Ghar Se Jab Bahre Safar Syed E Aalam Nikle

Ghar Se Jab Bahre Safar Syed E Aalam Nikle Marsiya Writeup, Lyrics

Ghar Se Jab Bahre Safar Syed-E-Aalam Nikle
Sar Jhuka-E- Huwe Ba Dida-E- Purnam Nikle
Khai- Sho Farzand Kamar Baandh Ke Baaham Nikle
Roke Farmaya Ke Is Shahar Se Ab Ham Nikle
        Raat Se Girya-E- Zehra Ki Sada Aati Hai
        Dekhen Qismath Hame Kis Dasht Me Le Jaati Hai

Ruq Kiya Shah Ne Su-E Qabr-E- Shahinshah-E Anam
Bahre Tasleem Jhuke Muttasile Baabe Salaam
Izn Padh Kar Jo Gaye Qabr Ke Nazdeek Imam
Arzki Aaya Hai Aaj Aaqri Ruqsath Ko Ghulam
        Ye Makaan Ham Se Ab Aye Shah-E- Zaman Chut-Tha Hai
        Aaj Hazrat Ke Nawase Se Watan Chut-Tha Hai

Chain Se Sab Hain Gharoun Me, Mujhe Milta Nahin Chain
Saqt Aafat Me Hai Ab Aapka Ye Noorul Ain
Tukde Dil Hota Hai Jab Roke Haram Karte Hain Bain
Nanhe Bachown Ko Bhala Leke Kidhar Jaae Hussain
        Shaher Me Chain Na Jangal Me Amaan Milti Hai
        Dekhiye Qabr Musafir Ko Kahan Milti Hai

Ab Mere Sar Ke Liye Tez Huwe Hain Qanjar
Ahl-E- Keen Shar Pa Kamar Bandhe Hain Ya Qair-E- Bashar
Aap Ne Di Thi Isi Roz Ki Amma Ko Khabar
Waaleda Roi Thi Do Roz Talak Peet Ke Sar
        Is Nawase Ko Magar Bhool Najaana Hazrat
        Zibha Ke Waqt Madad Karne Ko Aana Hazrat

Ye Wo Din Hain Ke Parinde Bhi Nahin Chodhthe Ghar
Mujhko Dar Paish Hai In Rozoun Me Aafath Ka Safar
Hai Kahin Qatl Ka Samaa’n Kahi’n Lut Jaane Ka Dar
Saath Hai Bachown Ka Aye Baadshah-E Jin-O-Bashar
        Tang Jeene Se Hoon Paas Apne Bulalo Nana
        Apni Turbat Mey Nawase Ko Chupalo Nana

Ye Bayaan Karke Jo Taaweez Se Lipte Sarwar
Yun Hili Qabr Ke Tharrai Zaree-E- Anwar
Aayi Turbath Se Ye Aawaz-E- Habeeb-E Dawar
Teri Ghurbath Ke Main Sadqe Mere Mazloom Pisar
        Koi Samjha Na Meri God Ka Pala Tujhko
        Haae Aada Ne Madine Se Nikala Tujhko

Aye Mere Gesuoun Walay Mere Saber Shabbir
Mere Bekas Mere Mazloom Musafir Shabbir
Na Raha Koi Tera Yawar-O- Naser Shabbir
Haae Aye Gor-E Gharibaan Ke Mujawer Shabbir
        Too Jahan Jaega Pyare Wahee Chalta Hoon Main
        Khaak Udata Huwa Turbat Se Nikalta Hoon Main

Kayee Din Se Teri Madar Ko Nahi Qabr Me Chain
Aai Thi Shab Ko Mere Paas Ye Karti Huwi Bain
Ghar Mera Luttha Hai Faryaad Rasoolus- Saqalain
Subha Ko Apna Watan Chowdh Ke Jata Hai Hussain
        Kahne Aye Hoon Ke Mu Qabr Se Moudungi Mae
        Apne Bacche Ko Akela To Na Chodhungi Mae

Sunke Ye Shah Ne Kiya Aaqri Ruqsat Ka Salaam
Nikle Rote Huwe Jab Rouza-E- Anwar Se Imaam
Shah Se Usdam Ye Kiya Roro Ke Zainab Ne Kalam
Qabr Par Maa Ki Mujhe Le Chalo Ya Shah-E- Anaam
        Log Hamraah Hain Mahmil Me, My Kyun Kar Rou-Oon
        Maa Ki Turbath Se Phir Ek Baar Lipat Kar Rou-Oon

Maa Ki Turbath Pa Gaye Shaah Ba Chashm-E- Khoon Baar
Utri Mahmil Se Basad Aah-O Fughan Zainab-E Zaar
Doudh Kar Qabr Se Lipte Jo Imam-E- Abraar
Haath Zehra Ki Lahad Se Nikal Aae Ek Baar
        Aai Aawaz Na Ro Dil Ko Qhalaq Hota Hai
        Qabr Hilti Hai Kaleja Mera Shaq Hota Hai

Haan Bulaao Mera Abbas-E- Dilawar Hai Kidhar
Wo Fida Hai Mere Bache Pa Mae Sadqe Uspar
Shikam-E- Ghair Se Go Hai, Pa Wo Mera Hai Pisar
Ye Sada Sunke Baradar Ko Pukare Sarwar
        Abhi Rahwaar Ko Aage Na Badhaao Bhai
        Yaad Farmati Hain Amma Idhar Aao Bhai

Aake Abbas Ne Sar Rakh Diya Paaene Mazaar
Aai Zehra Ki Sada Main Teri Ghurbat Ke Nisaaar
Apne Pyaroun Ke Barabar Main Tujhe Karti Hoon Pyar
Dhyaan Bhai Ki Hifaazat Ka Rahe Aye Dildaar
        Koi Ghurbat Me Use Maar Na Daale Beta
        Mera Shabbir Hai Ab Tere Hawale Beta