Dasht E Ghurbat Me Watan Se Shah E Deen Jaate Hain

Dasht E Ghurbat Me Watan Se Shah E Deen Jaate Hain Marsiya Writeup, Lyrics

Dasht-E- Ghurbat Me Watan Se Shah-E- Deen Jaate Hain
Saath Sab Ghuncha Dahan Maah-E- Jabeen Jaate Hain
Ghul Hai Kounain-E- Imamat Ke Haseen Jaate Hain
Qaak Hone Ke Liye Arsh Nashin Jaate Hain
        Gulshan-E Baad-E- Shah-E Khila Shikan Lut- Tha Hai
        Jis Me Jannat Ki Fiza Thi Wo Chaman Lut-Tha Hai

Haram-E- Shah Me Hai Faryaad-O Bukaa Se Kohraam
Bibiyan Aai Hain Ruqhsat Ko Muhalle Ki Tamam
Sab Se Milti Hai Gale Roro Ke Hamsheer-E- Imam
Haath Mal Mal Ke Ye Hamsaiyan Karti Hain Kalaam
         Kya Qayamat Hai Ke Veeran Ye Ghar Karte Hain
         Haae Is Garmi Me Shabbir Safar Karte Hain

Zikr Ye Tha Ke Shah-E Yasrab-O Batha Aae
Ghar Me Maghmoom-O Hazeen Syed-E Wala Aae
Kaha Madar Se Sakina Ne Ke Baba Aae
Boli Beemar Ke Haan Mere Masiha Aae
        Shah Ne Zainab Se Kaha Aur Qhalaq Badhta Hai
        Aao Sughra Se Bhi Ruqsath Ho Ke Din Chadhta Hai

Kah Ke Ye Aae Qhareen Fatima Sughra Ke Imam
Kanpte Haaton Se Beti Ne Kiya Uth Ke Salaam
Bolay Chaati Se Lagakar Ye Shah-E- Arsh Maqaam
Baitho Baitho Ke Badan Zouf Se Larzan Hai Tamaam
        Jo Muqaddar Me Hai Wo Ranj Nahi Talta Hai
        Tap Se Tum Jalti Ho, Gham Se Mera Dil Jalta Hai

Kahke Ye Bait Gaye Paas Imam-E Do Sara
Baad Alhamd Padhi Aap Ne Sehat Ki Dua
Aur Beemar Ko Chaati Se Lagakar Ye Kaha
Beti Tum Ghar Me Raho, Hai Yahi Marzi-E- Quda
        Saath Leyte Jo Tawana Tumhe Paate Bibi
        Aise Beemar Safar Me Nahi Jaate Bibi

Gir Ke Bistar Pa Ye Chillai Basad Aah-O- Fughan
Are Logo Mujhe Tham-O- Ke Chali Jism Se Jaan
Ek Baek Phir Gayi Qismath Ye Huwa Kya Samaa
Haae Baba Mujhe Yaan Chowdh Ke Jaoge Kahan
         Meri Furqat Huwi Kis Tarha Gawara Baba
        Be Ajal Aap Ne Beemar Ko Maara Baba

Na Jiyegi, Na Jiyegi Ye Mareez-E- Ranjoor
Haae Main Ghar Me Rahoon Aur Hoon Sab Se Door
Chowdh De Beti Ko Baba Ye Naya Hai Dastoor
Afu Kijiye Koi Sughra Se Huwa Ho Jo Qhusoor
        Aatish-E- Ranj-O Alam Se Na Jaloongi Baba
        Kuch Ho Main Aap Ke Hamraah Chalungi Baba

Haath Main Jodthi Hoon Ab Mere Achche Baba
Paaun Par Girti Hoon Main, Mujh Ko Na Chowdho Tanha
Reham Kijiye Meri Minnat Pa Ye Loundi Ho Fida
Meri Bimari Ka Hazrath Ko Agar Hai Dhadhka
        Acchi Main Ho Loon To Ho Yaan Se Rawana Baba
         Ya Main Dunya Se Guzar Jaaun To Jaana Baba

Baten Sughra Ki Ye Sunte The Shah-E- Koun-O Makaan
Aae Jo Itne Me Hamshakle Rasool-E- Do Jahan
Dekh Kar Bhai Ko Boli Wo Basad Aah-O Fughan
Aao Bhayya Ali Akbar Main Tumhare Qhurbaan
        Apna Kuch Bas Nahi Baba To Hame Chowdh Chale
        Tum Bhi Kya Qhahar-E- Nashad Se Mu Mod Chale

Ham To Mehmaan Koi Din Ke Hain Jaao Bhaai
Ab Yaqeen Hai Ke Hame Aake Na Paao Bhaai
Bu Mujhe Zulfe Saman Bu Ki Sunghao Bhaai
Loon Balayen Main Zara Paas To Aao Bhaai
        Alame Hijr Me Dunya Se Safar Karte Hain
        Koi Hasrat To Na Rahjaae Ke Ham Marte Hain

Mere Aashiq, Mere Shaida, Mere Pyare Bhayya
Tum Pa Is Qasta Jigar Ko Koi Waare Bhaaya
Mujh Se Ab Chut-The Ho Sadqe Main Tumhare Bhayya
Tum Chale Aur Hai Bahan Gor Kinare Bhayya
         Pahle Turbat Pa Meri Ashk Bahate Na Gaye
         Qabr Beemar Ki Yasrab Me Banate Na Gaye

Dekhiye Khair Se Is Shahr Me Kab Aaoge
Bhai Phir Chand Si Surat Hame Dikhlaoge
Apni Shadi Me Bhi Nashaad Ko Bulwaoge
Daer Se Aae To Bahna Ko Na Phir Paaoge
         Ye Wasiyath Hai Ke Tum Ghar Me Na Jaana Pahle
        Sehra Latkaae Meri Qabr Pa Aana Pahle