad
        Thi Garche Uske Dil Ko Qushi Inteqaal Ki
        Par Fikr Thi To Aabed-E Bargastha Haal Ki

Guzri Wo Raath Subhe Shahaadat Huwi Ayaan
Jis Baagh Me Huwa Tha Faro Kash Ye Kaarwaan
Dushman Nabi Ki Aal Ka Tha Us Ka Baaghbaan
Zair-E Shajar Jo Roti Thi Shah Ko Wo Neem Jaan
        Aisa Sitam Kiya Ke Na Phir Shah Ke Ro Saki
        Yun Bailche Se Maara Ke Jaanbar Na Ho Saki