Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laal

Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laal Marsiya Writeup, Lyrics

Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laal
Qareeb Pahonchi Madine Ke Jab Rasool Ki Aal
To Apne Haathoun Pe Zainab Ne Rakhe Sar Ke Baal
Kaha Madine Se Kulsoom Ne Ba Ranj-O- Malaai
        Lutaa Ke Aaye Hain Zehra Ke Sab Gharaane Ko
        Na Kar Qubool Too Ham Bekasoun Ke Aane Ko

Madina Ham Tere Waali Ko Aaye Hain Khokar
Madina Gardan-E- Shabbir Par Chala Qanjar
Madina Koofe Me Sar Nange Ham Phire Dar Dar
Madina Daaghe Rasan Hai Hamaare Shaanoun Par
        Ham Aaye Zinda Pa Zehra Ka Noor-E- Ain Nahi
        Madina Akbar-O- Qasim Nahi Hussain Nahi

Hilii Zameen Madine Ki Usghadi Paiham
Kiya Basheer Ko Sajjad Ne Talab Us Dam
Gale Me Shaal-E- Daaldi Ba Deeda-E- Nam
Aur Uske Haath Me Rokar Diya Siyaah Alam
        Kahaa Ke Jaa Nahi Go Apne Mu Dikhaane Ki
        Magar Watan Me Qabar Karde Mere Aane Ki

Chala Basheer Ye Dete Huwa Qabar Har Jaa
Magar Muhalla-E- Haasim Me Dekhta Hai Kya
Ke Ek Mariza Sare Raah Hai Khadi Tanha
Jo Poocha Naam To Ro Ke Boli Wo Sughra
        Bashir Kahne Laga Kyun Too Shour-O- Shain Me Hai
        Kaha Ye Haal Mera Furqath-E- Hussain Me Hai

Basheer Samjha Ye Bint-E- Hussain Hai Sughra
Qamoosh Rah Gaya Sughra Ke Mu Pe Kuch Na Kaha
Pukaari Faatema Gardan Me Dekh Shaal-E- Azaa
Tu Bhaai Laaya Hai Kis Ki Sunaani Mujh Ko Sunaa
        Wo Bola Qaasid-E- Beemaar-E- Karbala Hoon Mai
        Sunaani Qabr-E- Payambar Pe Le Chala Hoon Mai

Wo Boli Roroke Bhaai Ye Kya Sunaata Hai
Wo Koun Hai Jise Beemar Too Bathaatha Hai
Sunaani Kis Hai Ye Mujh Ko Huwi Aata Hai
Ke Mustafa Ki Lahad Se Too Kahne Jaatha Hai
        Ammama Phaink Ke Usne Kaha Duhaai Hai
        Tere Hussain Ki Sughra Sunaani Aai Hai

Zameen Pa Haae Pidar Kahke Gir Padi Sughra
Qabar Ye Phalli To Maatam Har Ek Ghar Me Huwa
Tamaam Aurtain Niklin Gharoun Se Karthi Bukaa
Nabi Ki Qabr Pa Jaakar Basheer Ne Ye Kahaa
        Safar Se Lut Ke Idhar Bhooki Pyaasiyaan Aai
        Utho Rasool Tumhaari Nawaasiyaan Aai

Bashir Kahtha Hai Wallah Rouza Kaanp Gaya
Lahad Se Naala Huwa Waa Hussain Ka Paida
Idhar Zameen Pe Tadapthi Thi Faatema Sughra
Zanaan-E- Haashmiya Ne Wahaan Hujoom Kiya
        Hilaa Ke Shaana Kaha Shaah-E- Mashraqain Aaye
        Utho Hussain Ke Ashiq Utho Hussain Aaye