Dashtey Balaa Mey Gum Ali Akbar Ki Laash Hai

Dashtey Balaa Mey Gum Ali Akbar Ki Laash Hai Marsiya Writeup, Lyrics

Dashtey Balaa Mey Gum Ali Akbar Ki Laash Hai
Farzand-E Faatima Ko Pisar Ki Talaash Hai
Daagh-E Jigar Ko Naakhoon-E Gham Ki Kharaash Hai
Sangh-E Alam Sey Sheesha-E Dil Paash Paash Hai
        Banu Ko Ghash Hai Ahle-Haram Dard Mandh Hain
        Hai Hai Pisar Ki Ghar Mey Sadaayein Buland Hain

Chillaathay Hain Kay Baap Kay Pyaarey Khidhar Gaye
Aey Noor-E Chashm Aankhon Kay Taarey Kidhar Gaye
Aey Meri Zindagi Kay Sahaarey Kidhar Gaye
Pahooncha Kay Mujhko Gour Kinarey Kidhar Gaye
        Andher Hai Agar Na Tumhein Paayega Pidar
        Aawaaz Dogay Tum Toh Chalaa Aayega Pidar

Rothey Ho Kis Liye Ali Akbar Jawaab Do
Sadqey Ho Baap Aey Meray Dilbar Jawaab Do
Aey Meray Hum Shabihey Payambar Jawaab Do
Tum Sey Bichadd Kay Zeesth Ho Kyunkar Jawaab Do
        Jo Raah Hai Tumhaari Wohi Apni Raah Hai
        Laazim Hai Rahem Baap Ki Haalat Tabaah Hai

Kis Jaah Pey Tum Paddey Ho Bathaao Pidar Nisaar
Aawaaz Hum Ko Apni Sunaao Pidar Nisaar
Hum Gir Paddey Hain Aa Kay Utthaao Pidar Nisaar
Chaati Sey Phir Pidar Ko Lagaao Pidar Nisaar
        Ruksath Hai Apney Ghar Ko Zaraa Dekh Bhaal Lo
        Lagzish Hai Haath Paoon Mey Akbar Sambhaal Lo

Kis Sey My Puchoon Kaun Tumhaara Pataa Bathaaye
Yeh Beykas-O Ghareeb Musaafir Kidhar Ko Jaaye
Qismath Mey Meri Tthokarein Likkhi Hai Haaye Haaye
Is Zindagi Sey Kaash Khuda Humko Bhi Utthaaye
        Andher Hai Kay Godh Kay Paaloun Sey Chutt Gaye
        Manzil Pa Aakay Qafilay Waaloun Sey Chutt Gaye

Ab Haath Bhi Pakadd Kay Utthaatha Nahin Koyi
Roney Pa Meray Rahem Bhi Khaata Nahin Koyi
Yousuf Ki Meri Shakl Dikhaata Nahin Koyi
Beta Tumhaari Laash Bathaatha Nahin Koyi
        Haalat Hamaari Kaahey Ko Dekhi Hai Aap Ney
        Tum Ko Khayaal Hogaa Khabar Li Na Baap Ney

Aey Fouj-E Zulm Baano Kay Dilbar Ko Kya Kiya
Beykas Ko Tashnakaam Ko Beypar Ko Kya Kiya
Aey Zaalimo Shabihey Payambar Ko Kya Kiya
Miltaa Nahin Meray Ali Akbar Ko Kya Kiya
        Lillah Do Pataah Kay Bhattaktey Hain Raah Mey
        Shaayad Giraa Diya Merey Yousuf Ko Chaah Mey

Chillati Hai Kay Goudh Ka Paala Kahaan Gaya
Aankhon Ka Noor Ghar Ka Ujaalaa Kahaan Gaya
Chashm-O Chiraagh-E Syed-E Waalaa Kahaan Gaya
Meraa Woh Lambey Geysuoun Waalaa Kahaan Gaya
        Do Betay Kho Kay Paayaa Tha Is Naunehaal Ko
        Barchi Se Kisney Qatl Kiya Meray Laal Ko